Ae Waqt Ke Hussain – Ali Safdar – 2010

Aey Imam e Zaman aap ka muntazir hai yeh jahan – 2

Aey waqt ke Hussain ab ajao ek baar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar

Jalwa karain jahan main Imam e Falak Wiqar
Chamke ufaq pa phool ke phir noor e kirdigar
Hojae poora teen sou tera (313) ka ab shumar
Sadyon ke baad khatm ho Maula ka intezar
Aaen nikal ke parda e ghaibat se Zulfiqar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar

Ghaibat ka parda unke uthane ke baad bhi
Ilm o amal se khud ko sajane ke baad bhi
Maula ka saath dena hai aane ke baad bhi
Jaana nahi charagh bujhane ke baad bhi
Naasir hai kaun kaun ye hona hai phir shumar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar

Hai maqsad e hayat yahi khaas o aam ka
Atka hua hai seene mai dam es ghulam ka
Poora ho khwaab nusrat e shah e anaam ka
Bas ek bar dekh loon chehra Imam ka
Sadyon se hai Imam e Zamana ka intezar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar

Bas ek bar Deen e Khuda ko bachaiye
Bas ek baar amn o aman sath laaiye
Bas ek baar pardae ghaibat uthaiye
Daadi ka roza karta hai faryaad aaiye 
Phir Jannatul Baqi mai aajaegi bahaar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar

Baba ab apne zakhm ko dhoti nahi hoon main
Noke mizhan pe ashq piroti nahi hoon main
Durron se khauf aata hai roti nahi hoon main
Raaton ko neend aati hai soti nahi hoon main
Zindaan se Sakina ko lejao ek baar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar

Bazar e Shaam mai hai masaeb ki inteha
Phupiyon ke sar khule hain tou Aabid ka sar jhuka
Hojaen tai ye saathwe dar ka bhi marhala
Namoose Mustafa ko jo mil jae ek rida
Reh jae Maan ki chadar e tatheer ka wafa
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar

Deen par amal, tameez halal o haram ho
Jazba jihad e haq ka zamane mai aam ho
Eesar ka hai shauq tou phir aisa kaam ho
Bas ek bar Lashkar e Mehdi mai naam ho
Phir eske baad mushkilain aaen qamar hazaar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar

Aey Imam e Zaman aap ka muntazir hai yeh jahan

Zainab Pareshanast – Ali Safdar – 2010

Zainab pareshanast….x4
baba baba baba
Im shab e shabe qatl e husaiin ast
Bar dar roze shahadat ast
Bar dar qasim na akbar na abbas nimonast
Bar daar zameen e karbala…x2
Az khoon e gulistanast
Sultan e karbala
Dar khoon e galtanast
Baba baba baba
Baad as asre ashura….x2
Zainab tanha nishabas
Zainab pareshanast…x2

Zainab pareshanast…..x4

Zainab pareshanast…..x4
Bhai ki ruksat k wakt
Zainab pareshanast..

Zainab pareshanast…..x4

Kal hai shahadat ka din
Rab se mulakaat hai…x2
marne ki khwahish liye
Aashur ki raat hai
Lamho ka bas saat hai
Abbas mehman ast

Zainab pareshanast…..x4
Bhai ki rukhsat k wakt
Zainab pareshanast..

Fizza se shaih ne kaha
Maktal ko ab mai chala….x2
Madar ne jo tha siya
Lao kafan wo mera
Bhai ne kya kehdiya
Hamsheer hairan ast

Zainab pareshanast…..x4
Bhai ki rukhsat k wakt
Zainab pareshanast..

Suve najaf hai sada
Imdaad ko aiye….x2
Kaano se behta hai khoo
Bachhi ko behlaiye
Baba ab aajaiye
Shaame gharibaanast

Zainab pareshanast…..x4
Bhai ki rukhsat k wakt
Zainab pareshanast..

Bachhe hai sehme hue
Chhaii hai teera shabi….x2
Mardo mei aabid hai bas
Zinda nhi hai koi
Tanhaii bechadari
Zainab nigehbaanast

Zainab pareshanast…..x4
Bhai ki rukhsat k wakt
Zainab pareshanast..

Rukhsar zakhmi hue
Chheeni gaii baliya….x2
Paani zaruri hai ab
Abbas ho tum kaha
Pyasi sakina yahaa
Shola be damanast

Zainab pareshanast…..x4
Bhai ki rukhsat k wakt
Zainab pareshanast..

