Baba Raat Ho Gayi – Ali Shanawar & Ali Jee – 2017

Baba raat hogayi..(6)

Baba aye mere baba, aao dhal gaya suraj

Nauha tha sakina ka, aao dhal gaya suraj

Baba aye mere baba, aao dhal gaya suraj

Baba raat hogayi..(4)

1. Sirf apne seene par, shab guzaar lene do

Chayn se mere baba, ek dafa to sone do

Subha phir chale jaana, aao dhal gaya suraj

2. Dono haath phaylaye, mai tumhe bulati hu

Is andhere zindaa mein, kitna ghabrati hu

Ab nahi raha jaata, aao dhal gaya suraj

3. Bus tumhare jaate hi, ghar jale chini chadar

Shimr mere kaano se, cheen le gaya gauhar

Zulm hogaye kya kya, aao dhal gaya suraj

4. Kya tumhe gawara hai mai yateem kehlau

Dushmano ki basti mein, kaise dil ko behlau

Berida hu be saaya, aao dhal gaya suraj

5. Shaam tak sabhi apne, ghar ko laut aate hai

Kitna hum to ro ro kar, intezar karte hai

Tum kab aaoge baba, aao dhal gaya suraj

Baba aye mere baba, aao dhal gaya suraj

Baba raat hogayi…Raat hogayi baba…

Salamat Rahe – Ameer Hasan Amir – 2017

Madine me sughra ki hai ye dua mera bhaiyya akber salamat rahe,
Dua meri sun le aye mere khuda Mera bhaiyya akber salamat rahe..

1-Ajab khwab dekha hai hairan hoon *2 museebat zada hun pareshan hoon *2
Rahe khair se mere pyare chacha, mera bhaiyya akber salamat rahe
Madine me sughra ki hai ye dua mera bhaiyya akber salamat rahe

2-Mere khwab me kuch haqeeqat na ho *2 qayamat se pehle qayamat na ho *2
Na ho choor zakhmo se baba mera, mera bhaiyya akber salamat rahe!!
Madine me sughra ki hai ye dua mera bhaiyya akber salamat rahe.

3- Bichhadne se asgher ke dil hai udas *2 Najane wo kab ayega ayega mere paas *2
Humakta rahe bhaiyya Asgher mera, mera bhaiyya akber salamat rahe!!
Madine me sughra ki hai ye dua mera bhaiyya akber salamat rahe

4-Dawa chahe mujhko mayassar na ho *2,  ghiza chahe mujhko mayassar na ho *2,
Khuda meri sunle meri ilteja,  mera bhaiyya akber salamat rahe!!
Madine me sughra ki hai ye dua mera bhaiyya akber salamat rahe

5- Ye dil apne bhai pe qurban hai*2, Mujhe uski shadi ka arman hai *2,
Mujhe uska chehra dikha de khuda, mera bhaiyya akber salamat rahe!!
Madine me sughra ki hai ye dua mera bhaiyya akber salamat rahe

6- Kayi roz se badh raha hai bukhar *2, Tadapta hai dil soch ker baar baar *2,
Dhalakti hai kyun sir se meri rida,  mera bhaiyya akber salamat rahe!!
Madine me sughra ki hai ye dua mera bhaiyya akber salamat rahe

7- Ye fakhri O Aamir qayamat hui *2, Lagi dil me barchhi shahadat hui *2,
Behen ki dua ban gayi marsiya, mera bhaiyya akber salamat rahe!!
Madine me sughra ki hai ye dua mera bhaiyya akber salamat rahe

Yaa Imam Raza – Ameer Hasan Amir – 2017

Ya Imam-e-raza, ya Imam-e-raza, Aye shahenshahe khurasaan,
Ya Imam-e-raza, Aye imam-e-Raza Salam-o-alaik.
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2
Bekasi keh rahi hai mayyat per, warise karbala salam-o-alaik.
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

1- Ho raha hai fiza me gham mehsoos, bujh gaya aftab-e-shehre toos,
Aasmano se aa rahi hai sada, nayab-e-mustafa Salam-o-alaik..!!
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

2- Chha rahi hai udasiyan hersoon, aur tapakte hain aankh se aasoo,
Sari duniya me ek talatum hai, deen ke nakhuda salam-o-alaik..!!
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

3- Qalbe kaunain para para hai, tumko zehre dagha se mara hai,
Aye ghareebul watan salam-o-alaik, Aye aseere jafa salam-o-alaik..!!
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

4- Shahe aali muqam ka taboot, uth raha hai imam ka taboot,
Apna sar peet ker janaze per, keh rahi hai qaza salam-o-alaik..!!
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

5- Maut per aapki imam-e-mubin, keh rahe hain ghareeb aur miskeen,
Ho gaye aaj besahara hum, kul ke hajat rawa salam-o-alaik..!!
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

6- Utra utra hai raat ka chehra, zard hai kayenaat ka chehra,
Zeher ki kaifiyat hai saanso me, tajdare wafa salam-o-alaik..!!
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

7- Kaisa ranjo malal ka din hai, noor ke inteqal ka din hai,
Aaj dil ki hare k dhadkan se, aa rahi hai sada salam-o-alaik..!!
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

8- Mere maula qubool farmana, leke kuch aasuon ka nazrana,
Pursa dete hain aamir-o-akhter, naazishe ambiya salam-o-alaik.
Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2

Aye imam-e-Raza Salam-o-alaik *2

Mujhe Shabbir Kehte Hain – Ameer Hasan Amir – 2017

Nabee ki aankh ka tara, Ali ko jaan se pyara
Bachaya deen hai jisne, Use shabbeer kehte hain
Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbier kehte hain*2
Har ek baala se aala hoo’n mujhe shabbier kehte hai
Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbier kehte hain*2

