Bharde Jholi – Irfan Haider – 2006

(Ya muhammad, ya basheer, ya nazeer-o-ya mahmood) x2

Ya mukarram ya mu’azzam ya muqaddam ya haadi

Ya jaleel-o-ya jameel, ya mateen-o-ya taha

Hai tuhi aasra ay hussain ke nana

(Ya rasoolallah) x2

Hamne darbar-e-zehra mei ki iltijaa

Aur kabhi bint-e-zehra se mangi dua

(Hamne ghazi ki chokhat pe sajda kiya) x2

phir jabee(n) tere dar par jjhukali

(tera dar hai jahaa me misali) x2

(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2

Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali

Hai sakhiyo(n) to sara gharana tera

Do jahaa(n) pe khula hai khazana tera

(Parh raha hai qasida zamaana tera) x2

tune sabki musibat hai ttali

(meri jholi abhitak hai khali) x2

(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2

Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali

Jistarha se saji mehfile panjatan

Tu muhammed tera bhai khayber shikan

(aur khayber shikan ka pisar hai hassan) x2

de hassan ke baradar ka sadqa

(jisne sajde me ghardan kataali) x2

(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2

Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali

Tu masiha hai humko dawaa chahiye

Maut ttaljaye gar tu ishara kare

(hum faqiro(n) ko tujhse ye nisbat bhi hai) x2

hum faqiro(n) ke kapre hai kaale

(tere khandhe pe kamli hai kaali) x2

(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2

Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali

Har hussaini bahan ki hai ye iltija

Tere dar se na mayoos koyi gaya

(dede asghar ka sadqa habibe khuda) x2

ye hai un bibiyo(n) ki sadaaye

(jinki aghosh abtak hai khaali) x2

(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2

Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali

Ye jo kamsin hussaini pareshan hai

Farshe majlis pe ashghar ke mehmaan hai

(haa(n) ye agle zamaane ke ‘irfaan’ hai) x2

hai ye awno muhammed ke zakir

(tu inhe umr de khizr waali) x2

(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2

Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali

Akhri iltaja hai ye aqa mere

Baap ka daste shafkat kabhi na uthe

(Sar pe maao(n) ka saaya salamat rahe) x2

dede umme abiha ka sadqa

(jo hai rutbe me maryam se aali) x2

(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2

Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali

Aik bimar qaydi ka hai waasta

Shaam tak khoo(n) ke ansu jo rota raha

(jiske zanjir parhti rahi marsiya) x2

uske sadqe me dede rihaayi

(jisne teri nabuwat bachaali) x2

(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2

Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali

Jab azaao kashkol bharjayega

qarz jo hai qalam par utarjayega

(zehn parwaz ki oj barhjayega) x2

oj ‘mazhar’ ka kayse ho jese

(the ‘zabeer-o-anees-o-rahali’) x2

(Bharde jholi meri ya muhammad) x2 (sab hussaini hai tujhse sawali) x2

Bharde jholi meri ya muhammad sab hussaini hai tujhse sawali

(Ya rasoolallah) x2

Hind Roti Thi – Irfan Haider – 2006

Haaye baap ki yaad sakina ko jo tarapti thi

Waa hussaina ki sada deke wo chillati thi

Ye sada hind ke kaanose jo takrati thi

Are hind zindan ke darwaze pe ajati thi

hind zindan ke darwaze pe ajati thi

usne ik din kaneezo(n) se puchha

kuchh batawo(n) ke hai majra kya

kiski rone ki hai ye sadaaye(n)

