Mera Abbas – Shadman Raza – 2009

Ghururé fawdjé sitam ghar ko, tor sakta hun

Rukhé furat, nigahon sey mor sakta hun

Ali ka beta hun, mojiz numaion ki qassam 

Mein aftaab sey paani nitsor sakta hun

Mera abass , Ghazi abass (4)

1. Maaniyé ruffaté Issaro vafa hai abass 

Jazbaé hossala é Shehré Khuda hai Abass

Ruhé Ehsaas Rassoulé dosara hai Abass

Yaani Allah ké maqsad ki baqaa hai Abass

Rastaa rehbaré Islam ki ruqné na diya

Kath gaya hath alam din ka jukné na diya

Mera abass, Ghazi abass…

 

 

2. Mei jo ehjaz dikawun to yé naksha badlé

Arsh pei Fasl Ughé Farsh pei suraj niklé 

Nehr sey Ghard urhé , sang sey tsachma phoothe

aag paani mey lagué aag sey paani nikley

ghur ké dekhun to toum sab bemamat ajaaé

Mere tuté huwé neyzé pei furat aajaé

mera abass, Ghazi abass..

3. Meri Talwaar sey Jibril key par Kampté hai

Meri hai bass sé sab ye jino bachar kampté hai 

tumko kya cheez ho cheron key jigar kampté hai

Maut sey pehlé hi ajssam key sar kampté hai

Meyné talwar jo ek baar chalayi hoti

Sari dunya mein dohayi hi dohayi hoti 
 

Mera Abass, Ghazi abass..

 

 

4.Jang siffen ka mahol dobara hojaé

Khétslun tegh to dunya mein savera hojayé 

Alqamah ko jo mera ek ishara hojayé 

Khayma é shah hi darya ka kanara hojaé 

Khatm pyasson ki abhi tachnadahaani kardun

Mein agar tsahun paharon ko bhi paani kardun 

Mera Abass, Ghazi abass..

5. Huré maqtal ko ek ungli pei natsha sakta hun

Tum jo marjao to thokar sey jila sakta hun

Aag behté huwé paani mein lagaa sakta hun

Tum ko ab ruh key ishaaré sey bhaga sakta hun

Hath kathné pei bhi larné sey mein maazour nahin

Hukmé Shabeer ka pabant hun majboor nahin

 

Mera Abass, Ghazi abass..

 

6.Han magar gardishé dohra ney yé manzar dekha

Kath gayé baazué abass saré rahé wafaa

Sar pei bhi gurz lagua ankh pei bhi tir laga 

as bhi tut gayi mashk sey paani jo baha

Ho salam aap pei aka yé pukaré Abass

Nehr sey jaané bhi firdos sidharé abass

Mera Abass, Ghazi abass… 

 

7.Jab suna nehr pei sakaé haram mara gaya

Girgayi bibyon key sar sey ye sunté hi rida

Bibi zaynab ki sada aaney lagui vavéla

Ghir gaya dasté Sakina sey zamain par Kuza

Boli yé ro key mujé as nahin hai ammu

jald ajao key ab pyass nahin hai ammu

 

Mera Abass, Ghazi abass… 

 

 

8. Rokey Shabeer pukarey mere Bhayya Abass

Mere ghamkhar mere ashiko sheda Abass

Moujko paani to pilaado mein hun pyassa abass

Mein Ghira jaata hun do mujko sahara abass

Khaymaé Fatema Zehra key sipar tut gayi

Hath bhayi key kathé meri kamar tut gayi…

Ro Rahe Hain Imam – Shadman Raza – 2009

Imam waqt hai ranjeeda kaun sochenga

Aa kissi roz, isi doukh pe , ikhathar rowe

(Ro rahe hein imame Zamana)*2

Yaad karke loutre gar ka manzar

(Ro rahe hein imame Zamana)*2

Khak karbobala dale sar par

(Ro rahe hein imame Zamana)*2

1-Tair ta hai nazar me woh manzar

(Tsal raha hai namazi pe khanjar)*2

Vaar hota hai soukhe gale par

(Ro rahe hein imame Zamana)*2

 

2-Bhul sakte nahi jalte khaime

(Bhul sakte nahin taaziane)*2

Bhule kaise woh Zainab ki tchaadar

(Ro rahe hein imame Zamana)*2

 

3-Yaad hai ounko ab bhi vo manzar

(Jab baraste te pathar saron par)*2

Bibiyan Shaam me thi khule sar

(Ro rahe hai Imame Zamana)*2

 

4-Yaad karke louthi chhaadaron ko

(Yaad karke safar ke dukhon ko)*2

yaad karke Sakina ke gohar

(Ro rahe hein imame Zamana)*2

 

5-Yaad karke woh ghazi ke baazou

(Yaad karke woh Akbar ke gessou)*2

Yaad karke woh zoulme sitamghar

(Ro rahe hein imame Zamana)*2

 

6-Zikr-e-Karbobala ho raha hai

(Aaj saara jahaan ro raha hai)*2

Aa ke khoud aaj farsh-e-azaa par

(Ro rahe hein imame Zamana)*2

 

7-Al ajal al ajal kehne valon

(Apne aamal ko bhi to dekho)*2

Baa khouda ghaib me aaj tum par

(Ro rahe hein imame Zamana)*2

 

8-Ghaib me kar rahe hai douaen

(Jald ghaibat se baahar vo aee)*2

Badla karbal ka le jald aa kar

(Ro rahe hein imame Zamana)*2

                                                                                                    

