Naa Des Apna – Irfan Haider – 2005

Karbala se chali eik bekas behen.Bhaayi se aalam-e-gurbat watan yaad aya. Sab shaheedo ko kehti huwialvida. Bhaayi ki laash pe pohnchi to kafan yaad aya. Khud ko naake segiraakar Zainab kehne lagi roro kar. Na deys apna hai, na log apne hai

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Ye dekh zara ay tashnadahan, shaano to mere jakre hai rasan, Auruspe sitam hai, sar par nahi chadar, Mei kaise kafan du mere mazloombaraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Kal saath tere har ghaam chali, ab qaydi huwi aur shaam chali, isdard ke maare roti hu khule sare, Mei kaise kafan du mere mazloombaraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Baba hai ameer-e-auno mada, hai tera laqab sardar-e-jinaa, zainab kohuwi hai bechadar beghar, Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Ay bhaayi teri ghurbat ki kasam, ta mard nahi bhulungi ye gham,pardes mei aakar, na khaa hai labo par, Mei kaise kafan du mere mazloombaraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Kya zulm sahe tujh ko hai khabar, hai aun-o-muhammad khaak basar, abtumse nahi hai, paani bhi mayassar, Mei kaise kafan du mere mazloombaraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Hota jo madina bhaayi mere, miljaata kafan mazloom tujhe, isdasht-e-bala mei, majboor hai khwaahar, Mei kaise kafan du mere mazloombaraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Hai kushta-e-tegh-e-zulm bata, jab koi mera yawar na raha,maqtool-e-jafaa hai, abbas aur akbar, Mei kaise kafan du mere mazloombaraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

Kya kya na huwi zainab pe jafaa, sab khayme jale asbaab luta, parsab se baraa hai, ye gham mere dil par, Mei kaise kafan du mere mazloombaraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

‘Irfan’ aur ‘Mazhar’ kehna sake, jo bint-e-ali ne bayn kiyey,phat’ta hai kaleja, is baat ko sunkar, Mei kaise kafan du mere mazloombaraadar

(Na deys apna hai, na log apne hai) x2

As-salaam alayka ya Sayyed-o-shuhadaa

Leave a comment