kon zinda(n) me karta hai nawha

hind roti thi zinda(n) ki darpar ik yateema ki awaz sunkar

hind roti thi zinda(n) ki darpar

al gharaz agayi zindan talak mehve bukaa

parh ke zinadaan ke darbano ne dar khol diya

baabe zindaan me dakhil jo huwi wo dukhiya

are (ek bachhi ko andhere me tarapte dekha) x2

apne sine se usko lagaya

ponch kar aashk bachhi se puchha

kyu(n) hai nawha tera wa hussaina

naam badlade apne padar ka

hind roti thi zinda(n) me aakar ik yateema ki awaz sunkar

hind roti thi zinda(n) aakar

hind ne puchha watan usne kaha bewatani

kaam jab hind ne puchha to kaha sina zani

jurm jab puchha to wo boli ghareebul watani

are (dard jab puchha to kehne lagi eeza rasani) x2

hind ne puchha kabse ho qaydi

peet ke sar ko boli wo bachhi

saal bhar qayd me yu(n) ghuzaara

na dawa hai na marham hai koyi

hind roti thi zinda(n) me aakar ik yateema ki awaz sunkar

hind roti thi zinda(n) aakar

hind ne puchha maraz kya hai kaha bepadari

roke wo boli dawa kya hai kaha nawha ghari

ghar jo dariyaft kiya kehne lagi darbadari

are (boli leta hai khabar kon kaha bekhabari) x2

hind ne puchha gham ka madawa

boli bus aasra hai khuda ka

dard dil me jo uthta hai mere

naam leti hu(n) mushkil khushaa ka

hind roti thi zinda(n) me aakar ik yateema ki awaz sunkar

hind roti thi zinda(n) aakar

naam haider ka suna karne lagi hind bukaa

puchha bachhi se bhala inse tera rishta kya

roke bachhi ne kaha gham to yahi hai dukhiya

are (baap shabbir hai dada hai mere shere khuda) x2

kya kahe aur ‘irfan-o-mazhar’

phenk di hind ne sar se chaadar

bichh gaya qayd me farshe matam

wa hussaina tha sab ki zubaa(n) par

(haaye hussaina) x4

 

Aao Azaadaron – Irfan Haider – 2005

Aao azadaro

(Abbas alamdar) x3 Ab tak hai zabano pe alamdar alamdar (Abbas alamdar) x3 Ay qafela-e-shaah ke salar alamdar (Abbas alamdar) x3

Eik sada kaano mei abhi tak, gunj rahi hai logo suno, ye hai sadakhatoon-e-jina ki, ham bhi kahe aur tum bhi kaho, (kyu na kahe ‘Irfan’aur ‘Mazhar’) x2 Aao dua zehra ki paaye

(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2

Ye wo alam hai jiska pharayra sani-e-zehra ki chadar hai, ha ye alamjis ghar pe laga ho, saaya-e-zehra mei wo ghar hai (Kya hai alam kyaiski ataa hai) x2 Aao zabane kar ko bataaye

(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2

Aao zabane kar ko bataaye, ham pe abu talib ka karam hai, paas nahiayega koi gham, saya fighan jab tak ye alam hai (Aao alam ke saye meiaawo) x2 Ham ka har ik ehsaas mitaaye

(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2

Ham ka har ik ehsaas mitaakar, pyaar kare sarkar-e-wafa se, pyaar kebadle pyaar milenga, tumko nabi se aur khuda se (saath chale ham kyudunya ke) x2 Duniya to apne saath chaalye

(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2

Duniya hamare saath chalengi aur qayadat sheyr-e-jari ki, sare alamjuk jaayenge phir to, baat rahengi eik alam ki (Khwaab yahi thabint-e-ali ka) x2 Kyu na isse tabeer banaaye

(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2

Khwaab ko jab tabeer milengi, qaul ye pura honga kisi ka, koikahenga mera hai maula, koi kahenga mera hai maula (payenge phir harghar se yakeenan) x2 nohey ki aur matam ki sadaaye

(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2

Nohey ki aur matam ki sada se, gunj raha honga ye zamana, saarajahaa(n) ye baat kahenga, nad-e-ali hai qaumi tarana, (Qaumi alam aurqaumi parcham) x2 dono mei hai jo far ko mitaaye

(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2

Dono mei hai jo far ko mitaane, kaise chale the sibt-e-payambar,chand jawaa(n) aur kuch bacho(n) se sheh ne diya tarteeb ke lashkar(aawo ussi lashkar ki yaade) x2 Saare jahaa(n) ke dil me jagaaye

(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2

Saare jahaa(n) ke dil me jagaaye, yaad usi ashoor ki shab ki, eikalam tha aas waha par, bali sakina aur zainab ki (aas bana joehl-e-haram ki) x2 ham bhi ussi se aas lagaaye

(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2

Aas gayi farzand-e-ali ki, jab ye alam maqtal mei ghira tha (eik taraf shabbir aur zainab) x2 eik taraf sadat ka nawha