9-Ankh mere kalam ki houwi nam

(Kar rahi hein ye tehrir matam)*2

Noor noha raqam ho ye kyun kar

(Ro rahe hein imame Zamana)*2

Hamara Rishta Hussain Se Hai – Shadman Raza – 2009

Kashtiyé diné khuda ka rakhuda hussain hussain hussain

Ya hussain, Ya hussain … hussain hussain

Humé na ja ho saltanat [na takht-o-taaj chahiyé] x2

Baland taaj-o-takht sé [maga mizaaj chahiyé] x2

Shahidé karbala ka buss, dilon pé raaj chahiyé

Ya hussain, Ya hussain … hussain hussain

 

Hamara rishta hussain sé hai x2 buss ék rishta hussain sé hai

Zoher-o-Muslim ibné Osajaa, Shabir ki tarha

Janabé Hur aur John ké naseeb ki tarha

Humé yé fakhr hai ké hazraté habib ki tarha

Hamara rishta hussain sé hai, buss ék rishta hussain sé hai

 

 

Hai kaun apna tchara gar hussain hai hussain hai

Hai kaun hum sé baa khabar hussain hai hussain hai

Hai kaun apna raah bar hussain hai hussain hai

Hai kaun dil mein jal bagar hussain hai hussain hai

 

 

Hamara rishta hussain sé hai, buss ék rishta hussain sé hai

 

 

Har ek simt dehr mein hai ya hussain ki nidaah

Har ek kaum ki har ek dine ki bhi hai sadaa

Kamaal to yeh hai ké bhoot parasst bhi yeh bol utha

 

 

Hamara rishta hussain sé hai, buss ék rishta hussain sé hai

 

 

Hamara tchara gar nahin koyi hussain ké siva

Hamara baa khabar nahin koyi hussain ké siva

Hamara raah bar nahin koyi hussain ké siva

 

 

Hamara rishta hussain sé hai, buss ék rishta Hussein sé hai

 

 

Yeh woh hussain hai mila hai jisko doshé Mustufa

Yéhi baqaaré arsh hai yéhi hai naazé kibriya

Ana minal Hussain keh ké yé Nabi né keh diya

Issi sabab sé aaj hum bhi dé rahe hai yeh sadaa

 

 

Hamara rishta hussain sé hai, buss ék rishta hussain sé hai

 

 

Hussain ko dilon mein tum bithaalo ay hussainiyo

Hussain ko nazar mein tum bassaalo ay hussainiyo

Yeh keh ké apna dehr ko banaalo ay hussainiyo

 

 

Hamara rishta hussain sé hai, buss ék rishta hussain sé hai

 

 

Samaa silé ké taa samak hussain hi hussain ho

Zamin sé aasma talak hussain hi hussain ho

Jahan jahan falak falak hussain hi hussain ho

 

 

Hamara rishta Hussain sé hai, buss ék rishta Hussain sé hai

 

 

Jahan péh gham Hussain ka wahan péh bhi siya saté

Jahan péh gham hussain ka wahan péh bhi kadhuraté

Khuda ké waasté mitaado dil ki yéh galaazaté

Munaafiqat ko tchhor kare payal zaban yehi kahé

 

 

Hamara rishta hussain sé hai, buss ék rishta hussain sé hai

 

 

Rahengué yawmé hashr bhi wohi to log Shadman

Ghamé hussain mein jo kar rahein hai naaraa o fugaan

Ay Maajid apné paas aana paaégua ghamé jahan

 

 

Hamara rishta hussain sé hai, buss ék rishta hussain sé hai

 

 

Sirf Ya Hussain ….

Kha Gayi Shaam Ke Zindan Me – Shadman Raza – 2009

jaise sakina yateem hui

sham ke zindan may jab sakina ko baba ka sar mila
lipta ke sar ko seene se bachi ne ye kaha
kha gaye sham ke zindan may andhere baba

kisko kehte hai yateemi ye suna tha maine
aap ke baad ye ehsaas hua hai baba
kha gaye sham ke….

aap ke baad yateemi ki saza paayi hai
itni tanha hoo ke saaya hai na parchayi hai
raat ro ro ke guzarti hai to din matam may
qaid khane may yuhin saal kata hai baba
kha gaye sham ke….

zindagi meri dukhon se hai ibarat baba    
kaise qismat ne dihkhayi hai musibat baba
mai jo roti hoo to lagte hai tamachay baba
aap ki yaad may rona bhi saza hai baba
kha gaye sham ke….

ashk aankhon se nikalte hai lahoo kano se
ab darindo se nahi khauf hai insano se
ek majboor yateema par sitam dhaate hai
meri taqdeer may durro ki jafa hai baba
kha gaye sham ke….

aap ki tarha se roothe hai ujaale baba
kaun zindan se ab mujhko nikaale baba
tune maanga tha duaon may khuda se jisko
ab wohi beti hai zindan may jafa reh baba  
kha gaye sham ke….

apne armaan thay ke zindan se mai ghar jaungi
aisa lagta hai yehi ro ro ke marjaungi
ye sitamgaar sakina ko kafan kya denge
kya kafan aap ke laashe ko mila hai baba
kha gaye sham ke….

baba kehte hai ye zindan ke andhere mujhse
maut hi aayegi ab mujhko dilaase dene
meri har saans hi rehti hai sitam ki zad par
aise jeene se to marna hi bhala hai baba
kha gaye sham ke….

zakhm laakhon hai kaleje may dikhaun kaise
mujhpe jo beeth rahi hai wo bataun kaise
pyas lagti hai to peeleti hoo aansu apne
zulm ke durre sakina ki ghiza hai baba      
kha gaye sham ke….

lafz mazhar ne jo likhe hai lahoo rote hai
shadman khaak se yun ashke aza behte hai
aisa lagta hai ke zindan se sada aati hai
aisa nauha meri ghurbat pe likha hai baba
kha gaye sham ke….