Lo Jaa Raha Hai Qafila – Irfan Haider – 2003

Lo jaa raha hai kafla

Ashur ki raatguzar gayi, aur gyaraa muharram agayi. Kaydi bani ale nabi. Ye dekh keroyi binte zehra (gar lut gaya hussain ka) x2 Zindaan raha islam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

(Zainab ki be ridaai pe) x2 Rota huwa har gaam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

Rukhsat karo bhayya muje lo akhri mera salaam. Basti basti karyakarya (ponchayengi zainab bayaan) x2 (gar lut gaya hussain ka) x2Zindaan raha islam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

Me be ridaa tu be kafan sadmo se ye dil chaak hai. Meri ridaa bhikhaak he (tera kafan bhi khaak he) x2 (Ye imtihaan dasht tha) x2 Woimtihaan-e-shaam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

Kisko bulawungi bhalaa ye to bataa ab kawn hai. Jis wakt puchengalaayin (tumne se zainab kon hai) x2 (Saydaniyya sab royengi) x2 Le le ketera naam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

Shikwaa karengi ye behen jab raah mei takdeer se. Uthengi matam kisadaa (sajjad ki zanjeer se) x2 (Rowengi mere haal pe) x2 Ye gardisheayaam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

Jab rowengi zanjeer to raaho ke pathar rowenge. Zainab wahaa par auryaha(n) (lashe bahattar royenge) x2 (bhayya jigar phat jayenga) x2sehte huwe alaam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

Mujpar meri tanhaayi bhi nawha karengi raah me. Nake se jab wo ladli(beti girengi raah me) x2 (Ik roz usko qayd me) x2 miljayanga araam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

Teri sakina qayd me dam tor dengi ek din. Dunya tumhari chaah me (wochor dengi ek din) x2 (barpa sitam ki qayd me) x2 Ho jayenga kohraam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

Balo me khaak bazuwo me resma lab par bukaa. Bhayya nabi ki aal ko(dekhengi dunya be ridaa) x2 (Bhayya masaaib is kadr) x2 Dengi yeraah-e-shaam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

Sunkar fugaa hamshir ki lasha tarap kar rehgaya. Ane lagi us lashaye(be sar se ye purgham sadaa) x2 (Zainab sare neza mera) x2 Sar jaayengahar ghaam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

(Zainab ki be ridaai pe) x2 Rota huwa har ghaam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

Ae Mere Baba – Irfan Haider – 2003

Ae mere baba

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

Aap ka maydaan me tiro pe lashaa raha. (Mere gohar chin gaye aag sedaman jalaa) x2 Ae mere baba. Aap rahe be kafan me bhi rahi be kafan

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

Aap ke halqoom par shimr ka khanjar chalaa (Mujko tamache lage sarse chini hai ridaa) x2 Ae mere baba. Aap ke neze pe sar mere gale merasan

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

Aap ko roti rahi tashna labi dasht mei (Daag yatimi mila mujko isidasht mei) x2 Ae mere baba. Aap hai tashna dahan mei bhi hu tashna dahan

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

Dono ki mazloomiyat dekhi hai aflaak ne (Dono ki hurmat rakhi dashtke is khaak ne) x2 Ae mere baba. Khaak bani hai ridaa khaak bani haikafan

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

Waqt musibat huwi dono hi hamse judaa (Dono ki taqdeer me tha gamefurkat likha) x2 Ae mere baba. Ek behen aap ki ek hai meri behen

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

Aapne chora watan nawha kuna tha falak (karbobala se kiya mene safarshaam tak) x2 Ae mere baba. Aap asiri mahan me hu asiri rasan

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

Aap ke hamraah to Akbaro Abbas hai (Mujpe ye tanhaayiya roti haizindaan mei) x2 Ae mere baba. Meri lahad qayd hai aap ka roza wo ban

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

Kalle alamdar se aap ki tuti kamar (Panjo pe chalte huwe mene kiyahai safar) x2 Ae mere baba. Aap ko sadmo ki aur mujko safar ki thakkan