Ashqo ki zanjeer hai
Sajjad beemar hai….x2
Haatho me hai hathkadi
Tauke girabaar hai
Qaidi hai lachaar hai
sajjad be zindanast

Zainab pareshanast…..x4
Bhai ki rukhsat k wakt
Zainab pareshanast..

Baadar daura’n me hai
Saidaniya nange sar
Apno ki haalat ka tum
Nauha likho ye qamar
Bepardagi dekhkar
Zainab pareshanast

Zainab pareshanast…..x4
Bhai ki rukhsat k wakt
Zainab pareshanast..

Masuma-e-Qum (sa) – Ali Safdar – 2009

Massuma-e-Qum (x2)

Assalam-e-Khwahar-e-Wali-e-Tu’s

Massuma-e-Qum (x2)

Assalam-e-Malka-e-Ehl-e-Nufu’s

Massuma-e-Qum (x2)

Assalam Ay Hurmat-e-Arz-e-Ajam

Assalam Ay Noor-e-Taqdeess-e-Haram

Massuma-e-Qum (x2)

Pasbaan-e-Wadiy-e-Qum Par Salaam

Tu’s Ki Tum Fatema Tum Par Salaam

Bhayi Ki Ulfat Ki Maari Par Salaam

Ho Salam Uss Gham Guzari Par Salam

 

Ay Khwahar-e-Maula Reza, Massum-e-Qum Fatema (x2)

Massuma-e-Qum (x2)

 

Aap Key Rozey Pei Hazir

Hogaya Yeh Kafela (x2)

Sab Kanizein Aap Ki Hai

Sarey Khudaam-e-Wafa (x2)

Sab Muhibbey Aley Ahmad Gham Gussar-e-Karbala

Hogayi Hamko Ziyarat, Aapki Shukr-e-Khuda …

 

Roza-e-Aqdas Pei Yeh

Aya Hamey Hukm-e-Imaam (x2)

Aap Ki Khidmat Mei Bibi

Peysh Kartey Hai Salaam (x2)

Ham Azadar-e-Hussaini Aap Key Adna Ghulaam

Sab Key Daman Mei Muradey, Sab Key Lab Par Hai Dua …

 

Ham To Aey Hai Yahan

Matam Guzari Key Liyey (x2)

Karbala Walon Key Gham Mei

Aah-ho Zari Key Liyey (x2)

Sina Ko Bhi Key Liyey Aur Ashq Bari Key Liyey

Pursa-e-Shabbir Deney, Aey Hai Ehl-e-Azaa …

 

Lijiyey Akbar Ka Pursa

Woh Jo Tha Laila Ka Laal (x2)

Wo Shabih-e-Mustafa

Woh Peykar-e-Yussuf Jawaan (x2)

Haey Aissey Naujawan Ka Yeh Huwa Maqtal Mei Haal

Jaissey Hi Barchi Khichi Bahar Kaleja Agaya …

 

Chu’m Kar Abbas Key

Shanon Ko Kehte They Imaam (x2)

Yeh Mere Bazu Hai Bhayi

Aenguey Yeh Mere Kaam (x2)

Sar Juka Kar Boley Ghazi Aap Aqa Mein Ghulam

Mein Utarunga Inhey Shanon Sey Sadqa Aap Ka …

Ya Ali (as) – Ali Safdar – 2008

Ya Ali (AS)

(Ya Ali ya ali ya ali madad) x5

(Yaad karo, yaad karo, jang-e-khayber yaad karo) x2

Yaad karo, yaad karo, hashr ka manzar yaad karo

Yaad karo, yaad karo, (naar-e-haider yaad karo) x2

Nara haideri,

ya ali ya ali ya ali madad, maula ali madad

madad madad madad ya hussain
madad ya imam madad ya imam mujahidul hussein

Ham intezar karte hai (apne imam ka) x2

Izn-e-jihad ke liye, (khayrul anaam ka) x2

Markaz jo hashr tak hai (khuda ke nizaam ka) x2

Maqtal mei unse caalti hai zindagi madad

(Ya Ali madad) x2

ya ali ya ali ya ali madad, maula ali madad

madad madad madad ya hussain
madad ya imam madad ya imam mujahidul hussein

Bandhi huwe saro(n) se hai (kafan hai mujahideen) x2

Amaada-e-jihaad hai (sab khuld ke maqeen) x2

hain chashme intizar me (wo zaat-e-haseen) x2
mehfooz hai jo ghaib me sab se bari madad

