Maa Ummul Baneen Se – Mir Hasan Mir – 2011

Pahunchay sirhane bhai ke jab shahe karbala
ghazi ne apni aakhri saanson may di sada
maula maa ummul baneen se mat kehna

sharminda sakina se hoo bahot
mai pani lekar aa na saka
maula maa ummul baneen….

maa ne jo sikhaye bachpan may
wo yaad hai sab aadaab mujhe
nazdeek khade rehna us ja
shabbir jahan baithe jaake
is waqt magar khadim tera
taazeem ko teri uth na saka
maula maa ummul baneen….

har laash pe girke kehte thay
kya tum hi ali ke bete ho
maloom hai kitni mushkil may
khaimo se yahan tak pahunchay ho
abbas se milne ki khaatir
zehmat jo uthayi hai maula
maula maa ummul baneen….

kis tarha katay baazu mere
maqtal may bata dena beshak
mai zee se zameen par kaise gira
amma ko suna dena beshak
abbas ke girne se lekin
zainab ke giri thi sar se rida
maula maa ummul baneen….

tha charon jaanib bikhra hua
quran hassan ka jangal may
pamaal badan qasim ka hua
guzri wo qayamat maqtal may
abbas ki zauja se pehle
afsos hui bewa kubra
maula maa ummul baneen….

baba se kiya bachon ko juda
kya zulm ye dhaya logon ne
muslim ki laash ko koofe ki
galiyon may phiraya logon ne
abbas ki nazron ke aagay
ujdi thi ruqayya ki dunya
maula maa ummul baneen….

ye soch ke ran may roti hai
baazu se lipat kar meri wafa
ye baat garan guzregi bahot
amma ki tabiyat par aaqa
gar haath hue pani se mere
aur aap ka asghar pyasa raha
maula maa ummul baneen….

do bhai bichadte thay ran may
kaisa tha qayamat ka manzar
abbas mujhe bhai kehdo
sarwar ne kaha jab ye rokar
shabbir ko bhai keh to diya
lekin thi takallum lab pe sada
maula maa ummul baneen….

Do Honsla Baba – Mir Hasan Mir – 2011

Zainab ne kaha ye ro ro kar do hausla baba zainab ko
tanha hai layeeno may dukhtar do hausla baba zainab ko

baba mai badi beti hoo teri sab badla lengay mujhse tera
logon ke badalte hai tewar do hausla baba zainab ko
zainab ne kaha ye….

ye zainab hai kulsoom hai ye aapas may sitamgar kehte hai
haste hai tamshayi hum par do hausla baba zainab ko
zainab ne kaha ye….

himmat yun badhao beti ki abid ko bachakar kejaye
har ghar se baraste hai pathar do hausla baba zainab ko
zainab ne kaha ye….

ehsas rida ka hoga mujhe tum haath mere sar par rakhdo
mushkil hai agar dena chadar do hausla baba zainab ko
zainab ne kaha ye….

logon ki nigahein uth-ti hai tasheer ki zarbein jalti hai
beti hai teri zere khanjar do hausla baba zainab ko
zainab ne kaha ye….

darbar ke us darwaze par amma ko sambhala tha tumne
darbar ke is darwaze par do hausla baba zainab ko
zainab ne kaha ye….

boli wo takallum logon may amma ko bulaun to kaise
beti ke liye bankar chadar do hausla baba zainab ko
zainab ne kaha ye….

Kohram Mach Gaya – Mir Hasan Mir – 2011

Alwida Alwida
qaime may aake shah ne jab alwida kaha
kohraam mach gaya

tha jiska intezar wo sa’at qareeb hai
din dhal raha hai shame musibat qareeb hai
kuch dayr ki hai baat qayamat qareeb hai
zainab ghareeb bhai ki ruksat qareeb hai
ye keh ke maanga maa ka jo kurta sila hua
kohraam mach gaya…

kuch door hatke khaime may bole shahe zaman
zehmat na ho ke baazu badhao meri behan
mai bosay loo waha ke bandhegi jahan rasan
baazu badha ke roti thi hamsheer khastatan
bhai behan ke baazu ko jab choomne laga
kohraam mach gaya…

ye sunke binte fathema zehra tadap gayi
boli gala badhao bas ab jald ya akhi
amma ki baat aaj mujhe yaad aagayi
mai bosay loo wahan ke chalegi jahan churi
zainab ne badke chooma baradar ka jab gala
kohraam mach gaya…

beti se phir ye kehne laga fatema ka laal
rehna phupi ke paas rakhengi tera khayal
ghurbat hai tum phupi se na karna koi sawaal
warna tere padar ko bahot hoyega malaal
phir sar pe haath rakh ke jo dene lagay dua
kohraam mach gaya…

beti ko jab supurde behan kar chuke imam
rokar behan se kehne lagay aasman maqam
jaana watan jo qaid se chutkar ay tishnaqam
kehna lehad pe maa ki mera aakhri salam
aaya jo lab pe fatema zehra ka tazkira
kohraam mach gaya…

abid se phir ye kehne lagay shahe karbala
bewaon ka aur yateemo ka ab tum ho aasra
jo imtehan mera tha sab maine dediya
aagay tera jihad hai bemaare karbala
bemaar beta baap se jis dam juda hua
kohraam mach gaya…

