Mera Veer Hussain – Irfan Haider – 2012

haaye haaye
armaan reya armaan reya
kyun baad hussain ye jahaan reya
mazlum da sadqa salle ala
imaan reya quraan reya

armaan reya
hay hussain hay hay hussain
hussain hay hussain hay hay hussain 
kar zainab ro ro bain 
o mera veer hussain hayo mera veer hussain

teri laash hai jalti reti par 
dil paata nahi hai chain
o mera veer hussain
hussain hai hussain hai hai hussain 

ay bhaayi mere bari mehnat se
maa zahra ne paala hai tujhe 
mein dekh nahi sakti bhayya
aankhon se lahu tera behte 
tere khun ke ek ek qatre par
qurbaan karun daarain
o mera veer hussain

jalti hai zamine karbobala
hai chur badan tera zakhmon se
naazon ke pale kund khanjar se
zaalim ne kiya hai qatl tujhe
is zulm pe tarpa to hoga
qalbe shaahe qaunain
o mera veer hussain

khaime ke dar se maqtal tak
sattar qadmon ki duri thi
is waaste baahar aa na saki
mujhe parde ki majburi thi
ummat ne kiya sajde me zibah
zahra ka nure ain
o mera veer hussain

teri laash ko mein dafna na saki
mein tujhko kafan pehna na saki
ye dard mujhe tarpaayega
mein tera sog mana na saki
afsos ke doshe risaalat ka
hai khaak pe zeb o zain
o mera veer hussain

jo tune kiya tha nana se
wo vaada aaj nibhaaya hai
sar sajde me katwaaya hai
khaaliq ka deen bachaaya hai 
hai aaj ke baad zamaane me
islam tumhaari dain
o mera veer hussain

mazlum di pyaasi gardan te
jado khanjar shimr chalaaya hai 
tatheer di vaaris bibi ne
quraan te sar te jaaya hai 
khaime pe dar do kardi rayi
fariyaad hussain di behn
o mera veer hussain

hussain hay hussain hay hay hussain 
kar zainab ro ro bain 
o mera veer hussain hayo mera veer hussain 
hussain hay hussain hay hay hussain

Haaye Sajjad – Irfan Haider – 2012

sajjad haay sajjad 

ek nauha khwaan tasawwur me
jab shaam ki galiyon me pahoncha haaye
hamraah asiron ke us ne
ek laagar kaidi ko dekha
jo tauq o salaasil me jakra
kaanton par chal kar aaya hai
kuch nezo par quran numa
sar apne saath me laaya hai

allah jaane kaisa saabir banda hai
ye kaisa saabir banda hai
maa behnon phuphiyon ko lekar
ek qaidi shaam me aaya hai

jakra hai masaayeb ne is ko
zanjeer ba zaahir pehne hain
ye sar to jhuka hai ghairat se
kyun tauq musaafir pehne hain
lagta hai masaayeb ka ye khuda 
insaan ke bhes me aaya hai 

atfaal bhi qaidi hain saare
aur saath haya ki shahzaadi
khaamosh zabaan hai qaidi ki 
par zakhm huwe hain faryaadi 
kuch karta nahi faryaad o buka
aankhon se khun bahaata hai

beghar hai musaafir hai lekin
na sina zani na nauhagari
jo shakhs bhala khamosh rahe 
kaanton pe musaafat ho jis ke
hai dhup masaaayeb ki sar par
phir bhi qaidi be saaya hai

aata hai nazar jo neze par
hai is qaidi ke baap ka sar
wo sar bhi sina par rota hai
kya dard bhala hai ye manzar
ye wo saabir hai jis ke liye
quraan tilaawat karta hai

maa behn phuphi hain bechaadar
ye zakhm jigar par hain gehre
insaan me kaha taaqat itni
ye zakhm sahe aur zinda rahe
zanjeer lipat kar kadmon se
aur tauq gale ka kehta hai

har gaam baraste hain patthar
aur us pe tamaashaayi dunya 
yun sar ko jhuka kar chalta hai
jaise ho koyi zinda lasha 
kya koyi bashar is duniya me 
khud apni laash uthaata hai

ek phul si naazuk bacchi hai 
us par bhi jafa hai durron ki
jab haay chacha wo kehti hai 
sar peet ke rote hain qaidi 
khud rota nahi rone waale 
har qaidi ko samjhaata hai

bacchi ko tamaache lagte hain
ye zakhm jigar par khaata hai
uthti hain nigaahen zainab par
ye khun ke aansu rota hai
khud pyaasa hai par khun dekar
durron ki pyaas bujhaata hai

irfan aur mazhar kya ho bayaan
sajjad ki ghurbat ka aalam
qirtaas o qalam khun rote hain
alfaaz bhi karte hain maatam
ye nauha qayaamat hai lekin
rona is baat pe aata hai

allah jaane kaisa saabir banda hai
ye kaisa saabir banda hai
maa behno phuphiyon ko lekar
ek kaidi shaam me aaya hai
allah jaane kaisa saabir banda hai

