Ya Abal Fazl – Ali Safdar – 2015

Abal Fazl…x8
Ya Abal Fazl
Aapke dar pe meri hain yeh dua……ya Abal Fazl
Aapke naam se zinda hain wafa….ya Abal Fazl
Aapke saaye me hain fauje khuda…ya Abal Fazl
Aap pe dil hain fida jaan hain fida ….ya Abal Fazl….x4
Yabna Ainullah Hussain
Yabna Asadullah Hussain
Yabna Wajhullah Hussain
Yabna Yadullah Hussain
Ya Sarallah….x4
Ya Abal Fazl….x4

Abbas zalim pe tankid hain
Abbas batil ki taldid hain
Abbas Irfan e tauhid hain
Abbas pyaason ki ummeed hain
Ab bhi parcham se milti hain taza hawa ….ya Abal Fazl
Aapke saaye me hain fauje khuda…ya Abal Fazl
Aap pe dil hain fida jaan hain fida…ya Abal Fazl…..x4
Yabna Ainullah Hussain
Yabna Asadullah Hussain
Yabna Wajhullah Hussain
Yabna Yadullah Hussain
Ya Sarallah….x4
Ya Abal Fazl….x4

Sehte hain hum aah karte nahi
Bayat yazeedon ke karte nahi
Zinda hain murdo se darte nahi
Markar bhi hum log marte nahi
Jitne takfeer hain hoge saare fanah…ya Abal Fazl
Aapke dar pe meri hain yeh dua…..ya Abal Fazl
Aapke naam se zinda hain wafa….ya Abal Fazl….x4
Yabna Ainullah Hussain
Yabna Asadullah Hussain
Yabna Wajhullah Hussain
Yabna Yadullah Hussain
Ya Sarallah….x4
Ya Abal Fazl…x4

Babul hawaej se sab maang lo
Chup lab rahe aansuon se kaho
Roze pe akar namaze padho
Roze pe Gazi ka matam karo
Dega jannat tumhe ek ashke aza…ya Abal Fazl
Aapke saaye me hain fauje khuda…..ya Abal Fazl
Aap pe dil hain fida jaan hain fida….ya Abal Fazl…x4
Yabna Ainullah Hussain
Yabna Asadullah Hussain
Yabna Wajhullah Hussain
Yabna Yadullah Hussain
Ya Sarallah….x4
Ya Abal Fazl….x4

Roze ki janib na koi badhe
Zayer har ek aaj tayyaar hain
Hatyaar utha kar hain alim khade
Daesh ki maut aa gayi saamne
Aa gaye hain hifazat ko ehle aza….ya Abal Fazl
Aapke dar pe meri hain yeh dua….ya Abal Fazl
Aapke naam se zinda hain wafa….ya Abal Fazl….x4
Yabna Ainullah Hussain
Yabna Asadullah Hussain
Yabna Wajhullah Hussain
Yabna Yadullah Hussain
Ya Sarallah….x4
Ya Abal Fazl….x4

Himmat wafa azr sabro riza
Mushkil ka hal ibne mushkil kusha
Roze pe pyaase ke yeh mojeza
Paani hain qadmon se lipta hua
Aake koi na pyasa yaha ae gaya…..ya Abal Fazl
Aapke saaye me hain fauje khuda…..ya Abal Fazl
Aap pe dil hain fida jaan hain fida….ya Abal Fazl….x4
Yabna Ainullah Hussain
Yabna Asadullah Hussain
Yabna Wajhullah Hussain
Yabna Yadullah Hussain
Ya Sarallah….x4
Ya Abal Fazl….x4

Mazlumiyat aisi dekhi nahi
Teeron se challi hua nazneen
Bazu kate hain lahu hain jabeen
Mashke Sakina me paani nahi
Kanpti hain zameen arsh hilne laga….ya Abal Fazl
Aapke dar pe meri hain yeh dua…..ya Abal Fazl
Aapke naam se zinda hain wafa…..ya Abal Fazl…x4
Yabna Ainullah Hussain
Yabna Asadullah Hussain
Yabna Wajhullah Hussain
Yabna Yadullah Hussain
Ya Sarallah…x4
Ya Abal Fazl….x4

