Sabka Hussain – Farhan Ali – 2012

allah allah

jaayen bashar ki nigaahein jahaan
maujud hai teri rehmat wahaan
hai teri rehmaaniyat se ayaan
mehdud hai teri rehmat kahaan

tere hi jaisa mohammad tera
jis ke liye shaayeron ne kaha

ishq hojaaye kisi se koyi chaara to nahin
sirf muslim ka mohammad pe ijaara to nahin

hai us mohammad ki aankhon ka chain
kehta hai jis ko zamaana hussain

insaaniyat pe huwa wo fida
har ek muslim to kehta hi tha
ab ghair muslim bhi kehne laga

tera hussain mera hussain 

rab ka hussain
sab ka hussain
pyaare nabi ka nawaasa hussain

aalam ka maqsood naame hussain  
har dil me maujud naame hussain  
phir kyun ho mehdood naame hussain  
hai hamd o mehmood naame hussain

tera hussain mera hussain 

rab ka hussain
sab ka hussain
pyaare nabi ka nawaasa hussain

bachpan ka waada wafa yun kiya  
kaaba bachaaya bhara ghar diya  
jo kaam kar na sake ambiya  
phir kyun na tu hi bata ay khuda  

saari duniya hussain hussain kare

aaqa hussain maula hussain
rab ka hussain sab ka hussain

ehle sunnat wal jamaat ke buzurg shayer
peer naseer-ud-din shah farmaate hain

mera khuda jise auje kamaal deta hai
use batool ki chaukhat pe daal deta hai
parakhna ho jo kisi ko to ya hussain kaho
ye naam wo hai jo shajre khangaal deta hai

sunni ye kehte hain ya mustafa
tu ne hi ham ko aqeeda diya
tu ne hussain o minni jo kaha
phir to ye kehna bhi sunnat huwa

tera hussain mera hussain 

rab ka hussain
sab ka hussain
pyaare nabi ka nawaasa hussain

ek hindu shayer jay singh ne imam hussain
ki baargaah me yun nazraanaye aqeedat pesh kiya

hai aaj bhi zamaane me charcha hussain ka
chalta hai kaainaat me sikka hussain ka
bhaarat me gar wo aate bhagwaan kehte ham
har hindu naam pooja me japta hussain ka
sar apna peet ti hain jo pyaason ki yaad me
leti hain naam ganga o jamna hussain ka
is me nahin kalaam ke ham but parast hain
aankhon se apni chumenge roza hussain ka
ham paapiyon ke waaste hur ki misaal hai
chamkaata hai naseeb ishaara hussain ka
‘jay singh’ panaah maangegi mujh se narag ki aag
mein hindu hun magar hun mein sheda hussain ka

hindu aqeede ka ailaan hai  
shabbir pe jaan qurbaan hai  
pooja ke qaabil hai bhagwaan hai  
kehta ye saara hindustan hai  

tera hussain mera hussain 

rab ka hussain
sab ka hussain
pyaare nabi ka nawaasa hussain

sikh mazhab ke naamwar shaayer
kanwar mahendar singh bedi kehte hain

ya hussain ya hussain
lab peh jab shaahe shaheedaan tera naam aata hai
saamne saaqiye kausar liye jaam aata hai
mujh ko bhi apni ghulaami ka sharaf de dijiyo
khota sikka bhi to aaqa kabhi kaam aata hai
ya hussain ya hussain

tu to har deen ke har dor ke insaan ka hai
kam kabhi bhi teri tauqeer na hone denge
ham salaamat hain zamaane me to inshaa allah
tujh ko ek qaum ki jaageer na hone denge
ya hussain ya hussain

dekho sikhon ke bhi afkaar me  
kya hai ‘mahendar’ ke ashaar me
bola aqeedat ke izhaar me
mein bhi hussaini hun sansaar me

tera hussain mera hussain 

rab ka hussain
sab ka hussain
pyaare nabi ka nawaasa hussain

ek isaai shaayer ne mola hussain se
aqeedat ka izhaar khuch is andaaz se kiya

faqat hai pyaar ka daawa har ek mazhab ka
jahaan bhi zulm hai nafrat hai wo jehaalat hai
yehi wo dars hai jo de gaye yasoo maseeh
jahaan me khidmate insaaniyat ibaadat hai
hussain aap ne insaaniyat ka dars diya
hussain aap ne soda zameer ka na kiya
hussain aap ka paighaam bhi mohabbat hai
hussain aap ki duniya ko phir zaroorat hai

raahib jo tha ek isaai tha  
aulaad na thi pareshaan tha  
sheh ne kiye saat bete ataa  
khush hoke dunya se kehne laga  

tera hussain mera hussain 

rab ka hussain
sab ka hussain
pyaare nabi ka nawaasa hussain

kyun saari duniya ki hai ye sada  
batla rahi hai hame karbala  
khanjar tale sheh ne sajda kiya  
har zarra khaaliq se kehne laga  

tera hussain mera hussain 

rab ka hussain
sab ka hussain
pyaare nabi ka nawaasa hussain

insaan ka mohsin shahe karbala  
insaan hi sheh ka qaatil bana  
sab kalma go the sare nainawa  
ehsaas kyun na kisi ko huwa  

tera hussain mera hussain 

rab ka hussain
sab ka hussain
pyaare nabi ka nawaasa hussain

kunbe ko us ke rulaayaa gaya  
saydaaniyon ko kiya be rida  
baazaar o darbaare ehle jafa  
zainab ne har gaam khutba diya  

tera hussain mera hussain 

rab ka hussain
sab ka hussain
pyaare nabi ka nawaasa hussain

kyun na kahen ye jo islaam hai  
shabbir ka dusra naam hai  
ab to jo waajib hai ye kaam hai  
‘farhan’ o ‘mazhar’ ka paighaam hai  

tera hussain mera hussain 

rab ka hussain
sab ka hussain
pyaare nabi ka nawaasa hussain

rab ka hussain
sab ka hussain

Leave a comment