Maine thama hai daman tumhara (Lyrics) (Munajat)

Meray Moula mujhey do sahaara
Meiney thama hay daman tumhara
Dhalthe suraj ko tumne ubhara
Meiney thama hay daman tumhara

Tum hee mushkil Kushaey jahan ho
Tum hee moulay koun o makaan ho
Ambiya nay bhi tum ko pukara
Meiney thama hay daman tumhara

Meree kashtee bhawar mein phasee hay
Dushmanoo kay labaon par hasi hai
Kardo nazdeek mujh sey kinara
Meiney thama hay daman tumhara

Gardeshon mein muqaddar hay mera
Kya karoon char soo hay andhera
Thum jo chaho to chamkey sitara
Meiney thama hay daman tumhara

Ranj mey kab sey mein mubtalaa hoon
Kab sey moula aseeray balaa hoon
Kya taraapna mera hay gawara
Meiney thama hay daman tumhara

Munharif ho chalaa hay zamanaa
Zindigi ban rahee hay fasaana
Dekho meri taraf ab khudaraa
Meiney thama hay daman tumhara

Tum ho moula Hasan ki duhaee
Sarware bey kafan ki duhaee
Sun lo faryaad meree Qudaraa
Meiney thama hay daman tumhara

Bahray Abbas bazoo ko thamo
Bayriyaan bahr Sajaad katoo
Ya Ali mein hoon banda tumhara
Meiney thama hay daman tumhara

Waasta Akbare naujawaaan ka
Waasta chay maheeney ki jaan ka
Kar do rahmath ko bus abb ishaara
Meiney thama hay daman tumhara

Dushmano ko mera haq dekha doo
Hosh ka unko sharbath pila doo
Kar do bus in pay ye aashkaara
Meiney thama hay daman tumhara

Madad kijiye Yaa Imam e Zamana (atfs) (Munajat)

Madad Kijiye Ya Imam e Zamana Lyrics

Ya Imam e Zaman (x5)
Madad kijiyeh ya Imam e Zamana (x2)
Hatah diji ghaybat ka pardah khudarah pardah khudarah
Madad kijiyeh ya Imam e Zamana (x2)
Bari afatay hain zamaney pey mola
Parehshaan shiya kahan jayeh mola
Pukara tumhe jab huwa dil jow muztar
Madad kijiyeh ya Imam e Zamana (x2)
Bala ae hain gharii nahi koyi saathi
Andhera hain harsu udasii hain chaayi
Tumharey qadam sey ho duniya munawar
Madad kijiyeh ya Imam e Zamana (x2)
Bhawar mei hai kashti bacha ney ko wawoh
Ghamey zindaghi se churaney ko awoh
Mohammed ki jaan ho safiney ki langhar
Madad kijiyeh ya Imam e Zamana (x2)
Ghunehgaar hun aur sharmindah mola
Maghar aap par hi hain mujko bharosa
Karow rehbarii ab bara hai payambar
Madad kijiyeh ya Imam e Zamana (x2)
Tamana yeh dilmei bohot kuch hain meri
Hai umeed hoghi bohot jald purii
Merey haq mei kardijey jow kuch ko behtar
Madad kijiyeh ya Imam e Zamana (x3)
Ya Imam e Zaman (x5)
Madad kijiyeh ya Imam e Zamana

Aey Rabbe Jahan Panjatan e Paak Ka Sadqa – (Lyrics)

Ae Rabbe jahan punjtan e paak ka sadqa

Iss qoum ka daman gham e shabir say bhar day.

Bachoon ko aata ker Ali Asghar ka tabassum

Burhoon ko Habib Ibn e Mazahir ki nazar day.

Kamsin ko milay walwalaye auno Muhammad

Har eik jawan ko Ali Akbar ka jigar day.

Maoon ko sikha saniy e Zahra ka saliqa

Behnoon ko Sakina ki dua’oon ka asar day.

Maula tujhay Zainab ki asiri ki qasam hai

Bay jurm asiroon ko rahai ki khabar day.

Jo chadar e Zainab ki azadar hain mola

Mehfooz rahein aisi khawateen kay parday.

Jo deen kay kam aayein woh aulad aata ker

Jo majlisay Shabir ki khatir ho woh ghar day.

Muflis pay zaro lal jawahir ki ho barish

Maqrooz ka har karz ada ghaib say ker day.

Gham koi na day humko siwa e gham e Shabbir

Shabir ka gham bant raha hai to idhar dey.

Aie Rab e jahan panjtan e pak ka sadqa

Is kom ka daman gham e shabbir say bhar day.

