Abbas Tere Jaane Ke Baad – Farhan Ali – 2011

Haaye
Qafela dasht e bala se jo sue shaam chala
laash e abbas e alamdar pe zainab ne kaha
abbas, abbas

Chin gai sar se rida, koi baaqi na raha
abbas tere jane ke baad..(5)

1. Tane deta hai mujhe dekh ke yu shimr laee
teri awaaz pe abbas tera aata nahi
ban gai farshe azaa tere liye ab ye zamee
shaam jana hi pada, ye sitam tujh pe hua
abbas tere jane ke baad..(3)

2. Roke kulsoom teri yaad me karti hai buka
teri haibat se kabhi soye nahi ehle jafa
kaisi badli ye tere baad zamane ki hawa
khush hue ehle sitam, so nahi paaye jo hum
abbas tere jane ke baad..(3)

3. Raah me aale payambar ka dilasa mai bani
shaam ke log tamashai tamasha mai bani
zakhm sadaat ne paye to maseeha mai bani
mai hi salaar bani mai alamdaar bani
abbas tere jane ke baad..(3)

4. Haaye darbar me aulad e nabi aa pohchi
aur sakina ko kanizi me bulata hai shaki
kisse faryad karu tu hi bata mere akhi
aur kya hoga sitam kitne lachaar hai hum
abbas tere jane ke baad..(3)

5. Naam lekar jo sitamgar ne bulaya mujhko
amma fizza ne pase pusht chupaya mujhko
yu bhi pardes me ada ne sataya mujhko
aise aalam me bhala, kisko deti mai sada
abbas tere jane ke baad..(3)

6. Hind zindaan me aai to ye kohraam utha
meri barbadi ka jab hind ne ehwaal suna
apna sar peet ke wo karne lagi wa waila
dekh kaisa hai sitam, qaid hai ehle haram
abbas tere jane ke baad..(3)

7. Tauqo zanjeer se sajjad jo azaad hue
qabr pe bali sakina ke gaye rote hue
rukh sue karbobala karke yahi bain kiye
seh nahi payi sitam, dukhtare shahe umam
abbas tere jane ke baad..(3)

8. Shaam se mazhar o farhan rihai jo mili
aaye maqtal me salami ke liye sab qaidi
ghutniyo chalte hue bhai ke marqad pe gai
the ye zainab ke sukhan, mar gai kyu na bahen
abbas tere jane ke baad..(3)

Alma Waale – Farhan Ali – 2010

Ae alamdar e wafa..(4)
ek tere sahare par zainab yasrab se maqtal aai thi
alma waley..(2) ha meri chadar ke rakhwaley
rabba teri khair kare
alma waley..

1. Zainab ki dharas tera alam, bhai ka dilasa tera alam
hai ehle haram ke sar ki rida, hurmat ka khulasa tera alam
chadar kaise..(2)
cheenenge ye barchiyo waley
rabba teri khair kare

2. Dariya pe lagaye hai pehre, jaa tod ghuroore batil ko
tu jaake mita de duniya se, mazloom akhi ke qatil ko
cheen le dariya..(2)
aaghosh e ali ke paale
rabba teri khair kare

3. Hai waqt teri saqqai ka, ab rog bani hai tishna labi
marjae na ye pyase bache, in sab ko hai tujh se aas badi
pyaas bujha de..(2)
kehte hai zaba ke chaale
rabba teri khair kare

4. Ye mashk e sakina dariya se, bhar lao mere pyare bhayya
in nanhe nanhe bacho ka, hai pyaas ke maare haal bura
jaldi aana..(2)
mashkeeza gale me daale
rabba teri khair kare

5. Zainab ki ummeedo par paani, pani ki talab ne pher diya
mashkiza bhara khaime ko chala, aada ne jari ko gher diya
pyaase bache..(2)
kehte rahe kooze sambhale
rabba teri khair kare

6. Maskhiza chhida bazu bhi kate, ek aankh me uske teer laga
be dast jari ghode se gira, girte hue di aaqa ko sada
sarwar pohche..(2)
hoto’n pe yahi the naale
rabba teri khair kare

7. Sarwar se kaha tha ghazi ne, ae maula meri hai arzi yahi
khaime me na lejana mujhko, takti hai sakina raah meri
baithi hai wo..(2)
raste pe nigaahe daale
rabba teri khair kare

8. Zainab ne jo dekha aate alam, bachi se kaha dekho to zara
wo shere jari aata hai mera, ab pani tumhe mil jaega
milke uthao..(2)
tum haath duaon wale
rabba teri khair kare