Bazaron me berida bibiyan
Zainab musalsal hain nauhakuna
Badle ki hain muntazar ek maa
Ho ab zahoor e Imam e Zamaan
Aaj Shabbir ki maa hain mehre dua…ya Abal Fazl
Aapke saaye me hain fauje khuda….ya Abal Fazl
Aap pe dil hain fida jaan hain fida….ya Abal Fazl…x4

Uncha hain abbas ka yeh alam
Manzil safar me hain ab hum kadam
Abbas karna hain khoon se rakam
Hojaye Safdar yeh bazu kalam
Khoone dil se Kamar maine Nauha likha….ya Abal Fazl
Aapke dar pe meri hain yeh dua….ya Abal Fazl
Aapke naam se zinda hain wafa….ya Abal Fazl….x4
Yabna Ainullah Hussain
Yabna Asadullah Hussain
Yabna Wajhullah Hussain
Yabna Yadullah Hussain
Ya Sarallah….x4
Ya Abal Fazl….x4

Kyun Aale Mohammad – Ali Safdar – 2015

Hussain ya Hussain….x8
Kyu Aal e Mohammed laye gaye bazaron me darbaron ne..x2
Kyu Aal e Mohammed laye gaye bazaron me darbaron me
Kyu ehle haram par zulm huwe bazaron me darbaron me
Kyu Aal e Mohammed……

Aye kalm goh tu yeh to bata kyu hashr kiya tune barpa
Masuma ke dur kyu chine kya Aal e Mohammed ki thi khata
Kya ajre risalat hain yeh hi urwan me kya    
Ahkam e deen mitayega yeh bazaron me darbaron me
Kyu Aal e Mohammed…..

Kyu sath yeh kausar ke pyare darya ke kinare pyase the
Ashur ke din woh asr talak be jurmo khata sab qatl Huwe
Lut aisi machi fir Karbobala me parda raha na khayme rahe
Qaidi ghut ghut ke rote gaye bazaron me darbaron me
Kyu Aal e Mohammed……

Ha deen khuda ka baki raha ghar Fatema Zahra ka juda
Shabbir ka lasha ran me raha Quran sina par sar ne lasha
Sajjad e hazeen tha qaidi magar har mod pe usne khutba diya
Aur parcham e haq lehraye gaye bazaron me darbaron me
Kyu Aal e Mohammed……

Jo Qaim e Aal e Mohammed hain woh laal hain Binte Payambar ka
Bechain hain parda e ghaibat me woh waris tere Haider ka
Woh khoon ke aansu rota hain hain dukhi Zainab ki chadar ka
Kis tarha un par zulm huwe bazaron me darbaron me
Kyu Aal e Mohammed….

Aye Kufe walon yaad karo is shehar ki main shehzadi thi
Aur masturate Kufa ko tafseer ka darz bhi deti thi
Main Shah e Najaf ki beti hoon maa Binte Payambar meri thi
Sain bibi ne khutbe diye bazaron me darbaron me
Kyu Aal e Mohammed…..

Hussain
Ya Hussain…..x4
Hussain ya Hussain…..x6

Ali Ali Akbar – Ali Safdar – 2015

Ali Ali Akbaram
Ali Ali Akbar
Ali Akbar Ali
Ali Ali Akbar
Ali Ali Akbar Ali
Ali Akbar…..x3
Zameen hilti hain zalzale se
Ke baap par kaisa waqt aya
Dikhai dete nahi hain Akbar
Ali ko Shabbir ne bulaya
Nazar pareshan hain dil hain muztar
Ali Ali Ali Ali Akbar…..x2
Ali Ali Akbar…x4

Rahe salamat yeh sheh ka Yusuf har ek maa ki yahi dua hain
Ali hain naam aur Nabi ki surat
Batul ka sin ise mila hain
Luta hain saara ghar Akbar
Hussain ke dilbar Akbar
Shabihe Payambar Akbar
Nazar pareshan hain dil hain muztar
Ali Ali Ali Ali Akbar….x2
Ali Ali Akbar….x4

