The One & Only Hussain – Ali Shanawar & Ali Jee – 2017

Hussain.. hussain
hussain, hussain, hussain..(2)

Oh My Master, Oh My Lord
I will always come to your door
The one who gave me everything
The one and only hussain..(2)
Hussain.. hussain
The one and only hussain

When we look at humanity
We look at his name
He gave us this gift, and went through so much pain
He thought us the art of living through his sacrifice
He is the one and only who is the path to paradise

The one and only hussain
Hussain.. hussain
The one and only hussain..(2)
Hussain.. hussain
The one who gave me everything

His family has the status, the best of mankind
He will always be in our hearts and in our mind
Calling myself his lover, there is no shame
Finding salvation through his love is our aim

The one and only hussain
Hussain.. hussain.. hussain
The one and only hussain
Hussain.. hussain.. hussain

I want to give my life in your services Maula
I will always remember the day of Ashura
I won’t forget your lessons of justice and truth
An inspiration for me and for my fellow youth

The one and only hussain
Hussain.. hussain
The one and only hussain..(2)
Hussain.. hussain
The one who gave me everything

When I loose my way in life, to him i turn
He always gives, for nothing in return
I’m so lucky to have a master like him
No one in this universe will ever be the same

The one and only hussain
Hussain.. hussain.. hussain
The one and only hussain

Oh My Master, Oh My Lord
I will always come to your door
You’re the savior
O hussain
You’re the helper
O hussain
You’re the Hero
O hussain
You’re the Hero
O hussain
The one who gave me everything
The one and only hussain

Em Shab – Ali Shanawar & Ali Jee – 2017

Mazloom hussaina..(2)
Beyaar hussain..(2)
Em shab shab e matam e hussain
alam hame dar fugha hussaina..(2)

Mazloom hussaina..(2)
Beyaar hussain..(2)
Em shab shab e matam e hussain
alam hame dar fugha hussaina..(2)

Jo kar na saki bhai ka deedar wo behna
Mazloom hussaina..(2)
baba tha jiska haider e qarrar wo behna
Mazloom hussaina..(2)
Em shab..

1. Har qaum mein hota hai ye mazloom ka matam
zehra ke dilo jaan ka (masoom ka matam)..(2)
qurbaniye shabbir ko bhula na zamana
Mazloom hussaina..(2)
Em shab..

2. Har ek ko ro ro ke rulata hai moharram
ashoor ka din yaad (dilata hai moharram)..(2)
wajib hai yeh paigham zamane ko sunana
Mazloom hussaina..(2)
Em shab..

3. Hum zikr e shaheedan e baqa karte rahenge
abbas ke parcham ko sada (uncha rakhenge)..(2)
ye pursa hai zehra ko safeerane azaa ka
Mazloom hussaina..(2)
Em shab..

Mazloom hussaina..(2)
Beyaar hussain..(2)
Em shab shab e matam e hussain
alam hame dar fugha hussaina..(2)

Jo kar na saki bhai ka deedar wo behna
Mazloom hussaina..(2)
baba tha jiska haider e qarrar wo behna
Mazloom hussaina..(2)
Em shab..

Paani Piyo – Ali Shanawar & Ali Jee – 2017

Sadaat pyaase reh gaye..(3)
paani piyo to yaad karo pyaas imam ki
pyaaso sabeel hai ye shaheedo’n ke naam ki

paani piyo to yaad karo pyaas imam ki
pyaaso sabeel hai ye shaheedo’n ke naam ki

1. Khanjar tale hussin ko pani nahi mila
pyaaso karo qubool ye tohfa hussain ka
chahat hai ye hussain alaihis salam ki
pyaaso sabeel hai ye shaheedo’n ke naam ki

2. Jannat mein kar chuka hai khuda jiska ehtemam
kausar rakha hai aayat e kausar mein jiska naam
jageer ye sabeel hai bara(12) imam ki
pyaaso sabeel hai ye shaheedo’n ke naam ki

3. Aati hai is sabeel pe ujdi wo bibiya’n
yaani ali o fatima zahra ki betiya’n
ye baargah bhi hai shahe tishna kaam ki
pyaaso sabeel hai ye shaheedo’n ke naam ki

4. Pani ka intezaar sakina se puchiye
asghar ki maa, rabab e hazina se puchiye
rasme sabeel jisne zamane mein aam ki
pyaaso sabeel hai ye shaheedo’n ke naam ki

5. Jab karbala shanawar o salman jaaenge
pyaaso ke naam par waha’n paani pilayenge
zahra ki naukri hai ye khidmat imaam ki
pyaaso sabeel hai ye shaheedo’n ke naam ki

