Pukari laash pe Zehra mere Hussain Hussain

Pukari Laash pe Zehrra, mere Hussain Hussain, 

Kafan bhi tune nahi paya mere Hussain Hussain.

Mere ghareeb mere paak kasht mere pyaase
Mere shaheede tamanna mere Hussain Hussain.

May aayi hu tujhe rone ko khuld se beta
Mujhe do uthke dilaasa,mere Hussain Hussain

Basi hai Shaam ki basti, Madina viraan hai
Mazaar hai mera sonaa, mere Hussain Hussain

Pukari Laash pe Zehrra, mere Hussain Hussain,

Kafan bhi tune nahi paya mere Hussain Hussain.

Salaam Khaaknasheeno Pe

Salaam khaak nasheeno pa sogwaron ka 
Ghareeb dete hai pursa tumhare pyaro ka

Salaam un pa jinhe sharm khaaye jaati hai
Khule saron pe aseeri ki khaak aati hai

Salaam us pa jo zahmat kashe salaasil hai
Musibaton may Imamat ki pehli manzil hai

Salaam bhejte hai apni Shahzadi par
Ke jisko sawnp gaye marte waqt ghar Sarwar

Musafirat ne jise bebasi ye dikhlayi
Nisar kar diye bache na bach saka Bhai

Aseer ho ke jise shaamiyo ke narghay may
Hussainiyat hai sikhaana AM ke lehje may

Sakina bibi tumhare ghulam haazir hai
Bujhe jo pyas to ashkon ke jaam haazir hai

Ye sin, ye hashr ye sadmay naye naye Bibi
Kahan pa baithi ho khaime to jal gaye Bibi

Pahaar raat, bari der hai sawere may

Kahan ho shaam-e-ghareeban ke ghup andhere may

Zameen garm, yateemi ki sakhtiyan Bibi
Woh seena jis pa ke soti thi ab kahan Bibi

Janaab-e-Maadar-e-Baysheer ko bhi sab ka Salaam
Ajeeb waqt hai kya dein tasalliyon ka payam

Abhi kaleje may ek aag si lagi hogi
Abhi to godh ki garmi na kam hui hogi

Nahin andhere main kuch soojhta kahan dhundhen
Tumhara Chaand kahan chhup gaya kahan dhundhen

Na is tarah koi kheti hari bhari ujdi
Tumhari maang bhi ujdi hai kokh bhi ujdi

Nahi layeeno may insaan koi khuda hafiz
Darinde aur ye bewa-risi khuda hafiz

Shareek-e-haq darood-o-Salaam-e-Payghambar
Salaam Sayyid-e-Lawlaak ke lute ghar par

Salaam Mohsin-e-lslam khasta tan laasho
Salaam turn pe Shaeedon ke be-kafan laasho

Salaam turn pe Rasool-o-Batool ke pyaro
Salaam Mehr-e-lmamat ke gird sayyaro

Bache to agle baras ham hain aur ye gham phir hai
Jo chal base to ye apna salaa m-e-aakhir hai


Janum Hussain (as) – Nadeem sarwar 2019

Maula Ya Hussain!!!
Maula Ya Hussain!!!
Ya Hussain.. Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Maula Ya Hussain!!!
Maula Ya Hussain!!!
Ya Hussain.. Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Hussain ka jo sog hai na khatm hoga ba khuda..(2)
Moharram o safar na ho to ghum na hoga saath kya?..(2)
zindagi ke saath bhi, zindagi ke baad bhi
zindagi ke saath bhi, zindagi ke baad bhi..(2)
Baadshah hamara Ya Hussain.. Hussain
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!.. Hussain, Hussain
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!.. Hussain, Hussain

Maula awaaz do, hume parwaaz do
hum azadaro ki taqdeer jaga do
aapka saath ho aapki baat ho
dil mera apna azakhana bana do

Maula Maula Hussain, Ya Maula Hussain..(2)
zindagi ke saath bhi, zindagi ke baad bhi
Baadshah hamara Ya Hussain.. Hussain

Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!.. Hussain, Hussain
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!.. Hussain, Hussain

Zinda wafadari rahe, farshe azadari rahe
tujhpe jiye, tujhpe mare
naukri ye chalti rahe
hum rahe na rahe, hum jiye na jiye
hum chale ya ruke
is jaha’n ke saath bhi, is jaha’n ke baad bhi..(2)
Baadshah hamara Ya Hussain.. Hussain
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!.. Hussain, Hussain
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!.. Hussain, Hussain

Badshah, badshah, badshah Ya Hussain..(2)
zindagi ke saath bhi, zindagi ke baad bhi
Baadshah hamara Ya Hussain.. Hussain