Yeh ghar ki raunak behan ka armaan
Maa ki aankhon ka hain ujala
Khuda hi yeh janta hain kaise
Phuphi ne atthara saal pala
Hain muntazir madar Akbar
Hussain ke dilbar Akbar
Shabihe Paygambar Akbar
Nazar pareshan hain dil hain muztar
Ali Ali Ali Ali Akbar…x2
Ali Ali Akbar….x4

Hain jab bhi nana ki yaad ayi
Tumhara chehra hi maine dekha
Riza jo marne ki tumne maangi
Main kaise rukhsat karuga beta
Kathan bohot hain safar Akbar
Hussain ke dilbar Akbar
Shabihe Paygambar Akbar
Nazar pareshan hain dil hain muztar
Ali Ali Ali Ali Akbar….x2
Ali Ali Akbar…x4

Hussain kehte hain har qadam par lahu ke aansu baha raha hoon
Yeh khake maqtal hain mere sar par main ghutniyon chalke aa raha hoon
Biradar e Asgar Akbar
Hussain ke dilbar Akbar
Shabihe Paygambar Akbar
Nazar pareshan hain dil hain muztar
Ali Ali Ali Ali Akbar…x2
Ali Ali Akbar…..x4

Udhar jo sajde me mamta hain
Udhar zaeefi tadap rahi hain
Hussain ne ya Ali kaha hain
Jigar se barchi nikal li hain
Hussain ka yeh jigar Akbar
Hussain ke dilbar Akbar
Shabihe Paygambar Akbar
Nazar pareshan hain dil hain muztar
Ali Ali Ali Ali Akbar…..x2
Ali Ali Akbar….x4

Pisar ne ragdi hain ediyan jab ko
Baap sar ko jhuka raha tha
Woh baap jiski kamar hain tuti
Woh laash e Akbar utha raha hain
Jhuki huwi hain kamar Akbar
Hussain ke dilbar Akbar
Shabihe Paygambar Akbar
Nazar pareshan hain dil hain muztar
Ali Ali Ali Ali Akbar….x2
Ali Ali Akbar….x4

Jo apne baba ka gam liye hain
Qamar woh Akbar ko ro rahi hain
Nahi hain baba ka aaj sina
Zameen pe hamsheer so rahi hain
Tamachon ka hain dar Akbar
Hussain ke dilbar Akbar
Shabihe Paygambar Akbar
Nazar pareshan hain dil hain muztar
Ali Ali Ali Ali Akbar ….x2
Ali Ali Akbar….x4
Ali Akbaram..x2

Ya Imam e Zaman – Ali Safdar – 2015

Ya Imam …x8
Al ajal ya Imam….x2
Ashkon se likha raha hoon ariza tere huzur
Mujhko yaqeen hain aap padhege ise zaroor
Dushman ki har taraf se hain yalwar aiye
Aa jaiye ab aiye ab aa bhi jaiye
Ya Imam e Zaman ya Imam ya Imam
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Ya Imam e Zaman ….
Aapke muntazir….

Lashe utha rahe hain azadar subho shaam
Seene pe hath lab pe hain labbaik ya Imam
Labbaik ya Imam
Nara laga rahe hain shahaadat ka peeke jaam
Ya Imam e Zaman ya Imam ya Imam
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Ya Imam e Zaman….
Aapke muntazir….

Fir sar utha rahe hain yazidi yaha waha
Dain taag momino pe zameen aur aasmaan
Zameen aur aasmaan
Zulmo sitam ki dhoop me hain aap sayeban
Ya Imam e Zaman ya Imam ya Imam
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Ya Imam e Zaman….
Aapke muntazir….

Dil se game Hussain nikala kabhi nahi
Sar zalimon ke dar pe jhukaya kabhi nahi
Jhukaya kabhi nahi
Jo aapse hain ishq chupaya kabhi nahi
Ya Imam e Zaman ya Imam ya Imam
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Ya Imam e Zaman….
Aapke muntazir….

