Lo momino ko apni hifazat me Ya Hussain – Fariyadi Nauha

Lo momino ko Apni Hifazat me Ya Hussain,
Duniya se jald dur karo har bala Hussain

Juz Aapke Gham aur koi gham na ho humko,
Hum sab hain jano maal se Tum par fida Hussain

Bachchon ke aur badon ke Nigahbaan Aap Hain,
Jayenge phir kahan Tere Dar ke siwa Hussain

Duniya se jald taal do aayi hui bala,
Seenon me dil shiyon ke hain ghabraye Ya Hussain

Paida hue hain Aapke Matam ke wastay,
Zikr Aapka karte hain suboh shaam ya Hussain

Akbar ka wasta, Ali Asghar ka Wasta,
Har aafaton se humko bacha lana Ya Hussain

Shiyon ki hajaten bhi do Ba Haqqe Fatema,
Zainab ki Be Ridai ka hai wasta Hussain

Shiyon ke naujawanon ki toolay hayat ho,
Akbar ki Naujawani ka hai wasta Hussain

Be Warisiye Zainabo Kulsoom ke liye,
Rakhna hamare warison ko Tum bacha Hussain

Zainab ka wasta hai Aza ye Qubool ho,
Ho Maddaye baniye Majlis Ata Hussain.

Leave a comment