(ya ali madad) x2

ya ali ya ali ya ali madad, maula ali madad

madad madad madad ya hussain
madad ya imam madad ya imam mujahidul hussein

hogi shuaa-e-noor ki (talwar hath me) x2
gunjayga kerbalai (rajaz kainat me) x2
pani kebadlay khoon (bahega farat me) x2
ayegi alqamah se sada ya ali madad

(ya ali madad) x2

ya ali ya ali ya ali madad, maula ali madad

madad madad madad ya hussain
madad ya imam madad ya imam mujahidul hussein

lashkar barhenge parchame (abbas ke talay) x2
zulm o sitam ke baqi (rahenge na silsilay) x2
naslon se kate jainge (kufar ke galay) x2
hogi hamare sath jo abbas ki madad

(ya ali madad) x2

ya ali ya ali ya ali madad, maula ali madad

madad madad madad ya hussain
madad ya imam madad ya imam mujahidul hussein

gardish me hogi aik ye (aawaz char su) x2
aaya jo ab tabassume (asghar ke ru baru)) x2
gardan se hurmala ki (baras jayega lahu) x2
hogi ama(n) na zulm ki khatir Koyi madad

(ya ali madad) x2

ya ali ya ali ya ali madad, maula ali madad

madad madad madad ya hussain
madad ya imam madad ya imam mujahidul hussein

sab jaa(n) nisar kehte hain (din raat al-ajal) x2
ab ghaib ko huzoor se (mola mere badal) x2
tere zuhoor me hai (sabhi mushkilo ka hal) x2
is aakhri jihad me de aakhri madad

(ya ali madad) x2

ya ali ya ali ya ali madad, maula ali madad

madad madad madad ya hussain
madad ya imam madad ya imam mujahidul hussein

seena figar hai ali (akber ke gham gusar) x2
aankhon me intiqam e (jawan ka lye gubar) x2
maqtal me phir rahe hain (paye deed-e-zulfiqar) x2
har gham gusar chahta hai sarwari madad

(ya ali madad) x2

ya ali ya ali ya ali madad, maula ali madad

madad madad madad ya hussain
madad ya imam madad ya imam mujahidul hussein

abbas e naamdar ke (baazu ka wasta) x2
asghar ka aur akber e (mehroo ka wasta) x2
shabbir tere khoon ki (khushboo ka wasta) x2
har pe ‘abad’ ko chahiye taakhir ki madad (ya ali madad) x2

ya ali ya ali ya ali madad, maula ali madad

madad madad madad ya hussain
madad ya imam madad ya imam (mujahidul hussein) x4

Zahoor Kab Hoga – Ali Safdar – 2008

Zahoor kab hoga

(Zahoor Kab Hoga) x4 (khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

Tarap rahain Hain is hasrat me aaj ham mola

khuda ke waste ab kijiye karam mola
ye haal hai(n) ke nikalta hai apna dam mola

jabeene dhundti hai aap ke qadam mola

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

Tumhi Se Milne ko ham jamkaran tak pohnche

jahan pe aaye ali us makan tak pohnche
samandaron me phire har jahaan tak pohnche

nishani hai jo teri us nishan tak pohnche

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

gayi hai(n) jaisay zade pao(n) ghaibat e sughra

usi tareekay se rukhsat ho gaibat e kubra
tumhare deed ki surat yehi hai ab mola

zamana daikhe imamat ka aakhri jalwa

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

karay ge aap jo makkay se karbala ka safar

hamara naam bhi ho kash farsare mehzar
chalenge sath tumhare jo moniso yawar

bas aisay waqt ka talib hai ye dil-e-muztar

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

tumhare naam pe sadqe karain ye sar kaisay

lutaye shaam-e-gharibaa(n) me apna ghar kaisa
hamare haal hi ki pohnche tum ko khabar kaisay

zahoor hoga tumhara yahan magar kaisay

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

bulaye jaayenge akber sunane ko

parenge dast bureeda alam uthane ko
chalenge jhoolay se asghar bhi muskurane ko

magar na jaaye ga ab koyi qaid khaane ko

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

ama saron se bhi chin jai gi rida ki qasam

dua kalejo se uthe ka kerbala ki qasam
adu koyi na bacha ga yaha(n) khuda ki qasam

katenge dast e sitam baazu-e-wafa ki qasam

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

‘abad’ to aaj hai sarwar ke sogwaro(n) mei

khuda kare ke yehi kal ho un baharo(n) mei
paye jihad ho maqtal ke sab sawaro(n) mei

lahu ‘abad’ ka bhi shamil ho jaanisaro(n) mei

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga

andhairi dunya me roshan ye noor kab hoga

(khabar to do) x3 mere mola zahoor kab hoga