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

Dono pe pardes mei kaysi musibat pari (Mujse padar chin gaya aapsebeti chini) x2 Ae mere baba. Aap gharibul watan me bhi gharibul watan

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

Yaa Zehra – Irfan Haider – 2002

Yaa Zehra  Yaa Zehra

1.ai meri bibi   x 2
Tere dar pe istegasa hai
Tera mamnoon meri shehzadi ye jaha saara hai

2.tu hame hifz aur ama dede
Apni chadar ka saebaan dede
Teri qudrat me kya nahi bibi
Tu jise chahe do jaha dede.

3.ai meri bibi
Ansuo me dua mangi hai
Teri tasbeeh hee padh k dilne tujhe pukara hai

4.tera darbar wo sakhi dar hai
Har farishta jaha gadagar hai
Tere makrooz aasmawale
Tera makrooz har sikandr hai

5.ai meri bibi
Ashq e gum teri amanat hai
Teri aulad k hee gam ne hame sawara hai

6.majlis e gum me ashq barsane
Aa sake yaa nahi khuda jaane
Kya bharosa humari sanso ka
Kal kaha hum kaha aza khaane

7.tujhko ummat ne yoo sataya hai
Marge mohsin pee bhi rulaya hai
Tujhko baba k baad ummat ne
Haaye darbar me bulaya hai

8.ai meri bibi
Itne sadme uthaye hai tune
Jeete ji tujko meri shehzadi gumne mara hai

9.Farshe majlis pe aur musalle pr
Har jawan keh raha hai ro-ro kar
Hum rahe na rahe magar bibi
Ta Qayamat rahe gam-e-sarwar

10.ai meri bibi
Bas tu hee muraad deti hai
Teri chaukhat dar e Elahi ka istehara hai

11.tere bachcho se jisko pyar nahi
Wo tere gum ka talabgaar nahi
Khel samjhe na wo tere gum ko
Ye ibadat hai karobaar nahi

12.karbala me teri shabi bankar
Apne baba ki zindagi bankar
Tera bachpan hai sakina bibi
Aur jawani hai Zainab e muztar

13.waqt e Akhir hai bas mera bibi
Anginat hai mere guna bibi
Wasta tujhko tere bachcho ka
Bakshwana mere gunaah bibi.

14.Hai yahi mazhar abedi ki dua
Tere bachcho ka gum rahe zinda
Saath irfan k rahe jari
Tere sadqe me karwane aza.ID…

Zainab Meri Behna – Irfan Haider – 2003

Zainab meri behna

Ye sheh ne kaha

Zainab meri behna, dukhya meri behna

Lawt kar shaam ke, zindaan se jab aanaa zainab

Tum mere kabr pe, ik shamaa jalaana zainab

Yaad rakhna ye baat, ay meri jaan, meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Gham mere azadar manayenge jahaa me, (ay meri behna) x2

Percham kahi taabut kahi hongi sabile, (ay meri behna) x2

Majlis me sabilo pe bhi jaana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

Matam jo azadar kare farshe azaa par, (ay meri behna) x2

Wo ashk bahaaye jo masayib mere sunkar, (ay meri behna) x2

Daman me un ashko ko chupana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

Abbas ke parcham ko sajaaye jo azadar, (ay meri behna) x2

Bacho ko mera sakaa banaaye jo azadar, (ay meri behna) x2

Abbas ko darya se bulana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

Jula mere besheer ka phoolo se sajaa kar, (ay meri behna) x2

Mannat koyi mane muje awlaad ataa kar, (ay meri behna) x2

Us bibi ki agosh sajaana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

Jab bibiya tabut sakina ka uthaye, (ay meri behna) x2

Aur nawha sakina ke asiri ka sunaye, (ay meri behna) x2

Tabut pe tum baali charhana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

Jis ghar se uthe kasime naushah ki mehndi, (ay meri behna) x2

Aa rasta ashko se kare majlise shaadi, (ay meri behna) x2

Us ghar ko masa’ib se bachaana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