Ya Ali Madad – Ali Shanawar & Ali Jee – 2017

Ali…Ali..
ya ali.. ya ali..(4)
Ya ali ya madad, ya ali ya madad, ya ali ya madad..(2)
ya ali ali haider..(3)

1. Ye ishq e wila maula
ye ishq e azaa maula
dhadkan hai najaf meri
dil karbobala maula
ek durre najaf maula
ek khake shifa maula
hurr bhi yahi milte hai
milta hai yahi qambar

ya ali madad.. haider
ya ali madad.. haider
shahe lafata.. haider
jaan e murtaza.. haider
maula ayliya.. haider..(2)
ya ali ali haider..(3)
Ya ali ya madad, ya ali ya madad, ya ali ya madad..(2)
ya ali ali haider..(3)

2. Ye naara wo naara hai
jo haq se milata hai
momin ki munafiq ki
pehchan karata hai
dil dil se milata hai
eeman batata hai
hai qabr mein barzakh mein
mehshar mein yahi rahbar

ya ali madad.. haider
ya ali madad.. haider
shahe lafata.. haider
jaan e murtaza.. haider
maula ayliya.. haider..(2)
ya ali ali haider..(3)
Ya ali ya madad, ya ali ya madad, ya ali ya madad..(2)
ya ali ali haider..(3)

3. Wo jalta hua sehra
wo lakhte dil e haider
qurbaan kiye bete
qurbaan hua lashkar
teero’n ke musalle par
ya sajda tahe khanjar
kehte nazar aate the
har gaam yahi sarwar

ya ali madad.. haider
ya ali madad.. haider
shahe lafata.. haider
jaan e murtaza.. haider
maula ayliya.. haider..(2)
ya ali ali haider..(3)
Ya ali ya madad, ya ali ya madad, ya ali ya madad..(2)
ya ali ali haider..(3)

4. Ansaar e hussaini ka
maktab hi nirala hai
shabbir ki nusrat ka
seeno mein ujala hai
kirdar e hussaini mein
allah ne dhaala hai
kehte rahe maida’n mein
sab teero sina kha kar

ya ali madad.. haider
ya ali madad.. haider
shahe lafata.. haider
jaan e murtaza.. haider
maula ayliya.. haider..(2)
ya ali ali haider..(3)
Ya ali ya madad, ya ali ya madad, ya ali ya madad..(2)
ya ali ali haider..(3)

5. Aye mere ali maula
ho ham pe karam tera
salman o shanawar ke
ho sar pe alam tera
piche ho qadam apne
aage ho qadam tera
imdaad shahe safdar
imdaad shahe safdar

ya ali madad.. haider
ya ali madad.. haider
shahe lafata.. haider
jaan e murtaza.. haider
maula ayliya.. haider..(2)
ya ali ali haider..(3)
Ya ali ya madad, ya ali ya madad, ya ali ya madad..(2)
ya ali ali haider..(3)

Ya ali ya madad, ya ali ya madad, ya ali ya madad

Khoon Barsa – Ali Shanawar & Ali Jee – 2017

Khoon barsa

Khoon barsa, khoon barsa..(3)
Khoon barsa na barasna tha na badal barse
ek ek qatre ko paani ke shahe dee’n tarse

Khoon barsa, khoon barsa
Khoon barsa na barasna tha na badal barse

1. Pyaas jab hadse badhi roke sakinaa ne kaha..(2)
door kitni hai chacha nehr batao ghar se
Khoon barsa, khoon barsa
Khoon barsa na barasna tha na badal barse

2. Ab kaha’n khaak pe baithi ho sakina uttho..(2)
kaun aaya hai palat kar jo gaya rann se
Khoon barsa, khoon barsa
Khoon barsa na barasna tha na badal barse

3. Ghudkiya’n shimr ki khaayi to kiya aap ko yaad..(2)
kaan ke dard se royi to tamache barse
Khoon barsa, khoon barsa
Khoon barsa na barasna tha na badal barse

4. Abhi shabbir hai zinda wahi thehro zainab..(2)
tumko akbar ki qasam tum na nikalna ghar se
Khoon barsa, khoon barsa
Khoon barsa na barasna tha na badal barse

5. Mere nana ke madine tujhe zainab ka salam..(2)
thokare khake palat aayi hu mai dar dar se
Khoon barsa, khoon barsa
Khoon barsa na barasna tha na badal barse

6. Haq o batil ka ho takraao to dil ladte hai..(2)
jung ye jeeti nahi jaati kabhi lashkar se
Khoon barsa, khoon barsa
Khoon barsa na barasna tha na badal barse
ek ek qatre ko paani ke shahe dee’n tarse

Khoon barsa, khoon barsa
Khoon barsa na barasna tha na badal barse
Khoon barsa, khoon barsa