Manam Abbas e Ghazi – Mesum Abbas – 2011

sakhi abbas, jari abbas (2)
abbaaas-
alam jiska havaao me fizaao me khula he
fizaao me khula he
jo saahil par shahadat paa ke bhi raazi raha he
ha jo raazi raha he
manam abbase gazi (8)

1. Me quraane wafa hu-
me haider ki dua hu-
me quraane wafa hu….
me haider ki dua hu….
mere baba ali ne mujko he allah se maanga-
abbas……
manam abbase gazi(4)

2. Ajal darti hai mujhse
yazidi fauj kya hai
Ajal darti hai mujhse
yazidi fauj kya hai
bina talwar aaya hu badalne jung ka naksha
abbas……
manam abbase gazi(4)

3. Wafao ka khuda hu
me zehra ki dua hu
wafao ka khuda hu
me zehraki dua hu
dua e fatema zehra ka har dam mujhpe he saya
abbas……
manam abbase gazi(4)

3. Me sakkae haram hu
wafa sar ka kadam hu
me sakkae haram hu
wafa sar ka kadam hu
are aaya hu shamiyo dekho mere nazdik na aana.
abbas…..
manam abbase gazi(4)

4. Chidhi mashke sakina
fata gazi ka sina
chidhi mashke sakina
fata gazi ka sina
baha pani to gazike labo par fir nahi aaya
abbas……
manam abbase gazi(4)

5. Gire ghode se jis dum
kamar sheh ki hui kham
Gire ghode se jis dum
kamar sheh ki hui kham
pukare sayyede wala kaho ek baar phir bhaiyya
abbas……
manam abbase gazi(4)

6. Suye kheyma na aaya-
mere gazi ka laasha
suye kheyma na aaya-
mere gazi ka laasha
kaha gazi ne aaka suye kheyma na jaaunga
abbas……
manam abbase gazi(4)

7. Rakhe baccho ne kuze
bahut be aas hoke.
rakhe baccho ne kuze
bahut be aas hoke
sakina ne kaha bacho nahi kehta mera sakka
abbas……
manam abbase gazi(4)

8. Mere ghazi ke jaisa
na hoga koi aisa
Mere ghazi ke jaisa
na hoga koi aisa
kata kar haath ko jisne sare aabe rawa likha
abbas…
manam abbase gazi(8)

7. Chalo rehano meesum
chale karbala hum
chalo rehano meesum
chale karbala hum
jaha chauda sadi se rozaye abbas hai kehta
abbas…
manam abbase gazi(8)
abbas………

Karbal Ke Jaane Waale – Mesum Abbas – 2011

karbal ke jane wale jab karbala pahuchna
mazlume karbala se mera salam kehna

kehna ke mere dil me
bus itni arzu hai
maula tumhare dar par
aane ki justuju hai
tum ho imame aali
aur mai hu ek sawali
aka tumhare dar se
koi fira na khaali
kabse pukarta hu
dedo mujhe sahara
har simt behre ghum hai
milta nahi kinara

is dehre bewafa me
beyaaro benisha hu
bezaar zindagi hu 
begaanae jahaan hu
armaan kuch nahi hai 
bus ek dua hai lab par
sab hasrate bhula kar
aankho me ashq bhar kar
faryaad kar raha hai
ek ranjo gam ka maara
ehle aza hu mai bhi
ghumkhwaar hu tumhaara

apna hai kaun kisko
mai haale ghum sunaau
hu mustarif kaha se
taskeene kalb laau
bechain ho raha hu
mujhko karaar dedo
ashko ke waste se
ghum ki bahar dedo
gham aakhri ho mera
maidaane karbala me
so jaau rote rote
gehra rahe kaza me

roze ki jaliyo se
karna dua lipatkar
rakh dena thokaro me
unki mera muqaddar
jis waqt multaji ho
tu shahe do jahan se
us waqt meri haajat
likh le teri zabaan se
sabke naseeb me ho
haasil teri dua ka
karbobala hai markaz har sahibe aza ka

shehre musafirane
rahe khuda wahi hai
yasrab se jo gaya tha
woh kafila wahi hai
jaan deke kar gae wo
nusrat shahe huda ki
kabre hai us zamin me
ansare bawafa ki
karna hai pesh tujhko
har bekafan ka pursa
paamaale zulme aada ibne hasan ka pursa

sahil pe alkama ke
bhai zarur jana
abbas bawafa ka
pursa wahi pe dena
fir sue kabre akbar
jana bade adab se
milti thi jiski surat
shakle shahe arab se
zainab ke ladlo ka
pursa zarur dena
tar apne ansuo se
asgar ki kabr karna