Aulaad e Fatema pe hain ab bhi sitam rawa
Hain Karbala me ek nayi Karbala bapa
Nahi Karbala bapa
Fir se nikal rahi hain bas ab to yahi dua
Ya Imam e Zaman ya Imam ya Imam
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Ya Imam e Zaman….
Aapke muntazir….

Har shehar har zameen hain aaka lahu lahu
Gulshan lahu lahu hain to sehra lahu lahu
Sehra lahu lahu
Fir se hua furat ka darya lahu lahu
Ya Imam e Zaman ya Imam ya Imam
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Ya Imam e Zaman….
Aapke muntazir….

Qasre yazeediyat yuhi dhaate rahege hum
Firauniyat ka naam mitate rahege hum
Mitate rahege hum
Abbas ke alam ko uthate rahege hum
Ya Imam e Zaman ya Imam ya Imam
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Ya Imam e Zaman….
Aapke muntazir….

Jaan apni yeh Safar dare Zehra pe warna
Na harna aye momino himmat na harna
Himmat na harna
Apne Imam e waqt ko yuhi pukarna
Ya Imam e Zaman ya Imam ya Imam
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Ya Imam

Ya Ali Adrikni – Ali Safdar – 2015

Ya Ali…x4
Ya Ali…..x5
Ya Ali…. x7
Ya Ali Ali Ali…x3
Ya (Ali)…x7
La ilaha illah Mohammadur Rasulullah
(Aliyun Waliullah)….x3
Nade Ali ya mazharal ajaeb tajhidho aunallaka fin nawaeb kullo hammin wa hammin sayanjali be azamateka ya Allah be nubuwateka ya Mohammed be wilayateka Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni…x4

Ya Ali e Murtaza aye mere Mushkil Kusha
Aiye imdad ko ab mere hajat rawa
Qatl hote hain Hussaini roz bejurmo khatam
Jis taraf bhi dekhe hain ban rahi hain Karbala
Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni….x4

Muntazir ke muntazir hain ehle        ehle wafa
Jinko lena hain jahaan me inteqaam e Karbala
Kash woh ghaibat se nikle aur karde faisla
Ham jihad e haq me apni jaan kardege fida
Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni….x4

Ham abhi khamosh hain unki ziyarat ke liye
Jaan dene ke liye unki ijazat ke liye
Ham toh hain tayyar maula har qayamat ke liye
Zindagi bechain rehti hain shahaadat ke liye
Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni….x4

Shaam o Kufa muztarib hain hir duhayi ya Imam
Karbala me ho rahi hain fir ladayi ya Imam
Kijiye duniya se batil ki safai ya Imam
Aapke kabze me hain saari khudayi ya Imam
Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni…..x4

Parcham e Abbas ke saye me hain Gazi tama
Alkama se dur maqtal me lagaye hain khayam
Bargah e Sayyeda me pesh karte hain salam
Sar hatheli par rakhe hain aapke saare gulam
Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni….x4

Noke naiza se tilawat ki sadayein ayi hain
Maqtale Karbobala se ab hawayein ayi hain
Jo chini thi Karbala me woh ridayein ayi hain
Woh jo bacche kat gaye the unki maayein ayi hain
Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni….x4

Maqtal e Karbobala hain haye Zainab ya Hussain
Hone wala faisla hain haye Zainab ya Hussain
Fir tabassum bolta hain haye Zainab ya Hussain
Tera waris aa raha hain haye Zainab ya Hussain
Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni….x4

Haidar e Safdar ka beta woh shahe aali waqar
Ho raha hain jiski aamad ka abhi tak intezar
Karbala ka muntakim aya hain lekar zulfikar
Uske qadmon par abad ham jaan kar dege nisaar
Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni…..x4

Nade Ali ya mazharal ajaeb tajhidho aunallaka fin nawaeb kullo hammin wa hammin sayanjali be azamateka ya Allah be nubuwateka ya Mohammed be wilayateka Ali Ali Ali adrikni