Ae Dilbarane Jafar e Tayyar

ay dilbarane jafare tayyar alwida
binte ali ye bachon se kehti thi baar baar
ran ko sidharo auno mohamed ye maa nisar
ay dilbarane jafare….

jafar ka ifteqar badana jihad may
nana ki apni shan dikhana jihad may
ay dilbarane jafare….

shere khuda ki beti ke tum dono sher ho
maidan may jao fatha may ab kuch na dayr ho
ay dilbarane jafare….

har baat apne dil ke siwa ho to baat hai
wo ran pade ke hashr bapa ho to baat hai
ay dilbarane jafare….

ghayre rahe sipah magar moo na modna
hyder ki yaadgar ho maidan na chorna
ay dilbarane jafare….

shimro umar ke sar jo utaro to khush hoo mai
dushman ko jhoom jhoom ke maaro to khush hoo mai
ay dilbarane jafare….

ab to ye aarzoo hai ke tum ran may kaam aao
chehre ke badle khoon bhare chehre mujhe dikhao
ay dilbarane jafare….

bacho zaeef mamu ko zehmat na deejiyo
laashe uthaaye bhai to jumbish na kijiyo
ay dilbarane jafare….

pyase jo aaoge to sila degi tum ko maa
khud daud kar gale se laga legi maa
ay dilbarane jafare….

Garm Reti Pa Main Girta Hoon

garm reti pa mai girta hoo sambhalo amma

asr e ashoor tha shabbir thay tanhai thi
mahe zehra pa ghata zulm ki jab chayi thi
shah pa jab noke sina suye zameen laayi thi
girte girte labe zakhmi se ye sada aayi thi
garm reti pa mai….

ghir gaya hoo mai kisi ki bhi mujhe aas nahi
qatl sab hogaye ab koi bhi mere paas nahi
mera qasim nahi akbar nahi abbas nahi
tum mujhe aake kaleje se lagalo amma
garm reti pa mai….

laash qasim ki uthayi hai nazar zakhmi hai
zakhm akbar ka jo dekha hai jiiar zakhmi hai
qalb zakhmi hai badan zakhmi hai sar zakhmi hai
do sahara mujhe baba ko bulalo amma
garm reti pa mai….

mai jo ghoday se giroo tum mujhe taskee dena
pyar karna meri himmat ko duayein dena
daal kar baah galay may mujhe lipta lena
ha dame zibha magar haath hatalo amma
garm reti pa mai….

ab koi ban may mere halq pa khanjar hoga
aur seene pa mere shimr e sitamgar hoga
khoon ka hoga kafan khaak ka bistar hoga
aakhri naaz ye bete ka uthaalo amma
garm reti pa mai….

apne waade ke liye maine har eeza sehli
ye bhi arman mera nikle to iniyat hogi
zibha ke waqt meri tumse tamanna hai yehi
sar mera khaak se zano pa uthalo amma
garm reti pa mai….

Aey Raat Tham Jaa

zainab hai pareshan ay raat zara tham ja

rok sehar ko aane se tu kehte hai tujhse mere aansu
rakhle pardesi ka parda rehne de andhiyara na jaa
ay raat zara….

zakhmi kano ki ek bachi shiddat-e-gham se so na sakegi
daudegi wo jaanibe maqtal thokar khati dukhiya na jaa
ay raat zara….

bewa hogi dulhan aise jiske haath may taaza mehndi
bain karegi aahein bharegi kehkar dulha dulha na jaa
ay raat zara….

acha itni dayr tu ruk ja jab ho safar zindan ko mera
shaam talak tu saath may rehna bankar mera parda na jaa
ay raat zara….

raat magar rehan na tehri kehti thi zainab bechari
aayi raza wo subhe shahadat suraj kyonkar kehta na jaa
ay raat zara….