1- Sawal e beyat e fasiq karoo’n tasleem na mumkin
Bhala hinda ke bête ki karoo’n tazeem na mumkin
Mai beta fatema ka hoo’n mujhe shabbier kehte hain

Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbier kehte hain *2

2- Mai wo hoo’n jiska jhoola bhi farishto’n ne jhulaya hai
Mai wo hoo’n jisko kaandho’n par mohammad ne chadhya hai
Ali ka mai dulara hoo’n mujhe shabbier kehte hain

Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbier kehte hain *2

3- Samajh me mai agar thoda bahot aao’n to phir kehna
Subhana rabbeal aala subhana rabbe al aala.
Kaha’n aakhir mai tumsa hoo’n mujhe shabbier kehte hain

Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbier kehte hain *2

4- Mai jisko chahoo’n doo’n aulaad jisko chahoo’n par de doo’n
Khatayen bakhsh doo’n jannat me jisko chahoo’n ghar de doo’n
Sakhawat ka mai darya hoo’n mujhe shabbier kehte hain

Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbier kehte hain *2

5- Mai jis dam ghaiz me aao’n falak kaanpe zamee’n kaanpe
Paro’n ki khairiyat ke waste ruhul amee’n kaanpe
Bahadur baap jaisa hoo’n mujhe shabbier kehte hain

Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbier kehte hain *2

6- Qadam peechhe hatao’n raahe haq me ho nahi sakta
Mai apni khandaani saakh har giz kho nahi sakta
Abu talib ka pota hoo’n mujhe shabbier kehte hain

Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbier kehte hain *2

7- Meri nazro’n me ye nau lakh to nau ki barabar hain
Mere hamrah jitney fard hain wo khud me lashkar hain
Shuja’at ka qabeela hoo’n mujhe shabbier kehte hain…

Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbier kehte hain *2

8- Irada kar liya jis shey ka usko kab nahi paya
Riyayat se kabhi maine koi mansab nahi paya
Khateeb e noke neza hoo’n mujhe shabbier kehte hain

Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbier kehte hain *2

9- Jo ghabrata nahi asif kabhi talwar o khanjar se
Jo aamir fatha ka ailaan karta hai kate sar se
Mai wo banda khuda ka hoo’n mujhe shabbier kehte hain

Mohammad ka nawasa hoo’n mujhe shabbier kehte hain *2

Nabee ki aankh ka tara, Ali ko jaan se pyara
Bachaya deen hai jisne, Use shabbeer kehte hain

Sakina Paani Aaya Hai – Ameer Hasan Amir – 2017

Utho Asgher mere pyase wo dekho pani aaya hai *2,
Sakeena pani aaya hai *2
Taras sham-e-ghareeba me kisi ne hamper khaya hai
Sakeena pani aaya hai *2
Ye kehkar khak se Zainab ne bacchi ko uthaya hai
Sakeena pani aaya hai *4

1- Bhala kab tak yunhi pyasi rahogi utho zid chhodo,
Chach ka wasta deti hun ye faqa abhi todo,
Isi pani ke khatir khoon me ammu nahaya hai..!!
Sakeena pani aaya hai *4

2- Zabane khushk me beti tere kaate pade honge,
Faqat do ghoot hi peele tere ehsan bade honge,
Sitam pardes me tujhper bahot qismat ne dhaya hai..!!
Sakeena pani aaya hai *4

3- Najane saara din maqtal me kya guzri hai pyase per,
Lo kuch pani chhidak aao ali asgher ke lashe per,
Zara se sin me usne pyas ka sadma uthaya hai..!!
Sakeena pani aaya hai *4

4- Labon ko tishnagi ki teer se azaad ker beti,
Na ab is derja ro ro ker chacha ko yaad ker beti,
Ghubar-e-tashnagi kab se tere chehre pe chhaya hai..!!
Sakeena pani aaya hai *4

5- Suna jis dam sakeena ne phuphi se naam pani ka,
Khayal aane laga reh reh ke ammu ki jawani ka,
Ye keh ker khoon-e-dil aankho se bacchi ne bahaya hai..!!
Sakeena pani aaya hai *4

6- Kaleja phhatt gaya nanhi si jaan ka shiddate gham se,
Lipat ke der tak kehti rahi ammu ke parcham se,
Piyungi haath se uske jise saqqa banaya hai..!!
Ye pani kaun laaya hai, ye pani kaun laaya hai..
Sakeena pani aaya hai *4

7- Main is paani ko kis dil se batauo muh lagaungi,
Ali asgher se kaise hashr me nazren milaungi,
Tasawwar per mere ab tak mera besheer Chaya hai,
Ye paani kaun laya hai, ye paani kaun laaya hai,
Sakeena pani aaya hai *4

8- Dua merne ki mere keejiye shah-e-madina se,
Ye paani kis tarah utrega halqe sakeena se,
Phuphi amma isi paani ne ammu se chhudaya hai,
Ye paani kaun laaya hai, ye paani kaun laaya hai
Sakeena pani aaya hai *4

9- Jaza-e-khair de usko khuda itni dua ker do,
Utho kuch shukriya to hur ki bewa ka ada kar do,
Hamara aalam-e-ghurbat me usne dil badhaya hai..!!
Sakeena pani aaya hai *4

10- Qarar aata nahi tha Aamir-o-Akhter bechari ko,
Chacha ki yaad aati thi gham-e-furqat ki maari ko,
Badi mushkil se zainab ne ye keh keh ker chupaya hai..!!
Sakeena pani aaya hai *4
Utho Asgher mere pyase wo dekho pani aaya hai*2
Sakeena pani aaya hai *4