Main Hussain Hoon – Ameer Hasan Amir – 2008

Karta Rahunga Shukre Khuda
    Main Hussain Hoon
    Khanjar Ke Neeche Doonga Dua
    Main Hussain Hoon
 
    Karta Rahunga Shukre Khuda
    Main Hussain Hoon                *   2

    Mal Loonga Apne Rukh Pe Lahoo Apne Laal Ka  *  2
    Phir Bhi Na Uff Karunga Zara
    Main Hussain Hoon

    Karta Rahunga Shukre Khuda
    Main Hussain Hoon                *   2

    Aedi Ragadta Hoga Jahan Mera Naujawaan  *  2
    Hoga Vahee Budhapa Mera
    Main Hussain Hoon

    Karta Rahunga Shukre Khuda
    Main Hussain Hoon                *   2

    Hain Baazuon Mein Mere Kate Baazuon Ki Laash  *  2
    Dekhe Zamana Meri Vafa
    Main Hussain Hoon
  
    Karta Rahunga Shukre Khuda
    Main Hussain Hoon                *   2

    Fidya Diya Tha Tumne To Patti Thi Aankh Parr  *  2
    Dekho Khalil Mujhko Zara
    Main Hussain Hoon

    Karta Rahunga Shukre Khuda
    Main Hussain Hoon                *   2
 
    Roohe Rasool Nikli Mere Khushq Halq Se  *  2
    Qaatil Samajh Raha Hain Mera
    Main Hussain Hoon

    Karta Rahunga Shukre Khuda
    Main Hussain Hoon                *   2
 
    Sajde Mein The Hussain To Gardann Pe Thi Churi  *  2
    Maula Ne Tabb Khuda Se Kaha
    Main Hussain Hoon

    Karta Rahunga Shukre Khuda
    Main Hussain Hoon                *   2
  
   Abb Karbala Ke Dasht Mein Gunjegee Siskiyaan  *  2
   Zehra Karengee Mujhpe Buqaa
   Main Hussain Hoon

   Karta Rahunga Shukre Khuda
   Main Hussain Hoon                *   2

   Tatheer Beridaa Hain To Kaaba Hain Begilaaf  *  2
   Laasha Bhi Bekafan Hain Mera
   Main Hussain Hoon

   Karta Rahunga Shukre Khuda
   Main Hussain Hoon                *   2

   Karte Rahenge Aamiro Nayyar Meri Azaa  *  2
   Dono Pe Hogee Meri Ata
   Main Hussain Hoon

Karta Rahunga Shukre Khuda
Main Hussain Hoon                *   2

Leave a comment