Haay qafela-e-shaah ke salar alamdar (abbas alamdar) x3

 

Ae Mere Jawan Akbar – Irfan Haider – 2005

Ay mere jawaan akbar

Noha kare maa laashe akbar par, aray tum qatl huwe beta, jeeti rahi madar

(Ay mere jawaan akbar) x2

Veeran huwa beta tere baad mera ghar

(Ay mere jawaan akbar) x2

Kya tujhko teri maa ne is din ke liye paalaa,

Is maa ko zaeefi me kyu chor gaye beta

(Ay mere jawaan akbar) x2

Maa roti hai laashe pe tere aaj khule sar

(Ay mere jawaan akbar) x2

Kehti thi phuphi zainab jab pyaha rachaugi

Akbar teri dulhan ki poshak banaugi

(Ay mere jawaan akbar) x2

afsos kafan bhi na tujhe aya mayassar

(Ay mere jawaan akbar) x2

bimar behen sughra tapti hai tera rasta

pardes me akar kyu bhool gaye wada

(Ay mere jawaan akbar) x2

itna bhi nahi socha ke marjayegi khwahar

(Ay mere jawaan akbar) x2

Hamshakle nabi tumko kehta ta jahaan saraa

Zainab tere laashe par karti hai yahi nawha

(Ay mere jawaan akbar) x2

nana ki ziyarat ko tarasjaungi dilbar

(Ay mere jawaan akbar) x2

har dil ne kiya nawha har aankh huwi purnam

kohram hai khaymo me janat me bapa matam

(Ay mere jawaan akbar) x2

aur khaak urha te hai yahi kehke payambar

(Ay mere jawaan akbar) x2

phupiyan bhi tarap ti hai hamsheer bhi madar bhi

dada bhi tere roye shabbir bhi shabbar bhi

(Ay mere jawaan akbar) x2

sadaat ke khaymon me qayamat ka hai manzar

(Ay mere jawaan akbar) x2

jab koyi jawaan laash nazar ayegi beta

wa yaar tujhe karke tarap jayegi beta

(Ay mere jawaan akbar) x2

ek roz teri yaad me marjayegi madar

(Ay mere jawaan akbar) x2

Naa Des Apna – Irfan Haider – 2005

Karbala se chali eik bekas behen.Bhaayi se aalam-e-gurbat watan yaad aya. Sab shaheedo ko kehti huwialvida. Bhaayi ki laash pe pohnchi to kafan yaad aya. Khud ko naake segiraakar Zainab kehne lagi roro kar. Na deys apna hai, na log apne hai

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Ye dekh zara ay tashnadahan, shaano to mere jakre hai rasan, Auruspe sitam hai, sar par nahi chadar, Mei kaise kafan du mere mazloombaraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Kal saath tere har ghaam chali, ab qaydi huwi aur shaam chali, isdard ke maare roti hu khule sare, Mei kaise kafan du mere mazloombaraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Baba hai ameer-e-auno mada, hai tera laqab sardar-e-jinaa, zainab kohuwi hai bechadar beghar, Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Ay bhaayi teri ghurbat ki kasam, ta mard nahi bhulungi ye gham,pardes mei aakar, na khaa hai labo par, Mei kaise kafan du mere mazloombaraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Kya zulm sahe tujh ko hai khabar, hai aun-o-muhammad khaak basar, abtumse nahi hai, paani bhi mayassar, Mei kaise kafan du mere mazloombaraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Hota jo madina bhaayi mere, miljaata kafan mazloom tujhe, isdasht-e-bala mei, majboor hai khwaahar, Mei kaise kafan du mere mazloombaraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Hai kushta-e-tegh-e-zulm bata, jab koi mera yawar na raha,maqtool-e-jafaa hai, abbas aur akbar, Mei kaise kafan du mere mazloombaraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Kya kya na huwi zainab pe jafaa, sab khayme jale asbaab luta, parsab se baraa hai, ye gham mere dil par, Mei kaise kafan du mere mazloombaraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

‘Irfan’ aur ‘Mazhar’ kehna sake, jo bint-e-ali ne bayn kiyey,phat’ta hai kaleja, is baat ko sunkar, Mei kaise kafan du mere mazloombaraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

As-salaam alayka ya Sayyed-o-shuhadaa