Sakina So Rahi Hai

Sunayi kis ne ye zindaan mei loree Sakina so rahi hai
Khudara zor se bolay na koi Sakina so rahi hai

Sunayi kis ne ye…

Kaha Bano ne utho Shahzaadi
Huwi kya baat kyun maadar se roothi
Utho Baba ka sar aaya hai bibi (x2)
Magar zindaa’n ki har deewaar boli
Sakina so rahi hai

Sunayi kis ne ye…

Tumharay goshwaray mil gaye hain
Dar-e-zindaan saaray khul gaye hain
Rihaayi mil gayi jaati hoon ghar ko (x2)
Magar Sajjad ki awaaz aayi
Sakina so rahi hai

Sunayi kis ne ye…

Na ab maray ga koi bhi tamaachay
Na hongay phir se ye rukhsaar neelay
Gala baandha na jaayega rasand mein (x2)
Jo aaya shimr to us se kahoongi
Sakina so rahi hai

Sunayi kis ne ye zindaan mei lori…

Rida choti si ik sar par udha doo
Chalo Abbas se tum ko mila doo
Tumhari mashq hai or un ka seena (x2)
Jo dekha aasma kehta hai wo bhi
Sakina so rahi hai

Sunayi kis ne ye…

Rasan ka zakhm ashko se dhula doo
Tere baalon se ye mitti chhudha doo
Tere talwo ke chhalo ki dawa doo (x2)
Ajal boli ke ye kaisay chalay gi
Sakina so rahi hai

Sunayi kis ne ye…

Huay jab shaam ke saaye bhi gehray
Parinday chehchahatay jaa rahe thay
Kaha Bano ne aye udhtay parindo (x2)
Sadaayein rok lo kuch der apni
Sakina so rahi hai

Tu Naa Aaya Ghazi

haye abbas haye abbas
al-e-imran kahan aur zindan kahan
le behan qaid hui 
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini  mai sada deti rahi
tu na aaya ghazi

1. aagai sham e alam lut gaye ehl e haram
rait per jalti hui hogaya thanda alam
pursa dene ke liye tujh se milne ke liye agaye baba ali
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi

2. dhoop main to tha shajr tujh se abad tha ghar
hai barhana mera sar kiya nahi tujh ko khabar
aye alamdar e wafa us behan ko ba khuda tujhse dharas thi bari
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi

3. kiya kahon sher mere be rida hum ko liye
ye musalman saray shehr dar shehr gaye
khalqat e kufa kabhi khalqat e sham kabhi baraha hum pe hansi
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi

4. kitni bebas thi behan aye shehanshah e wafa
naam le le ke mera jab ye zalim ne kaha
naaz tha jis pe tujhe ab bulao na usay
aur main roti rahina aya ghazi
tou na aaya ghazi

5. hum ko pani na mile teri khushboo to rahay
tere bazu na katain chahe mashkeza chiday
ye magar ho na saka tere bazu hain juda
mujh pe hai tashna labi na aya ghazi
tu na aaya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi

6. kya sakina se kahon aye mere dil ke sukoon
haye pani ke liye beh gaya sub tera khoon
abb koi aas nahi tou mere pass nahi
rasi shanoon main bandhi na aya ghazi
tu na aaya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi

7. jab chali sheh pe churi aye mere sher e jari
hath malti thi behan kuch qadam dur khari
kaat gaya sheh ka gala haye bhai ne sada
mujh ko har zarb pe di
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi

8. qaid khane main qaza jab sakina ko mili
de ke kurtay ka kafan bachi dafnaye gaye
us ghari naam tera surat e naad e ali
bus main dohrati rahi
tu na aya ghazi…..x2
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi

9. roya rehan kalam kar ke ye baat rakam
khoon main doob gaya mera ghazi ka alam
zakhmi zainab ka jigar khoon fishan shah ka sar
aye khaymon main shaqi
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazitu na aya ghazi…..x3

Ae Chand Karbala ke – Sibte Jafar

ay chand karbala ke, tu ne to dekhe hongay
utray thay is zameen par, arshay bari ke taare

ay chand jalwagar hai hashim ka chand yan par
khairaat roshni ki lelijiyo yahan se
ay chand….

ay chand is zameen par rakhiyo hamesha thandaq
sotay jo hai yahan par zehra ke hai ye pyare
ay chand….

tasleem-o-salsabeelo kausar ke hai ye maalik
maare gaye jo pyase is nehr ke kanare
ay chand….

hur aur habeeb jaise jaanbaaz aur ahibba
maare gaye yaheen par ansaar shahe deen ke
ay chand….

maare gaye yaheen par be-dardiyo sitam se
zainab ke dono pyare muslim ke dono bete
ay chand….

pamaal ho rahi thi qasim ki laash ran may
abbas aur sarwar chunte thay unke tukday
ay chand….

baazu katay yaheen par abbas-e-bawafa ke
izne wagha na paaya pani bhi laa na paaye
ay chand….

