ANDHER HUA FATIMA ZEHRA NE KHAZA KI..
kheti hui barbad RASULE do sara ki..
MOHSIN ki shadat ka bahana tha khaza ka,
goya k sitam gar ne MOHAMMAD pe jafa ki.
ya FATIMA kh kh k jo rota h zamana ,
turbat heli jati h RASULE do sara ki..
bachche hue bin maa k bhara ghar hua khali ,
halat h bht ghair dile shere khuda ki.
masumae alam ka utha shab ko janaza,
yuh sahibe asmat ne zamane se haya ki.
bazaar k logo ne chirago ko bujhaya,
mayat jo chali binte habibe do sara ki..
sibtain uthae hue h maa ka janaza,
or betiya khti hai dohai hai khuda ki..
ANDHER HUA FATIMA ZEHRA NE KHAZA KI
