Mujhe Abbas Sa Beta De De – Mesum Abbas – 2010

(Sakhi Abbas Jari Ya ilaahi mujhe de) x2

 

Ek jari chaahiye taarike shujaa’at ke liye, Karbala mein mere Shabbir ki nusrat ke liye

Aur na munh se payambar ki hifaazat ke liye, Ya ELAAHI mujhe Abbas-sa beta dede

(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

 

Shukr sad shukr tera shabbar-o-shabbir diye, Betiyaan ki hai ata zainab-o-kulsoom mujhe

Baad iske meri bas ek dua ke badle, Ya ELAAHI mujhe Abbas-sa beta dede

(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

 

Aaina sabr-o-shujaat ka bana na mera, Hu bahu meri hi tasweer ho baccha mera

Usko dekhoon to nazar aaye sarapa mera, Ya ELAAHI mujhe abbas sa beta dede

(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

 

Koi be-yar-o-madadgaar agar hojaye, Iltaja behre madad apni zabaan par laye

Mujko awaaz koi de wo madad ko aaye, Ya ELAAHI mujhe abbas sa beta dede

(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

 

Zindagi jiski guzar jaye alamdaari me, Apne baazoo bhi kata de jo fidakaari me

Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me, Ya ELAAHI mujhe abbas sa beta dede

(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

 

Naam uska ho jin hoton pe wahan pyas na ho, Koi umeed na toote koi be aas na ho

Yaad karke use tanhai ka ehsaas na ho, Ya ELAAHI mujhe abbas sa beta dede

(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

 

Mere maalik mere honthhon pe jab aayi ye dua, Meri aankhon mein nazar aane lagi Karbobala

Mera Shabbir musibat mein kharaa hay tanhaa, Ya ELAAHI mujhe Abbas-sa beta dede

(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

 

Jab woh karbal mein ho chawbhees pehel ka pyaasa, Har kadam par use isaar ka jazba dena

Aur mere laal ke haathonko salaamat rakhna, Ya ELAAHI mujhe Abbas-sa beta dede

(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

 

Ay “kaleem” ho gayi maqbool duaa-e-Haidar, Usko “Mesum” kaha hai Fatema Zehra ne pisar

Arzu ki thi Ali ne jo huzur-e-daawar, Ya ELAAHI mujhe Abbas-sa beta dede

(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

Kya Dhoondh Rahi Hai – Mesum Abbas – 2010

Kya Dhund Rahi hai jungle me sakina

kya dhoond rahi hai jangal may sakina
abbas ke baazu ya baba ka seena

kano se chine gowhar aur aag thi daman may
ghabrayi hui bachi ye kehti rahi ran may
hai koi jo mujhko pahunchade madina
kya dhoond rahi….

ran se ali asghar ko le aao mere baba
soona nazar aata hai bhai ka mere jhoola
asghar ke baghair ab mujhko nahi jeena
kya dhoond rahi….

ye shaam ke zindan may deewaron ko takti hai
kya soch ke ye jaane din raat sisakti hai
bichdi hai chacha se jab se ye hazeena
kya dhoond rahi….

dunya se sidhare hai bhai jo mere pyase
jab tak nahi lautenge ammu mere darya se
maine ay phupi jaan pani nahi peena
kya dhoond rahi….

pahunche jo shahe wala bete ki sada sunkar
dekha ke ragadte hai aydi ko jawan akbar
naize ki ani hai aur bete ka seena
kya dhoond rahi….

ahmed ke nawase ko maara hai moharram may
chalees baras roye sajjad isi gham may
tareekh pukari hai gham ka mahina
kya dhoond rahi….

honge sare mehshar bhi unchay yuhin sar apne
markhad ko ujalon se bhar denge zafar apne
rakhte hai lehad may hum ashkon ka khazeena
kya dhoond rahi….

Fatima Kehti Thin – Mesum Abbas – 2009

Roti rahi hai sayyada karti rahi aaho bukaa (2)

Fatema kehti hai mai roti thi chillati thi

Haaye mai khanjar e qaatil se lipat jaati thi.

1) Mere Husain ka zakhmo se bhar chukaa tha badan,
Qareeb hi dar e khaimey pe rorahi thi bahan,
Meri fughaa se larazne lagaa tha saara bann (2)
Judaa husain ki gardan jo huwi jaati thi

Haaye mai khanjar e qaatil…..

2) Giraa tha ghode se jis damm woh mera laqtey jigar,
Uthaake godh me rakhkha tha mai ne uska sar,
Giraati jaati thi aansu mai uske hoto par (2)
wo pyaas tegh taley aur badhi jaati thi

Haaye mai khanjar e qaatil…..