9. Mazhar wo qayamat ka manzar, farhan ye kehke rone laga
jab qaidi bani aulade nabi, deti thi sadaa binte zehra
shaam chali mai..(2)
asghar hai tere hawale
rabba teri khair kare

alma waley..(2) ha meri chadar ke rakhwaley
rabba teri khair kare
ae alamdar e wafa..(4)

Kehti Thi Maa – Farhan Ali – 2010

Kehti thi maa

Haaye haaye haaye haaye

Barsa falak se khoon larazne lagi zameen
aandhi siyaah dashte bayabaan me chali
yeh waqt bhi qayamate kubra se kam nahi
jalti zameen pe aakhri sajde me hai jabeen
baali pe maa hussain ki aur pusht pe laeen

kehti thi maa theher zara shimr theher jaa
do bund mere bacche ko pani toh pilaa de

1. Sunkar duhai fatahe badro honain se
yeh rashk gunjta hai mere shoro shain se
akbar ko katl kar ke bhi baithe na chain se
kya dushmani hai tumko mere dilke chain se
kya bugz tumko ho gaya mere hussain se

2. Subh e dahan se laash uthata raha yaha
roya hai is ghareeb ki ghurbat pe aasmaa
bacche shaheed ho gaye maare gaye jawaa
haatho pe iske qatl hua ek bezabaa
ab iske khoo ke pyase hue khanjaro sina

3. Aaya jo katl gaah me yeh zulm ka aseer
pursaane haal tha na koi aur na dastgeer
patthar kisine maare kisine sina o teer
naiza kisine maara chalaaye kisine teer
yeh zulm dekha rone laga khuld ka ameer

4. Ghash khake jo ghode pe jhuka mera dilafgaar
khun rone laga aur sare mazlum pe talwaar
sar thaamke haatho se jo seena hua ek baar
barchi kisi laeen ke seene se hui waar
tar ho gaya lahu se badan dil hua figaar

5. Teeron ki nazr chand sa seena jo ho gaya
in zalimon ne seene ko teero se bhar dia
zeen se zami pe aane laga jab pisar mera
aaya nai zameen pe teero pe ruk gaya
is zulm pe bhi reham na aaya tujhe zara

6. Ae sang dil khuda ka payambar ka khauf kar
kassab bhi zabiho ko zibha se thehar kar
itna toh pani dete hai ho jaae halq tar
zakhmon se chur chur hai pyaasa mera pisar
khanjar chalega kis tarah pyaase ke halq par

7. Zainab hai ek ret ke tile pe nauha gar
manzar yeh dekhti hai sambhale hue jigar
ankho me ashk lab pe buka aur barehna sar
mar jaaegi woh khwaahare mazlum dekhkar
tan se juda na kijiyo us waqt sheh ka sar

8. Tadpe zamee pe khaak udate hue haider
aaye khadija aur payambar bhi nauhagar
saidaaniyon me bain dare khaima pe dukhtar
nazdeek tha woh waqt ke kat jaaye sheh ka sar
zahra ne gala rakh diya bete ke gale par

9. Mazhar kaha se mai woh takate bayaan
mai likh saku shahadate mazloom ab yaha
hamraah mere rote hai yeh saaton aasmaan
farhan nahi nahi yeh kalam bhi hai nauhagaa
bete ko qatl hote hue dekhti thi maa

Haaye haaye haaye haaye haaye…

Bahout Ro Chuki Hai Sakina – Farhan Ali – 2010

Bohot ro chuki hai sakina

Haaye haaye haaye x3

khaamoshiyon se hi pucho, in aasuon se hi pucho x2

bade zulm raaho me sehti rahi hai, yateemi ke taane yeh sehti rahi hai, nahi maar zalim tamaache ise, na kar iska dushwaar jeena,

bohut ro chuki hai sakina x2

Safar me yeh soyi na zindaan me aakar, ujaala kiya hai yaha dil jala kar, padar se jo bichdi hai ashooor ko, sukoon paa saki phir kabhi na,

bohut ro chuki hai sakina x2

mila dasht me jab k baba ka laasha, lipat k padar se kiya khoob girya, waha pahunchi zainab toh sheh ne kaha, sulaa do ise jaa ke behnaa,

bohut ro chuki hai sakina x2

rasan de gyi hai nishaani gale par, hai peshaani zakhmi jo khaaye the patthar, nishaan hai tamachon k rukhsaar par, masaaeb se zakhmi hai seena,

bohut ro chuki hai sakina x2

kabhi apne baba k qatil se darkar, kabhi royi zindaan me tanhaaiyon par, kabhi boli zainab k ab ghar chalo, hua ek baras ek mahina,