Rahe Salamat – Irfan Haider – 2012

ya hussain 

hussain maula hussain 
sina pe bol raha hai
hussain ibne ali 
lahu me apne naha kar
hazaar sadme utha kar
yazidiyat ko mita kar

khuda ke deen ka parcham baland maine kiya
kisi yazeed me taaqat kahaan jhukaaye mujhe
safar ba noke sina par pasand maine kiya
sune ye saara zamaana hussain ki aawaaz

ashhado an la elaha illalla
ashhado anna mohammad ur rasulallah
ashhado anna aliyun valiullah

qubul is liye neze ki nok ki maine
mera kata huwa sar dushmanon se past na ho
mein sar uthaaye huwe dushmanon se kehta hun
hussain hota wahi hai jise shikast na ho
mere azaadaaro ay mere ghamkhaaro 
tumhaare azm ko mera salaam

maula hussain sarkaar farmaate hain
ye mera ishq hai jo lahu banke tumhaari ragon me daur raha hai
rahe salaamat ta qayaamat 
rahe salaamat ishqe hussaini
range wafa dikhlaata hai
warna kaun kisi ki khaatir
apna khun bahaata hai

rahe salaamat ta qayaamat 
rahe salamat ishqe hussaini
range wafa dikhlaata hai

ye kaale kapre jo zebe tan hain
ishqe hussaini ki hai daleel
jhule amaari taaziyadaari
sina zani paani ki sabil
ehle aza ko ye tehzeebe
ishqe hussain sikhaata hai

ye chote bachche aur shab bedaari
yun to bara mushkil hai safar
socho agar tum ahle zamana
ishqe hussaini ka hai asar
ishqe hussain hi in bachchon ko
farshe aza tak laata hai

dekho zara tum kaabe me jaakar
sirf musalmaan honge wahaan
farshe aza wo waahid jagah hai
apne paraaye sab hai jahaan
aata wahi hai farshe aza par
jisko hussain bulaata hai

wo jo bina-e farshe aza hai
ham hain usi bibi ki duaayen
ishqe hussaini tha uske dil me
aur ham ko virse me mila
jisko mila virse me ye maatam 
ahle aza kehlaata hai

ishqe hussaini dil me basaa kar
zinda rakhi ghazi ne wafa
jis ne wafa ko zinda rakha hai
baali sakina ka hai chacha
usko dua deti hai sakina
jo bhi alam ko uthaata hai

ishqe hussaini se hain namazein 
ishqe hussaini farshe aza
ishqe hussaini sholon pe chalne
sina zani zanjeer o kama
ishqe hussaini ki taaqat se
maatami khun me nahaata hai

suno mazhar o irfan
ay azaadaaraane man
yehi wo shohada-e karbala hain
jinhon ne halmin ki sada par labbaik kaha
aur mere iskq me apni jaanon ka nazraana pesh kiya

muslim bin awsaja, anas bin haaris
burayre hamdani, hanzala bin asad
abdur rahman gaffaari, saif bin haris
hur, habib, john, abusamama
umro bin ansaari, shojab bin abdullah
aabis bin shabib, abdullah gaffari
wahbe kalbi, abu shahasa
shabeeb bin abdullah, ammar ibne hassan
junada bin kaab, junada bin haris
saeed ibne haaris, zohair ibne qain
saif bin malik, noman ibne umar
nafi ibne hilaal, salman ibne mazarib
ali bin hur, musab reyahi
sawaar ibne umair, umar bin jandab
zargaama bin malik, aslam ghulame turki
imran bin kaab, qarib bin abdullah
muslim bin kasir naeem bin aglan
abdullah bin sabeet, umar bin khaalid
saeed ibne abdullah, jaabir ibne hajjaz
bakar ibne haai, hajjaj bin masruk
abdullah bin muslim, mohammad bin muslim
jafar ibne aqeel, abdur rahman ibne aqeel
habsha bin qais, zahid bin umro
sawair ibne umro, nasar bin abi naizar
abdullah bin umair, umro bin ansari
habab bin aamir, habab bin haaris
haaris ibne binhan, jundab ibne hajeer
ammar ibne abi salama, munjaeb bin sahem
mohammad bin saeed, mohammad bin abdullah
aon bin abdullah, qasim ibne hasan
mohammad bin hasan, mohammad bin ali
abdullah bin ali, imran ibne ali
jafar ibne ali, abdullah bin hasan
abbas ibne ali, ali asghar
ali akbar, maula hussain