3) Mai roke kehti thi zaalim se, zulm ke baani,
Agar hai dil me zara sa bhi dard e insaani,
Ba waqt e zibha to dede Husain ko paani (2)
Nabi ka waasta dede ke mai samjhaati thi

Haaye mai khanjar e qaatil……

4) Mai boli, laashe uthaata rahaa hai ye din bhar,
Jawaan bhai ke ghum mey jhukii huwi hai kamar,
Kadii hai dhoop, udhaade usey koi chaadar (2)
Mai Baal kholey huwe dasht me chillati thi

Haaye mai khanjar e qaatil……

5) Kabhi Jo karbobala jaao MEESUM O REHAAN,
Tumhare kaano me aayegi ek sadaa har aan,
ghareeb maa teri gurbat pey, sabr par qurbaan (2)
Mai kuch na karsaki bass itna hi Kar paati thi

Haaye mai khanjar e qaatil……

Main Aa Gayi Madina – Mesum Abbas – 2009

Ro ro ke pukari nana ki dulari (x2)

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x3)

Sughra se kya kahoongi, mushkil hai mera jeena

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

2) Apni rida lutake (x2), khutbe suna sunake (x2)
Apni rida lutake, khutbe suna sunake
Deewar zulm dhaake, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

3) Balwe may thi khule sar (x2), be pardagi ke patthar (x2)
Balwe may thi khule sar, be pardagi ke patthar 
Kha kha ke ashkiya se, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

4) Zindaan tha andhera (x2), chaaron taraf tha pehra (x2)
Zindaan tha andhera , chaaron taraf tha pehra
Aankhon se khoo bahake, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

5) Aayi nahin Sakina(x2), phatt tha hai mera seena (x2)
Aayi nahin Sakina, phatt tha hai mera seena
Usko wahin sulake, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

6) Noke sina pe sar the(x2), hum log nauhagar the (x2)
Noke sina pe sar the, hum log nauhagar the
Farshe azaa bichake, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

7) Sajjad natawan tha(x2), aankhon se khoo raha tha (x2)
Sajjad natawan tha, aankhon se khoo raha tha
Bimaar ko bachake, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

8)  Bazu pe khastatan ke (x2), ye daag hai rasan ke (x2)
Bazu pe khastatan ke, ye daag hai rasan ke
Nana sitam utake, mai aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

9) Tukde chune badan ke(x2), Kassim bine Hassan ke(x2)
Tukde chune badan ke, Kassim bine Hassan ke
Dulha usse banake, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

10) Matti ko karbala ki(x2), ye aapki nawasi(x2)
Matti ko karbala ki, ye aapki nawasi
Khak-e-shifa banake, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

11) Atthara bhaiyon ki (x2), haye haye behen thi qaidi (x2)
Atthara bhaiyon ki, haye haye behen thi qaidi
Qaid e sitam nibhake, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

11) Meesum baroze mehshar (x2), Rehan binte haider (x2)
Meesum baroze mehshar, Rehan binte haider
Zainab kahegi aake, main aa gayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

main aagayi madina (x3)

Main Jigar Ke Tukdon Ko – Mesum Abbas – 2009

Main jigar ke tukron ko chodke jau kahan,
Ek hain zindaan me ek bayaban me…x3

Asgare nadaan hain soya bayaban me..x2
Aur Sakina meri Shaam ke zindaan me…x2
Aur Sakina meri Shaam ke zindaan me
Main jigar….
Ek hain zindaan..x2

Qabre Sakina pe tha jism to bepan mera…x2
Shaam talekar chali Shaam suwe Karbala..x2
Shaam talekar chali Shaam suwe Karbala
Main jigar…x2
Ek hain zindaan me…..x2

Main hoon meri uljhane aur dil hain gumzada….x2
Koi kare aake hal meri yeh mushkil zara…x2
Koi karte aake hal meri yeh mushkil zara
Main jigar…..x2
Ek hain zindaan me…..x2

Zakhmi hain iski labe zakhmi hain uska gala…x2
Pushtae darjo alam dono ka hain ek saath ..x2
Pushtae darjo alam dono ka hain ek saath
Main jigar…x2
Ek hain zindaan me ….x2

Jhula jhulau kiss lori sunau kise..x2
Paani pilau kise bali pehnau kise…x2
Paani pilau kise bali pehnau kise
Main jigar…x2
Ek hain zindaan me…x2

Mujhe guzarti hain jo kisse bayan main karu..x2
Rou main kiske liye kiska yeh matam karu…x2
Rou main kiske liye kiske yeh matam karu
Main jigar…x2
Ek hain zindaan me..x2

Kaarwaan hone ko hain suwe Madina rawa..x2
Kaise watan jaugi dil hain pareshan yaha..x2
Kaise watan jaugi dil hain pareshan yaha
Main jigar…x2
Ek hain zindaan me…x

Kaasimo nayab ki pehli tamanna hain yeh…x2
Hoton pe Mesum ke jo bano ka Nauha hain yeh..x2
Hoton pe Mesum ke jo bano ka Nauha hain yeh
Main jigar….x2
Ek hain zindaan me….x2