maqtal se karbala ki
khake shifa utha ke
ek maa ko pursa dena
furde nasheb jake
usdam nazar me hoga
aashur ka jo manzar 
behal ranjo gam se
khudko wahi girakar
khidmat me sayyada ki
zaro kataar rona
unka shareeke maatam meri taraf se hona

har pal tere safar ka
ab kamyab hoga
jo kaam tu karega
kaare sawaab hoga
aakhir me dastbasta
ek ilteja hai meri
ai karbala ke zaaer
jab wapsi ho teri
us waqt yaad rakhna 
hargiz na bhul jana
mera kafan waha se
lekar zarur aana

us din ke muntazir hai
kabse kalimo meesum
karbobala pahuchkar
yeh bhi kare muharram
seene pe daste matam
ashko se ankh tar ho
ehsase ghum ki had se
har saas ka guzar ho
nauha zabaan par ho
mazlume karbala ka
sad hai waa shahida
sad hai waa hussainaa

Hum Musafir Hain – Mesum Abbas – 2011

Haay..
Hum musafir hai majboor hai..(4)

Zulm dhao na ae zalimo, Hum musafir hai majboor hai..(2)
Dil jalao na ae zalimo, hum musafir hai majboor hai
Zulm dhao na ae zalimo, Hum musafir hai majboor hai..(2)

1) Mera nana rasoole khuda, mera baba ali murtaza
Kalma go ho to sunlo zara, chhod do tum mera raasta
yu satao na ae zalimo, hum musafir hai majboor hai
Zulm dhao na ae zalimo, Hum musafir hai majboor hai

2) Hai chala ghar se ibn-e-ali, karke nana se waada yahi
chahe qeemat ho kitni badi, mai bachaunga deene nabi
ye bhulao na ae zalimo,  hum musafir hai majboor hai
Zulm dhao na ae zalimo, Hum musafir hai majboor hai

3) Labpe tasbeeh hai shukre khuda, zere khanjar sare karbala
aisa sajda karunga adaa, naaz jispar kare ambiya
aazmao na ae zalimo,  hum musafir hai majboor hai
Zulm dhao na ae zalimo, Hum musafir hai majboor hai

4) Apne hatho pe asghar liye, shahe mazloom the keh rahe
qatl karna hai kardo mujhe, ghoot pani pila do ise
yu rulao na ae zalimo, hum musafir hai majboor hai
Zulm dhao na ae zalimo, Hum musafir hai majboor hai

5) Hum hi hai hujjate kibriya, hum hi hai warise ambiya
gher kar yu sare karbala, aale ahmed ko yu bekhata
khu bahao na ae zalimo, hum musafir hai majboor hai
Zulm dhao na ae zalimo, Hum musafir hai majboor hai

6) Tha yahi nauha ek shame ghum, kalma goyo na dhao sitam
karke sar wariso ke qalam, baandh kar rassiyo me haram
muskurao na ae zalimo, hum musafir hai majboor hai
Zulm dhao na ae zalimo, Hum musafir hai majboor hai

7) Sach hai jawwad-o-meesum yahi, dee ki mohsin hai aale nabi
sar husaini rida zainabi, de rahi hai sada aaj bhi
dil dukhao na ae zalimo, hum musafir hai majboor hai
Zulm dhao na ae zalimo, Hum musafir hai majboor hai
Hum musafir hai majboor hai..(3)

 

 

Ae Behen Alwida – Mesum Abbas – 2011

alwida alwida ae behen alwida
shahe tashna dahan, bewatan bekafan
waqt e rukhsat ye kehte the meri behen

alwida alwida ae behen alwida..(3)

1. Hum to ran ko chale, alwida alwida
khoo me rote hue, alwida alwida
kya kare jeeke ab, alwida alwida
lut chuka hai chaman, alwida alwida

alwida alwida ae behen alwida..(3)

2. Bhai maara gaya, alwida alwida
har sahara gaya, alwida alwida
tukde tukde hua, alwida alwida
haaye ibn e hasan, alwida alwida

alwida alwida ae behen alwida..(3)

3. Haaye akbar jawaa, alwida alwida
rahate qalb o jaan, alwida alwida
kha chuka hai sina, alwida alwida
khu me tarr hai badan, alwida alwida

alwida alwida ae behen alwida..(3)

4. Jhoola veeran hai, alwida alwida
lab pe ab jaan hai, alwida alwida
laashe asghar hai aur, alwida alwida
jal raha hai ye ban, alwida alwida

alwida alwida ae behen alwida..(3)

