Ae Raat Naa Dhalna

sone de sakina ko ke phir so na sakegi
rona bhi jo chahegi to phir ro na sakegi
asghar se mulakaat to phir ho na sakegi
ay raat na dhalna….

ae raat bikhar ja tere bas may ho jahan tak
mit jayenge kal aal e payamber ke nishan tak
baaqi hai yeh manzar ali akbar ki azan tak
ay raat na dhalna….

baaqi hai abhi aal e muhamad ka safeena
beti ke sulane ko hai shabbir ka seena
jhoola ali asghar ka jhulaati hai sakina
ay raat na dhalna….

ae raat ghadi bhar ko tu rehne de sakoon may
ghir jayenge nasir mere aada ki safon may
yeh chand se chehre to naha jayenge khoon may
ay raat na dhalna….

Aashoor Ka Suraj Keh Dega – Marsiya

ashoor ka suraj kehdega
khamosh kinara kehdega
jo baat ke asghar keh na sake
behta hua darya kehdega

kis tarha jawani khaak hui
laila ka kaelja kehdega
behte hue aansoo kehdenge
utra hua chehra kehdega

ahmed ki nawasi ka aalam
uth-ta hua parda kehdega
kis tarha chini sar se chadar
jalta hua qaima kehdega

kis tarha gaye asghar ran may
abaad hui kyonkar turbat
bano ki udasi kehdegi
ujda hua jhoola kehdega

akbar ki ajal aayi pehle
ya barchi ka phal nikla pehle
shabbir ki kismat kehdegi
akbar ka kaleja kehdega

ummat ke liye asghar aaye
pani na mila pyase hi gaye
chup hogi agar nanhi si lehad
ujda hua jhoola kehdega

nawak ki khatak dil ki himmat
ummat pe nazar baba ka khayal
kya raaze khuda samjhe asghar
hasta hua chehra kehdega

har gaam pe thokar kha kha kar
jab baap pisar ko dhoondega
kis samt hai akbar ki mayyat
uljha hua rasta kehdega

mashkeeza chida pani to baha
mayyat na hati turbat hi bani
darya ki tarayi kiski hai
abbas ka rauza kehdega

shadi se gharaz shadi kab thi
ye dars e alam tha dunya ko
kuch dayr ka dulha kehdega
ujda hua sehra kehdega

jo baat ke asghar keh na….
ashoor ka suraj kehdega….

Ae Chaand Karbala Ke – Marsiya – Sibte Jafar

ay chand karbala ke, tu ne to dekhe hongay
utray thay is zameen par, arshay bari ke taare

ay chand jalwagar hai hashim ka chand yan par
khairaat roshni ki lelijiyo yahan se
ay chand….

ay chand is zameen par rakhiyo hamesha thandaq
sotay jo hai yahan par zehra ke hai ye pyare
ay chand….

tasleem-o-salsabeelo kausar ke hai ye maalik
maare gaye jo pyase is nehr ke kanare
ay chand….

hur aur habeeb jaise jaanbaaz aur ahibba
maare gaye yaheen par ansaar shahe deen ke
ay chand….

maare gaye yaheen par be-dardiyo sitam se
zainab ke dono pyare muslim ke dono bete
ay chand….

pamaal ho rahi thi qasim ki laash ran may
abbas aur sarwar chunte thay unke tukday
ay chand….

baazu katay yaheen par abbas-e-bawafa ke
izne wagha na paaya pani bhi laa na paaye
ay chand….

is sar zameen pa guzra sarwar pa ye bhi sadma
seene pa khaayi barchi hamshakle mustufa ne
ay chand….

pani pilaane laaye ek mehlaka ko sarwar
ki ghazab hurmula ne teere sitam lagaake
ay chand….

gardan chidi pisar ki baazu chida padar ka
dono tadap tadap kar pyase jahan se guzre
ay chand….

is ban may ek bachi baba ko dhoondti thi
bikhre huwe paday thay jab sar bureeda laashar
ay chand….

phir yeh bhi tu ne dekha woh gham raseeda bachi
seene pa so rahi thi besar padar se lipte
ay chand….

baazu bandhay yaheen per pehle pahal haram ke
is sar zameen se niklay sajjad sar jhukaye
ay chand….

shehzadaye jina hi maalik hai karbala ka
kiski majaal aaye jab tak na wo bulaaye
ay chand….

pahuncha hai karbala may nacheez sibte jafar
ay kaash ke muqaddar humko ye din dikhaye
ay chand….

Laash Akbar Ki – Marsiya – Sibte Jafar

laash akbar ki jo maqtal se utha laaye hussain
nowjawan ko safe awwal se utha laaye hussain
chaand ko shaam ke baadal se utha laaye hussain
jaa’n ba lab sher ko jungle se utha laaye hussain
di sada laashe pisar aan ke leja baano
chid gaya barchi se akbar ka kalaija baano
laash akbar ki….

dekhle aakhri deedar pisar marta hai
saamne aankhon ke ye noore nazar marta hai
ab koi dam mein tera rashke kamar marta hai
mu’h se bahar hai zabaa tashna jigar marta hai
dum hai seene may ruka zakhmo’n se khoon jaari hai
haaye baano tere ghar lutne ki taiyaari hai
laash akbar ki….

pohchi khaime may jo hazrat ke ye purdard sada
muztarab hogayi namoose rasoole do sara
kaha chala ke sakina ne ke haye haye bhaiyya
fizza daudi suwe dar phaik ke sar par se rida
peet-ti zainab e muztar nikal aayi bahar
baano ghabra ke khule sar nikal aayi bahar
shaah ke kaandhe pe dekha ali akbar ko nidhaal
haath phayla ke ye chillai ke haye haye mere laal
kya ghazab hogaya aye baadshahe nek khesaal
raas aaya na mere bache ko atharwa saal
tukde tegho’n se badan hogaya saara haye haye
kaun tha jisne mere sher ko mara haye haye

roke banu se ye farmane lage sarware deen
sar na peeto abhi zinda hai mera maah jabeen
saans aati hai pa har dam hai dame baaz paseen
kooch unka bhi hai aur hum bhi hai marne ke qaree’n..(2)
sab chute ab na raha koi hamara baano
is jawaa’n bete ke gham ne hame maara baano
laash akbar ki jo…

Zainab Ali Akbar Ke

zainab ali akbar ke jeene ki dua maango
bach jaaye mera bacha bas uski dua maango

zainab bade naazon se tumne usse paala hai
rehjaaye nazar meri logon ye dua maango

zainab ye pisar meri aankhon ki bisarat hai
mera laal bach jaaye tum ye iltejaa maango

abbbas ke marne ne meri tho kamar todi
hamshakle payambar hai logon ye dua maangi

ghutniyon ke bal chalkar pahunche laashe akbar par
qaime tak pahunch jaaye maadar ye dua maango

rakhte thay uthate thay maiyat ali akbar ki
lalila kaheen dekh na le tum bhi ye dua maango