Maula Haq Imam – Irfan Haider – 2015

Maula Haq Imam

Ya Husain ya husain..(4)
Ya husain ya husain ya husain.. husain..(2)

haye haal likhu kya saadaat ke lutne ka
mai khud ek sayyed zaada hu
mujhe khoon rulate hai aksar
kabhi maqtal, kabhi koofa, kabhi shaam

maula haq imam..(4)
maula haq imam ya hasan ya husain
ya husain ya husain ya husain

1. Baade husain ibn e ali
zainab pe kya aayi ghadi
jalti hui reti pe thi
be aasra aale nabi
shame ghariba aagayi, har su udasi chaa gai
pehre pe zainab aagayi..(2)
aur lab pe tha bus ye kalaam

2. Maqdooma e kaunain ki poti sakina bekhata
baba ka laasha dhundhne phirti thi ban me ja baja
shabbir ki wo laadli, seene pe jo shah ke pali
uski yahi faryaad thi..(2)
jab jal chuke saare khayaam

3. Jis ke lahu ka aaj bhi maqrooz hai saara jaha
halmin ki jo aawaz par maqtal me aaya bezaba
wo asghar e besheer tha jo kaatibe taqdeer tha
haye hurmala ka teer tha..(2)
jis ke liye mehwe kalaam

4. Haye haye mohammad ka chaman kuch is tarah loota gaya
ye bekasi saadaat ki ke barsare karbobala
rokar kahe qasim ki maa, maara gaya qasim jawa
zinda rahe kaise ye maa..(2)
faryaad ya shahe anaam

5. Mashko alam lekar chala mashko alam ka paasba
mashke sakina jab chidi pani baha baade azaa
abbas ke baazu kate, dil kaap utha ye sochke
wo khaak par kaise gire..(2)
kehte hue tum par salaam

6. Tere akhee mazloom ka ghar se janaza jab chala
taboot par 100 teer the lekin shahe karbobala
teero pe tha laasha tera, maa sayyeda mehwo buka
kehne lagi karbobala..(2)
zinda rahe dono ka naam

7. 11 moharram aa gayi aale nabi ka karwaa
tha shaam ki janib rawa aur kafile ka sarbaa
wo abide bimaar tha chalne se jo laachar th
mehve buka ghum khwar tha..(2)
kehta chala har ek gaam

8. Kaafi hai rone ke liye wo shaam o kufa ka safar
chadar talab karta raha sajjad qaidi nauhagar
fir qaidiyo ka qafila darbaar me laaya gaya
khudba jo zainab ne diya..(2)
Lab Per Tha Yeh  Nauha Madham

9. Irfan o mazhar  abidi karte raho har dum ye bain
bus zindagi bhar ya hasan, bus zindagi bhar ya husain
nauhe ka yu haq ho ada, jab barsare farshe aza
nauha padhe khud sayyeda..(2)
rokar kahe sab khaso aam

Zamin Hai Imam e Raza – Irfan Haider- 2015

Ya sayyadi ya maulayi
Ya imam e reza

Ae ehle aza fi amanir-reza..(2)
mash’had se sada dete hai ye imam e reza..ae ehle aza
bazu pe agar baandh lo taweez e reza
zamin hai imam e reza..(3)

1. Ye rasm nahi qaul hai ye (maula reza ka)..(2)
sikka nahi taweez hai ye (radde bala ka)..(2)
mushkil hi nahi raah se tal jae qaza..ae ehle aza

2. Maa behno ko bacho ko (pehnao ye sikka)..(2)
aur malise shabbir me (batwao ye sikka)..(2)
banjaoge batil ke liye behre khuda..ae ehle aza

3. Hoga na koi khauf (balao ka kabhi bhi)..(2)
tootega yazeedo ka bharam (dekhna khudhi)..(2)
khud maut pilaegi tumhe aabe baqa..ae ehle aza

4. Taweez e reza ho ya (alamdaar ka parcham)..(2)
dono hi mita dete hai (taqdeer ke sab ghum)..(2)
ghaazi ka alam dega tumhe khud hi dua..ae ehle aza

5. Taboot uthe jab bhi kahi (maula reza ka)..(2)
taboot se taweez (dua karke uthana)..(2)
jo mangoge us waqt tumhe dega khuda.. ae ehle aza

6. Har daur me har nasl me (raej ho ye sikka)..(2)
jo nasl abhi aengi (uska ho ye wirsa)..(2)
khatoone qayamat bhi tumhe dengi dua..ae ehle aza

7. Dete raho pursa, mazloom raza ka
masooma e qum bhi talabgaar hai
zakhmi hai kaleja, kuch to ho dilasa
wo bibi abhi tak dilafgaar hai
us dil ko isi tarha suku aaega..ae ehle aza

8. Ek farsh bichao, logo ko bulao
aur padhke masaeb karo ye buka
jab zehre sitam ne, dil kar diya tukde
duniya se sidhara wo maula mera
tukdo me bata qalb simat jaega..ae ehle aza

9. Haan mazhar o irfaan, karte raho aelaan
duniya ko batao haqeeqat hai kya
darain ke sardaar, hai maliko mukhtaar
maula mere sarkaar imam e reza
tum inke zamanat me rahoge sadaa..ae ehle aza

Nanhe Mujahid – Irfan Haider – 2015

Haa..n haa…n
Shaah to aae jaane madar
tum nahi aae
nanhe mujahid ran me jakar
tum nahi aaye