Tamam Aalam

tamaam aalam may aaj matam, hussain bekas ka ho raha hai
alam gharon may sajay huway hai, dilon may farsh-e-aza bicha hai
tamaam aalam may aaj matam, hussain bekas ka ho raha hai

siyah kapde siyah chadar, ghamon ki gardo ghubaar sar par
hai sogwaron kay ashk jaari, ke sani-e-zehra berida hai
tamaam aalam …

na chashme purnam ho kyon sawali, juloos hai zuljanah khaali
ke mera duldul sawar-e-maula, zamin-e-karbal may so raha hai
tamaam aalam …

alam may mashq-e-sakina dekho, to momino bas yeh keh ke rolo
chacha bhatiji may kya hai nisbat, wafa-e-abbas kya wafa hai
tamaam aalam …

hussain peedi may dil sambhale, ke dil se uljhi sina nikaale
jawaan beta lahu may dooba, zameen pe aedi lagad raha hai
tamaam aalam …

na maar barchi dil-e-nabi par, abhi huway hai jawaan akbar
ye qatl jisko tu kar raha hai, yehi to ham shakl-e-mustafa hai
tamaam aalam …

madinay walo khamosh rehna, ghareeb zainab say kuch na kehna
basa huwa ghar jo le gayi thi, wo karbala may ujad gaya hai
tamaam aalam …

azaa-e-shabbir hai ibadat, janab-e-zainab ki hai amaanat
ye nauha tere qalam se mehshar, janab-e-zahra ki ek ataa hai

Pukara Dil Se Kisi Ne



Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,Madad ke waste pahunche wahan-wahan Abbas,


Hussain walon pe itne hain meharban Abbas,Jahan Hussain kaha aa gaye wahan Abbas,


Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,Hai farq itna faqat karbala-o-khaibar me,


Vo marka tha AM ka lade jahan Abbas,Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,


Zahe naseeb teri manzilat ka kya kahna,Rasool zaadiyan ain teri nauhakhan Abbas,


Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,Sakina bibi se bachche ye ro ke kahte the,Alam nazar nahi aata gaye kahan Abbas,Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,Ali ke laal ka kya kahna hain bahut mazloom,salaam shiyo ka turn pe gaye kahan Abbas,Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,Alam ke saaye me kahte chalo Hussain HussainKhuda ke fazal se hain meer-e-kaarwan Abbas,Chidhi jow mashq sakina tow aastutghayi (x2)Ghirey jow lashkarey aada ki darmiyaanabbas Pukara dil sey kisi ney jahan jahan abbas Ø Furaat aaj bhi dowhra rahi hain mowjosey (x2)Tumhari shaan e shujaat key dastaanabbas Pukara dil sey kisi ney jahan jahan abbas Ø Wafa ka rakhliya tumney bharam wafaki qasam (x2)Ajab wafa ka diya tumney imtehaanabbas Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,Koi Mita nahi sakta hai hame zamane meinHusainyo pe hamasha hain pasbaan abbasPukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,Hai jis pa bhi tere parcham ka saya duniya meinHar ek bala se hai mahfooz who maqaan AbbasPukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,Yaha jo haat uthaye hain maatam-e-shah meinUse Husain se milwayen wahan AbbasPukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,Hussain mil gaye mujhko yehi main samjhoon gaHuwe jo mujh par turn ek baar meherbaan AbbasPukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,Wahan wahan me hai zamane mein dars rahe wafaJahan Jahan tere qadmon ke hai nishaan AbbasPukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,Khuda ke deen ki soorat Kalaam-e-haq ki kasamNabi ke ghar me huwe tifl se jahan abbasPukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas Ø Chidhi jow mashq sakina tow aastutghayi (x2)Ghirey jow lashkarey aada ki darmiyaanabbas Pukara dil sey kisi ney jahan jahan abbas Ø Furaat aaj bhi dowhra rahi hain mowjosey (x2)Tumhari shaan e shujaat key dastaanabbas Pukara dil sey kisi ney jahan jahan abbas Ø Wafa ka rakhliya tumney bharam wafaki qasam (x2)Ajab wafa ka diya tumney imtehaanabbas