Sughra Achha Hi Kiya – Irfan Haider – 2011

Haye sughra..(2)
Haaye
Jo chhut ke shaam ke zindaa se aayi binte ali
Nabi ke roze pe sughra se roke kehne lagi
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

Warna meri tarha chhin jaati tumhari bhi rida
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

1. Tum charagho ko yaha takti rahi shamo sahar
khoo rulati thi tumhe roz yaha yaad e padar
tumne akbar ke kaleje me na dekha naiza
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

2. Kya batau ke waha kaise masaeb toote
ek hi roz me sab god ke paale chhoote
ek ek laash pe khaimo me qayamat thi bapa
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

3. Kis tarha aun o mohd ke janaze aaye
shaah maqtal se unhe kaise utha kar laye
sunke karti ho buka dekh ke aajati qaza
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

4. Ghash pe ghash khaati thi saidaniya karti thi buka
ek ghatri me jo qasim ka sarapa aaya
us ghadi khaima e sadaat me mehshar tha bapa
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

5. Meri in ankho ne dekha hai wo manzar dukhiya
baap ke kaanpte haatho pe pisar ka laasha
saath akbar ke tumhara bhi janaza uthta
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

6. Haye paani lene ko tarai pe gaya tha saqqa
phir alamdaar nahi sirf alam aaya tha
haye maqtal se kamar thaame tumhare baba
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

7. Maslehat kya thi tumhe le na gaye kyu sarwar
asr e aashoor khula raaz ye sughra mujhpar
pushte shabbir pe qatil tha sarhane zehra
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)

8. Haye kaise manzar wo kare mazharo irfan bayaa
thi ye sughra ke qareeb zainab e muztar ki fughaa
mere baalo ki safedi me hai ye raaz chhupa
sughra acha hi kiya tum na gayi karbobala..(2)
Haye sughra..

Ho Salaam – Irfan Haider – 2011

aye SAJJAD A’s HAYE HAYE SAJJAD A’s 2x
salaam 3
ho salaam os per k jo qaidi b hai bimar b 4x
paon mein hain abalay aur ablon mein khar b

ho salaam……. 2x

ankh mein ansun aur zakhm jighr mein 
aur honton pe rida ka noha
karb o bala haye shaam talk woh kanton per safar krta tha 
byrida Syedaniyan s’a os per sitam bazar bhi

ho salaam ………2x

deakhnay wali ankhun ne dkha 
os rah mein yeh b manzar 
aik masafir paband e safar hai khd apni lash utha kar 
yeh Imam a’s e waqt hai aur qafila salaar bhi 

ho salaam ……… 2x

(kehta tha k toq e gira aya mery hisay mei 
wrna is foj mein khanjar bhi hain talwar b hai )

khoon ragon ka ya hai ghairat e Hashim 
kehti hai jukha ly sar ko
toq o salasal kya qaid krn gyen haye sabar k is paikar ko
sar uthaye kis tarah hai rah mein bazaar bhi 

ho salaam …… 2x

deakh kay ZAINAB S’a Sajjad a’s ki halat faryaad yehi krti thi 
mera yaqeen hai 
emaan hai mera,AY sham ky baykas qaidi
roye gyen tujh per sada masnd b aur dastar bhi

ho salaam…. 2x

(poucha ik shakhs ne Shabiar a’s tumhara hai kon 
kaha baba b hai aqa bhi hai sardar bhi hai )

Noha kuna hain irfan aur mazhr tareekh o mqaatal sub hi 
All e Payambar s.a.w.a.w aur shaam ki galiyan Shabiar a’s ka beta qaidi 
q na ho mahv e fugan qirtas b aur ashaar bhi 

ho salaam