bohut ro chuki hai sakina x2

Qayamat ki ek raat aisi bhi aayi, qaza ne sakina ko loree sunaayi, kaha roke sajjad ne aye phuphi, ke ab royegi phir kabhi na,

bohut ro chuki hai sakina x2

jo qabr-e-sakina pe rote the qaidi, toh un ronewalon se baano yeh kehti, abhi thak ke soyi hai zindaan me, jagaana ise ab koi na,

bohut ro chuki hai sakina x2

yeh kehta hai farhan se roke mazhar, jo qabr-e-sakina pe jaana biradar, waha marsiya jaake kehna yehi, bohut ro chuki hai sakinaa,

bohut ro chuki hai sakina x2

Zinda Rakhenge Karbala – Farhan Ali – 2010

haider ke hami – zinda hai
shabbar ke hami – zinda hai
shabbir ke hami – zinda hai
abbas ke hami – zinda hai
sajjad ke hami – zinda hai
akbar ke hami – zinda hai
asghar ke hami – zinda hai
qasim ke hami – zinda hai

Tujse wada hai ye (shahe karbobala) -2
zinda rakhenge hum karbala – ya husain
karbala karbala karbala – ya husain
zinda rakhenge hum karbala – ya husain

apni aawaz me, apne andaaz me
apne anjaam me, apne aghaaz me
hum sadaa.. Husain
zinda rakhenge hum karbala – ya husain
karbala karbala karbala – ya husain
zinda rakhenge hum karbala – ya husain

1. Apni naslo ko paigham de hum yahi
matame shahe dee (qarz hai har ghadi) – 2
maqsade karbala aam karte raho
waqf kardo ghame (shaah me zindagi) – 2
apne paighaam me, apne ehkaam me
apne aaraam me, apne har kaam me
hum sadaa.. Husain
zinda rakhenge hum karbala – ya husain
karbala karbala karbala – ya husain
zinda rakhenge hum karbala – ya husain

2. Surato me takaza ye karta rahe
tum raho na raho (haq to zinda rahe) – 2
saans ruk jae kat jae chahe zaba
khoon behta rahe (aur ye kehta rahe) – 2
apne tatheer me, apni tafseer me
apni tehreer me, apni taqreer me
hum sadaa.. Husain
zinda rakhenge hum karbala – ya husain
karbala karbala karbala – ya husain
zinda rakhenge hum karbala – ya husain

3. Maa ne gutthi me humko pilaya hai kya
karbala karbala (karbala karbala) – 2
bolna yu sikhaya ke bolo zara
karbala karbala (karbala karbala) – 2
apne azhaan me, apne wehdan me
apne eeman me , apne ailaan me

4. zuljanah ho amari alam taziya
ye alaamat hai (mit na jae kahi) – 2
mannati hathkadi aur kalawe jo hai
saari duniya me ye (apni pehchaan hai) – 2
apni akaar me, apni guftaar me
apne eesaar me, apne qirdaar me

5. Nauha khwani ka mansab mila hai jise
uspe wajib hua (bus ye paigham de) – 2
tere lehje me haadi ki darkaar ho
aur chehre pe ho (karb sajjad ke) – 2
apni faryaad me, apni uftaad me
apni har yaad me, apne aulaad me

6. sabke laasho pe shabbir rote rahe
laashe shabbir par (koi ro na saka) – 2
ye sitam dekh kar boli sajjad se
binte khaiber shikan, (saniye sayyada) – 2
apne ailaan me, ghum ke aiwaan me
ghum ke toofan me, jaake zindaan me

7. Jab aseerane ghum shaam jaane lage
chashme sajjad se (ashk behne lage) – 2
bekafan baap ki laash par gir pade
mera wada hai ye (roke kehne lage)- 2
apne aazaar me, rahe purkhaar me
jaake bazaar me, aur darbaar me

8. Kamsino ki judai me asghar ka ghum
aur jawano ke ghum me (ho akbar ka ghum)- 2
baap se koi beti bichad jae gar
hum manaenge (bali sakina ka ghum) – 2
apne pyaro ka ghum, bhool jaenge hum
har jagah har qadam, maula teri qasam

9. jo qalam aur awaaz par qarz hai
qarz wo ho adaa (al madad sayyada) – 2
kaam farhan o mazhar ye karte rahe
qarya qarya sada (al madad sayyada) – 2
maqsade karbala, chhup nahi paega
tujhse wada raha, jaan karke fida

ya husain… yaa… husain