Yaa Zehra Munajaat (Lyrics)

Fatema ZEHRA (SA)…..ZEHRA (SA)……4

Ya ZEHRA (SA)…..4

Aai Meri BIBI (SA)……2…… Tere Dar Pe Istegasa Hai,
Tera Mamnoon Meri Shehzadi (SA) Yeh Jahan Sara Hai

Ya ZEHRA (SA)…..4

(1) Tu humein hifz aur aman dede, Apni chadar ka saiban de de
Teri qudrat me kya nahi BIBI ,Tu jise chahe do jaha de de…..
Ya ZEHRA (SA)…..4
Aai Meri BIBI (SA)……2….. Aansuon Ne Dua Maangi Hai,
Teri tasbeeh hi padh ke dil ne tujhe pukara hai.

  Ya ZEHRA (SA).....4

(2) Karz makrooz ka ada karde, Muflison ka naseeb wa karde
Jin ki godi bhari nahi BIBI , Unko aulad tu ata karde……
Ya ZEHRA (SA)…..4
Aai Meri BIBI (SA)…..2….. Bus tuhi murad deti,
Teri chaukhat Dar-E-Ilahi ka ssteaara hai.

  Ya ZEHRA (SA).....4

(3) Farsh-E-Majlis pe aur musalle par, Har jawan keh raha hai r
roro kar
Hum rahe na rahe magar BIBI,Ta qayamat rahe ghame
sarwar …….Ya ZEHRA (SA)…..4
Aai Meri Bibi (SA)….2….Tere bachon ka gham manate hai
Apni aulad se kahi badke gham yeh pyara hai

  Ya ZEHRA (SA).....4

(4) Un shahedon ka yeh mukadar,Sayeban in ka teri chadar hai
Unke seeno pe ae meri BIBI ,Daag-e-matam nishan-e-hyder
hai ……Ya ZEHRA (SA)…..4
Aai Meri BIBI (SA)…..2….. Khuld mein shaheed jabb jaye
Teri awaz aaye aane do yeh hamara hai

   Ya ZEHRA (SA).....4

(5) Khon bankar ragon mein hai nauha,Meri naslon me bhi
rahe hai nauha
Jaise mainne pada hai bachpan se, Mera Nade Ali padhe
nauha…..Ya ZEHRA (SA)…..4
Aai Meri BIBI (SA)…..2…..mere dil Me Wilayat-e-Hyder,
Mere Maa Baap ki taharat ka ek ishara hai

  Ya ZEHRA (SA).....4

(6) Tere dil par hai jo sitam toote,Zindagi mein jo tune gham
dekhe
Aasmano zameen Pe gar Hote, Mile shab woh siyah ho
jate….Ya ZEHRA (SA)…..4
Aai Meri BIBI (SA)…..2…..Dekh kar teri Musibat ko,
Sare aalam ka dil masaib se para para Hai

   Ya ZEHRA (SA).....4

(7) Tujhko ummat ne yun sataya hai, Marge MOHSIN pe bhi
rulaya hai
Tujhko baba ke baad ummat ne,Haye darbar mein bulaya
hai…..Ya ZEHRA (SA)…..4
Aai meri BIBI…2…, Kitne sadme uthaye hai tune
Jeete ji tujhko meri Shahzadi gham ne mara hai.

    Ya ZEHRA (SA).....4

(8) Hai yehi Mazhar aabdi ki dua, Tere bacchon ka gham
rahe zinda
Sath Irfan ke rahe jari, Tere sadqe me karwane aza….
Ya ZEHRA (SA)…..4
Aai Meri BIBI ….2…..Tere dar pe sar jhukate hai,
Har husaini ka tere tukon pe hi guzara Hai

    Ya ZEHRA (SA).....4

Andher hua Fatima Zehra (sa) ne qaza ki (Lyrics)

ANDHER HUA FATIMA ZEHRA NE KHAZA KI..
kheti hui barbad RASULE do sara ki..

MOHSIN ki shadat ka bahana tha khaza ka,
goya ke sitamgar ne MOHAMMAD pe jafa ki.

ya FATIMA keh keh k jo rota hai zamana ,
turbat hili jati h RASULE do sara ki..

bachche hue bin maa ke bhara ghar hua khali ,
halat hai bahout ghair dile shere khuda ki.

masumae alam ka utha shab ko janaza,
yu sahibe asmat ne zamane se haya ki.

bazaar k logo ne chirago ko bujhaya,
mayat jo chali binte habibe do sara ki..

sibtain uthae hue hain maa ka janaza,
or betiya kehti hai dohai hai khuda ki..

ANDHER HUA FATIMA ZEHRA (sa) NE KHAZA KI