Tera ye ghum saath rahe, tera karam saath rahe
chalte rahe ehle azaa, aur alam saath rahe
har qadam dum-badam, saath ho tera ghum
karbala ki qasam
dhadkano ke saath bhi, dhadkano ke baad bhi..(2)
Baadshah hamara Ya Hussain.. Hussain
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!.. Hussain, Hussain
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!.. Hussain, Hussain

Maula awaaz do, hume parwaaz do
hum azadaro ki taqdeer jaga do
aapka saath ho aapki baat ho
dil mera apna azakhana bana do

Maula Maula Hussain, Ya Maula Hussain..(2)
zindagi ke saath bhi, zindagi ke baad bhi
Baadshah hamara Ya Hussain.. Hussain

Maula mere dil ki sada, maang raha hu ye dua
maula tere naam rahe, jeena mera marna mera
Aye khuda, sun sada, hai yehi iltejaa
tu dikha karbala
is dua ke saath bhi, is dua ke baad bhi
Baadshah hamara Ya Hussain.. Hussain
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!.. Hussain, Hussain
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!.. Hussain, Hussain

Badshah, badshah, badshah Ya Hussain..(2)
zindagi ke saath bhi, zindagi ke baad bhi
Baadshah hamara Ya Hussain.. Hussain

Aaqa shahe karbobala, tune bada kaam kiya
deen pe sab waar diya, phir bhi tera sar na jhuka
ghar diya, sar diya, bach gaya la ilaah
saj gayi karbala
karbala ke saath bhi, karbala ke baad bhi..(2)
Baadshah hamara Ya Hussain.. Hussain
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!.. Hussain, Hussain
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!.. Hussain, Hussain

Maula awaaz do, hume parwaaz do
hum azadaro ki taqdeer jaga do
aapka saath ho aapki baat ho
dil mera apna azakhana bana do

Maula Maula Hussain, Ya Maula Hussain..(2)
zindagi ke saath bhi, zindagi ke baad bhi
Baadshah hamara Ya Hussain.. Hussain

Jeete raho ehle azaa, dil mein rahe karbobala
shaad raho chalte raho, pehne hue shale azaa
hai dua, ho sadaa, har jagah, ye azaa
ye sadaa ye nawaa
majliso ke saath bhi, majliso ke baad bhi..(2)
Baadshah hamara Ya Hussain.. Hussain
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!.. Hussain, Hussain
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!
Janam Ya Hussain..!!!.. Hussain, Hussain

Maula awaaz do, hume parwaaz do
hum azadaro ki taqdeer jaga do
aapka saath ho aapki baat ho
dil mera apna azakhana bana do

Maula Maula Hussain, Ya Maula Hussain..(2)
zindagi ke saath bhi, zindagi ke baad bhi
Baadshah hamara Ya Hussain.. Hussain

Nabi, Ali o Fatima, Hasan ke chayn Marhaba!
Maula Maula Hussain, Ya Maula Hussain
Khuda ke noor, panjetan ke noor e ayn Marhaba!
Maula Maula Hussain, Ya Maula Hussain
Sada rahe ye silsila, na toote tujhse raabta
tu dhadkano mein bus gaya, tu rooh mein sama gaya
tu dhadkano mein bus gaya, Hussain..
tu rooh mein sama gaya, Hussain..
lahu mein mere goonjta, Hussain..
hamara hai ata pata, Hussain..
Salam aashiq e Khuda
Salam jaan e Mustafa
Salam qalb e Murtaza
Salam rooh e Fatima
Salam shah e karbala
Ghareeb e Nainawa
Ghareeb e Fatima
Ghareeb e Murtaza
Hussain Ya Hussain..(3)

Imam Hussain (as) – The Saviour of Islam

Imam Hussain (as)

– The saviour of Islam.

After 50 years of the death of Prophet Moammad (saww), the Muslim dictatorship has been started and was sliding into corruption under the tyrant Yazid ibne Maviya.

Imam Hussain (as) ibne Imam Ali (as) the grandson of our last Prophet, Prophet Mohammad took a stand against Yazid’s evil rule. Whilst Yazid was feared and hated for his ruthlessness, Imam Hussain (as) was loved and respected by society. Yazid realised this, and understood that if he could convince Imam Hussain (as) to support him, the people would too.

Imam Hussain (as) had this choice to support the tyrant Yazid and live a comfortable life with full of luxury or to refuse and likely be killed for his decision.
Yazeed was on the path of falsehood, and Imam Hussain (as) on the path of truth.

So Imam Hussain (as) chose the path of truth and refused Yazid’s proposal.

He said “I only desire to spread good values and prevent evil.”

Islam is alive just because of our 3rd Imam, Imam Hussain (as) ibne Imam Ali (as) ibne Abu Talib (as).

Salaam Yaa Hussain (as)