5. Ab sakina meri, alwida alwida
kis tarah soegi, alwida alwida
khaegi ghudkiya, alwida alwida
aur bandhegi rasan, alwida alwida

alwida alwida ae behen alwida..(3)

6. Jab chinegi rida, alwida alwida
zainab e ghum zada, alwida alwida
sabr karna bohot, alwida alwida
sehna ranj o mahan, alwida alwida

alwida alwida ae behen alwida..(3)

7. Ghash me hai laadla, alwida alwida
yani zainul eba, alwida alwida
ab hawale tere, alwida alwida
hai mera gul badan, alwida alwida

alwida alwida ae behen alwida..(3)

8. Shaam jana hai ab, alwida alwida
hai bada ye ghazab, alwida alwida
berida hogi tu, alwida alwida
roenge panjetan, alwida alwida

alwida alwida ae behen alwida..(3)

9. Jake bazaar me, alwida alwida
aur darbaar me, alwida alwida
mere paigham ko, alwida alwida
bhoona na behen, alwida alwida

alwida alwida ae behen alwida..(3)

10. Meesam e ghum zada, alwida alwida
nauha rehan ka, alwida alwida
maine padh to diya, alwida alwida
gunja sheh ka sukhan, alwida alwida

alwida alwida ae behen alwida..(3)

Tera Mehman Hoon Shirin – Mesum Abbas – 2011

Tera Mehman Hon Shiren Tera Mehman Hon ×3

Tou Mujhe Jan Na Payi Yeh Mai Janta Hon 
Tou Na Pehchanay Magar Mai Tujhe Pechanta hon 
Tou Khatawar Nahin Shireen  Yeh Mai Janta Hon ×2
Hayee…..  tou Ne Is Haal Mai Kaab Phele Mujhe Dekha Hai 

Bakhuda Jan Lei Mujh Ko Pehchan Lei 
Tera Mehman Hon Shireen Tera Mehman Hon ×2 

Mai Salamat Rahon Mani Thi Tou Ne Yeh Mannat 
Ho Gayi Khatam Zamane Se Yeh Teri Zehmat 
Ghar Tere Ajj Mai Mehman Hova Iss Sorat ×2 
Hayee…..Sar Mera Nok e Sina Jisam Karbobala

Bakhuda Jan Lei Mujh Ko Pehchan Lei 
Tera Mehman Hon Shireen Tera Mehman Hon ×2 

Yad Shireen Tujhe Wo Zamana Ho Gha Mera 
Sath Saye Ki Tarha Rehta Tha Nana Mera
Kaam Jibreil ka Tha Naaz Uthaney  Mera ×2 
Hayee….. Ajj Beghor o Kafan Hai Jism Hai Maqtal Mai Para

Bakhuda Jan Lei Mujh Ko Pehchan Lei 
Tera Mehman Hon Shireen Tera Mehman Hon ×2 

Tukre Tukre They Parey Ran Mai  Jisam Ke Pare
Lash Akbar Ki Utha Laye Na Himmat Hare 
Hosla Dekh Ke Hairan They farishtey  Sarey ×2
Hayee…. Aik Mehman Pai Kiya Kiya hoye Na Zulm o Jafa 

Bakhuda Jan Lei Mujh Ko Pehchan Lei 
Tera Mehman Hon Shireen Tera Mehman Hon ×2 

Ya Ali Keh ke Di Maqtal Mai duhayie Maine 
Asteen Kohniyon Tak Charhayie Maine
Youn Sina Sena-e-Akbar Se Nikali Maine ×2
Hayee….. Samne NazRon Ke Farzand  Ne Daam Tor Diya 

Bakhuda Jan Lei Mujh Ko Pehchan Lei 
Tera Mehman Hon Shireen Tera Mehman Hon ×2 

Ghar Tera Aya Hon Is Haal Mai Hairan Na Ho
Meri Mahman nawazi Mai Pareshan Na Ho  
Bus Dua Kar Mere Jaisa Koi Mehman Na Ho ×2 
Hayee….. Aise Aalam Mai Aye Na Kisi Ko Bhi Qaza

Bakhuda Jan Lei Mujh Ko Pehchan Lei 
Tera Mehman Hon Shireen Tera Mehman Hon ×2 

Ask e Khoon Ajj Bhi Ankhon Se Rawah Hai Mesum 
Q Na Ho Karti Hein Khud Fatima Zehra (as)  Matam
Kaak Uratey Hein Sar e Kuld Rasoul e Akraam ×2 
Hayee….. Kaisa Pur Dard Hai Khursheed  Yeh Likha Nohay

Bakhuda Jan Lei Mujh Ko Pehchan Lei 
Tera Mehman Hon Shireen Tera Mehman Hon ×3