Khaime se baahar aaye jo sultane karbala
sar ko jhukaye rota tha khud asbe bawafa
ab kis tarha sawaar ho zehra ka laadla
tanhai ke siwa koi yawar nahi bacha
jab suye nehr dekh ke ghazi ko di sada
kohraam mach gaya…

bhai ko tanha dekh ke zainab tadap gayi
roti hui hussain ke nazdeek aa gayi
aur phir raqaab thaam ke boli ay shahe deen
lo mai sawaar karti hoo abbas gar nahi
wayiz hua sawaar jo zehra ka laadla
kohraam mach gaya…

Zainab Ki Aati Hai Sada – Mir Hasan Mir – 2011

Aaj bhi zainab ki

Aaj bhi zainab ki aati hai sada
aaj bhi zainab ki aati hai sada bhai hussain
tera chehra teri aankhein bhool kab payi hussain

chalte naaqe se giraya khud ko jalti rayt par
ghutniyo ke bal mai teri laash tak aayi hussain

bas mai ghabrayi thi khanjar tujhpe chalta dekh kar
phir kisi mushkil may ghir kar mai na ghabrayi hussain

kaun tha jo marne walon may nahi tha khubaru
bhoolne baithi to kis kis ki na yaad aayi hussain

beh rahe thay aankh se aansu teri ruqsat ke waqt
phir koi aansu na tapka aankh pathrayi hussain

haath may kooze liye sab aasman takte rahe
abr ne ek boodh pani ki na barsayi hussain

door uftada safar se laut kar maine naved
thanda pani jab piya bas teri yaad aayi hussain

Mujhe Bhi Watan Le Chalo – Mir Hasan Mir – 2011

jab riha sham ke zindan se hue ahle haram
kya khushi hoti dubala hua sadaat ka gham
jisko armane rihaai tha hui wo bedam
ek nanhi si lehad par tha musalsal matam
sunke faryad-o-fughan saans ruki jaati thi
qabr se bali sakina ki sada aati thi

watan jaane walon mujhe bhi watan le chalo
mujhe bhi watan le chalo

mai kaise rahungi yahan par
yahan hai bhala kaun mera
mujhe bhi watan le chalo….

reha hoke ghar jaane walon,  mujhe bhi kahin par bitha lo
shaheedo ke sar hai jahan par, mujhe bhi wahin par sulado
mai baba ke sar se lipat kar, safar kaat-lungi ye saara
mujhe bhi watan le chalo….

na yun chor kar jao amma, mujhe shamiyon ke sahare
yateemi ki maari hui ko, sataya bahot zaalimo ne
bahot khauf aata hai mujhko, tumhe waasta sayyeda ka
mujhe bhi watan le chalo….

suna hai ke wapas milay hai, tumhein shimr se mere gowhar
bhala kya karoge tum unka, agar rehgayi mai yahan par
inhi bhi amaanat samajh kar, ya dafna do zindan may ya
mujhe bhi watan le chalo….

jo pahunchay madina to amma, phir raqte musibat na aaye
sina ur akbar ki baatein, sunane ki naubat na aaye
meri laash ko dekh kar hi, samajh legi har baat sugra
mujhe bhi watan le chalo….

yehi soch kar zayre turbat, tadapta hai dukhiya ka laasha
mujhe shimr ke shehr may ab, hamesha hi rehna padega
dhadakta nahi phir bhi amma, ye dil kaamp jaata hai mera
mujhe bhi watan le chalo….

sare shahe deen kuch to bolo, sifarish karo kuch hamari
khaza aagayi hai to phir kya, mai beti hoo baba tumhari
na inkaar kar payengi wo, phupi se zara kehdo baba
mujhe bhi watan le chalo….

ye haalat thi har ek qadam par, madine ke raste may akbar
giri thi jahan par sakina, tamache lage thay jahan par
wahan khaak se qaidiyo ko, sadayein ye aati thi har ja
mujhe bhi watan le chalo…