is sar zameen pa guzra sarwar pa ye bhi sadma
seene pa khaayi barchi hamshakle mustufa ne
ay chand….

pani pilaane laaye ek mehlaka ko sarwar
ki ghazab hurmula ne teere sitam lagaake
ay chand….

gardan chidi pisar ki baazu chida padar ka
dono tadap tadap kar pyase jahan se guzre
ay chand….

is ban may ek bachi baba ko dhoondti thi
bikhre huwe paday thay jab sar bureeda laashar
ay chand….

phir yeh bhi tu ne dekha woh gham raseeda bachi
seene pa so rahi thi besar padar se lipte
ay chand….

baazu bandhay yaheen per pehle pahal haram ke
is sar zameen se niklay sajjad sar jhukaye
ay chand….

shehzadaye jina hi maalik hai karbala ka
kiski majaal aaye jab tak na wo bulaaye
ay chand….

pahuncha hai karbala may nacheez sibte jafar
ay kaash ke muqaddar humko ye din dikhaye
ay chand….

Andhere Ghar Mein Sakina Ko Maut Aayi Hai

Andhere Ghar Me Sakina Ko Maut Aayi Hai Lyrics

Janaza Uthne Ka Saman Nahi, Duhayi Hai
Andhere Ghar Me Sakina Ko Maut Aayi Hai

Pukareñ Banoo-e-Nashaad Aake Mayyat Par
Sakina Beti Uttho Maa Tumhari Aayi Hai

Karuñ Maiñ Dafn Ka Saman Kis Tarha Beta
Gharib Maa Hai To Mazboor Tera Bhai Hai

Tumhe To Maine Badi Mannatoñ Se Pala Tha
Mai Zinda Rah Gayi Kyuñ Maut Tumko Aayi hai

Abhi Zabaan Bhi Poori Na Khulne Payi THi
Yateem Bachhi Ko Be-waqt Maut Aayi Hai

Baghair Roushni Ke Kis Qadar Tadapti Thi
Andheri Qabr Tumheñ Ab Pasand Aayi Hai

Hai Aaj Kyuñ Dar-e-Zindañ Khula hua Bibi
Tumhare Lene Ko Shayad Sawari Aayi Hai

Kisi Ne Haal Ye Haqim Se Kah Diya Jakar
Ke Qadiyoñ Par Musibat Ik Aur Aayi Hai

Wo Ladki Mar Gayi Jo Shab Ko Roz Roti Thi
Wahi Hussain Ki Dukhtar Falak Satayi

Na Dafn Ka Koi Samañ Hai Na Kafan Ke Liye
Na Koi Lash Par Chadar Abhi Udaayi Hai

Zara Sa Bhej De Kapda Jo Daleñ Mayyat Par
Ye Tere Daur Me Kaisi Qayamat Aayi Hai

Taras Yazeed Ko Aaya Ye Waqya Sun Kar
Kaha Ye Kahna Jo Aabid Se Uska Bhai Hai

Mujhe Bhi Ranj Hua Sunke Ye Khabar Lekin
Khuda Ke Hukm Se Mazboor Sab Khudayi Hai

Karbal ki kahani jab / Zehra (sa) pursa lo bahattar 72 ka – Nasir Jahan

Karbal ki kahani jab, koi bhi Sunaaye ga.
Karbal ki kahani jab, koi bhi Sunaaye ga
Dil waaloan ki ankhon se, Ek darya bahaaye ga.

Woh kaafila Sarwar ka, Jis shaan se nikla tha.
Sughra ko khabar kya thi, na laut ke aayega.

Zehra, Zehra, pursa lo bahattar ka.

Mehmaan bulaya hai, ay kufiyo sarwarko.
Kya kumba shahe deen ka, paani nahi paaye ga.

Paamal huwa Qasim, yu ghoroan ki taapoan se.
Kis tarha chacha teri, mayyat ko uthaye ga.

Zahra, Zahra, Qasim ka bhi pursa lo.

Tha hathoke katneka, kuch gham na dilawarko.
Saydaniyo ka parda, ab kon bachaye ga.

Zahra, Zahra, Abbas ka pursa lo.

Tooti hai kamar sheh ki, ghabra na magar Akber.
Farzand-e-nabi tere, laashe ko uthaaye ga.

Zahra, Zahra, Akbar ka bhi pursa lo.

Sote na the tum Asghar, jule me tadapte the.
Dunya ko khabar kya thi, ek teer sulaaye ga.

Zahra, Zahra, Asghar ka bhi pursa lo.

Ashaab ne dam tora, Shabbir ke zanu par.
Kis zaanu par sar apna, Shabbir kataaye ga.

Sarwar ne uthaaye the, sab saathiyon ke laashe.
Shabbir tera laasha, ab kaun uthaaye ga.

Karbal ki kahaani jab, koi bhi Sunaaye ga.
Karbal ki kahaani jab, koi bhi Sunaaye ga.
Dil waaloan ke ankhon se, Ek darya bahaaye ga.