Agar koyi behen apne baradar se bichar kar, (ay meri behna) x2

Nawha ye kare lawt ke aajaa ali akber, (ay meri behna) x2

Us behen ko bhayi se milana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

Kuch aur abhi tumko rulayenge sitam gar, (ay meri behna) x2

Khaymo ko mere baad jalaayenge sitam gar, (ay meri behna) x2

Sajaad ko sholo se bachaana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

Jab loot ka samaan mile kayd sitam me, (ay meri behna) x2

Majlis ka wahaa farsh bichaana mere gham me, (ay meri behna) x2

Zinadaan ko azaa khanaa banana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

Miljayengi jab mujko masayib se rihaayi, (haye hussaina) x2

Me fateha sharbat pe dilawungi ay bhayi, (haye hussaina) x2

Ha yaad he bhaya wo muje aap ka kehna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

 

Mere Ghareeb Hussain – Irfan Haider – 2002

Mere gharib hussain

(As salaamun alayk ya gharib hussaina) x2

(Ya gharib hussaina) x5

(Mere gharib hussain ya hussain ya hussain. Mere shahid hussain yahussain ya hussain. Mere gharib hussain ya hussain ya hussain) x2

Godi ke Pale mare ghaye sab. Tu hai akayla koi nahi ab. Bayn ye zehra ne kiye dashte bala me

Mere gharib hussain ya hussain ya hussain. Mere shahid hussain ya hussain ya hussain. Mere gharib hussain ya hussain ya hussain

Awno muhammad qasimo asghar. Darde judayi degaye akbar. Khune hai abbas ka zainab ki ridaa me

Mere gharib hussain ya hussain ya hussain. Mere shahid hussain ya hussain ya hussain. Mere gharib hussain ya hussain ya hussain

Lasho pe lashe tune uthaye. Girte badan pe zakhme bhi khaye. Khak hai balo me lahu teri abaa me

Mere gharib hussain ya hussain ya hussain. Mere shahid hussain ya hussain ya hussain. Mere gharib hussain ya hussain ya hussain

Chor gaye sab god ke pale. Ho gaye rukhsat gar ke ujale. Koi nahi laal tera dashte bala me

Mere gharib hussain ya hussain ya hussain. Mere shahid hussain ya hussain ya hussain. Mere gharib hussain ya hussain ya hussain

Fakhr se uncha sar huwa mera. Kon hai sani dahar mai tera. Sabr mai ishaar mai juraat pe wafa mai.

Mere gharib hussain ya hussain ya hussain. Mere shahid hussain ya hussain ya hussain. Mere gharib hussain ya hussain ya hussain

Bit rahi hai tujpe Kayamat. Dekh rahi hu me teri gurbat. Pyaasa raha gar bhi luta dashte bala me

Mere gharib hussain ya hussain ya hussain. Mere shahid hussain ya hussain ya hussain. Mere gharib hussain ya hussain ya hussain

Jitne bhi laashe be goro kafan the. Sab ko urhadi khakh Hawa na. Khakh to ab hashr talab hongi hawa mai.

Mere gharib hussain ya hussain ya hussain. Mere shahid hussain ya hussain ya hussain. Mere gharib hussain ya hussain ya hussain

Laash jawan ki tune uthayi. Turbat te Asger tune banayi. So ta hai masoom tera deshte Kaza Mai.

Mere gharib hussain ya hussain ya hussain. Mere shahid hussain ya hussain ya hussain. Mere gharib hussain ya hussain ya hussain

Charo taraf hai bas yahi nawha Haye Husaina Haye Husaina Shor Hai Faryad Hai Khaymo me faza me.

Mere gharib hussain ya hussain ya hussain. Mere shahid hussain ya hussain ya hussain. Mere gharib hussain ya hussain ya hussain