ANDHER HUA FATIMA ZEHRA NE KHAZA KI..
kheti hui barbad RASULE do sara ki..
MOHSIN ki shadat ka bahana tha khaza ka,
goya ke sitamgar ne MOHAMMAD pe jafa ki.
ya FATIMA keh keh k jo rota hai zamana ,
turbat hili jati h RASULE do sara ki..
bachche hue bin maa ke bhara ghar hua khali ,
halat hai bahout ghair dile shere khuda ki.
masumae alam ka utha shab ko janaza,
yu sahibe asmat ne zamane se haya ki.
bazaar k logo ne chirago ko bujhaya,
mayat jo chali binte habibe do sara ki..
sibtain uthae hue hain maa ka janaza,
or betiya kehti hai dohai hai khuda ki..
ANDHER HUA FATIMA ZEHRA (sa) NE KHAZA KI