1. Kabse khadi hu khaime ke dar par..(2)
aankho me lekar ashko ke sagar..(2)
pesh karu aajao jo asghar..(2)
tum nahi aae

2. Khali jo pehlu paungi beta..(2)
ghum se phatega mera kaleja..(2)
raat bhi guzregi ro ro kar..(2)
tum nahi aae

3. Raat andheri dashte bayabaa..(2)
darr nahi jana ran me meri jaa..(2)
kaise rahoge maa se bichad kar..(2)
tum nahi aae

4. Tumne isharo me ye kaha tha..(2)
dedo raza maqtal ki khudara..(2)
fatha mai karke aaunga lashkar..(2)
tum nahi aae

5. Haste hue khaimo se sidhare..(2)
peshe nazar hai saare nazare..(2)
sogaye kya maidaan me jakar..(2)
tum nahi aae

6. Teer laga hai kya gardan par..(2)
jo nahi dekha maa ko palatkar..(2)
kaunsi majburi thi asghar..(2)
tum nahi aae

7. Kisko sunaungi mai kahani..(2)
ye bhi na socha yusuf e saani..(2)
maa se kategi raat ye kyu kar..(2)
tum nahi aae

8. Kisne anees e ghum ko pukara..(2)
sunwao awaaz dobara..(2)
nauha yahi tha bano ke lab par..(2)
tum nahi aae

Rona Naa Sakina – Irfan Haider – 2015

Haaye sakina..(4)
Shabe ashoor choti shehzadi se kehte the husain
meri jaan sakina..
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

amma hi ki aaghosh me sojana sakina
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

1. Allah kisi beti ko dikhlaye na wo ghum
jo ghum tumhe khud deke chale jaenge kal hum
kal tumko na mil payega ye baba ka seena
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

2. Ye baat ghanimat hai tere waste beta
seene pe mere chayn se soja meri dukhiya
kal khaak me mil jaega zehra ka nagina
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

3. Ek baat mai samjhata hu ae beti abhi se
shikwa nahi karna kabhi amma se, phuphi se
sone ke liye raat ko zidd karna kabhi na
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

4. Kehte hai jise daaghe yatimi meri dukhiya
kal sar pe tere baap ka saaya na rahega
ye ehle sitam tujhe ab dikhlaege keena
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

5. Mangunga dua mai teri khatir ye khuda se
mehfooz rakhe wo tujhe har ranjo bala se
raas aaye safar, aaye safar ka ye mehina
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

6. Jo dard tujhe denge laee mai bhi sahunga
tum naaqe pe aur barsare naiza mai chalunga
waada hai akela tumhe chodunga kabhi na
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

7. Hojayegi tu qaid teri aaho buka bhi
madar bhi teri, phuphiya bhi aur zainul eba bhi
tumko usi zindaan me sona hai sakina
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

8. Ae mazhar o irfan qayamat hai y e jumle
maa baap sada saath nahi rehte kisi ke
sheh kehte the ab seekh lo bin baap ke jeena
tum baad mere dekho yu rona na sakina..(2)

haaye sakina haaye sakina.

Khudaya Khair Kare – Irfan Haider – 2015

Alamdar alamdar alamdar..(5)
Jab hui der alamdar ko darya pe gaye..(2)
ashke ghum zainab e dilgeer ki ankho se gire
boli ye zainab e lachaar..khuda khair kare
dekhiye sayyade abraar…khuda khair kare
kyu nahi aaya alamdaar
dekho darya ki taraf mauje darya ki taraf
kyu nahi aaya alamdaar khuda khair kare

1. Haan yahi kehke sakina se gaya tha ghaazi
izn baba se dila do to mai laau pani..(2)
legaya mashk wafadaar..khuda khair kare
wo hai paani ki talabgaar..khuda khair kare
kyu nahi aaya alamdaar..

2. Sukhe kooze liye hatho me khade hai pyase
ab to aa jana tha ghaazi ko mere darya se..(2)
hogaye pyaase dilafgaar..khuda khair kare
jaa balab jeene se bezaar..khuda khair kare
kyu nahi aaya alamdaar..

3. Raasta mere alamdaar ka takte hai sabhi
hai koi mehwe dua koi padhe naade ali..(2)
keh raha hai dile ghumkhwaar..khuda khair kare
alqama par hai sitamgaar..khuda khair kare
kyu nahi aaya alamdaar..

4.  Paasba khaima e shabbir ka ab koi nahi
aasra zainab e dilgeer ka ab koi nahi..(2)
roke kehta hai dile zaar..khuda khair kare
wo hai chadar ka nigehbaan..khuda khair kare
kyu nahi aaya alamdaar..

5. Sunke zainab ki sada ran ko chale shaahe hoda
thokre khate kamar thaame hue mehwe buka..(2)
boli kulsoom dilafgaaar..khuda khair kare
kaun hai sheh ka madadgaar..khuda khair kare
kyu nahi aaya alamdaar..

6. Khoon me dooba alam aaya jo zainab ko nazar
apne nazdeek sakina ko bulaya rokar..(2)
phir ye kehne lagi lachaar..khuda khair kare
ab nahi kehna dilafgaar..khuda khair kare
kyu nahi aaya alamdaar..

7. Shor e ghum mazhar o irfan qayamat ka utha
jab alam aaya to shabbir se zainab ne kaha..(2)
kuch batao mere ghumkhwaar..khuda khair kare
jab alam aaya hai sarkaar..khuda khair kare
kyu nahi aaya alamdaar..